Ashok Sawhny 'Sahil'
Dastan -e- zindagi
Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.
Author
Ashok Sawhny 'Sahil'
Category
Podcast website
Latest episode
Jul 10, 2026
Where to listen?
Podcasts in the app Replaio Radio Coming soonPodcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts
Episodes
Jaanam 15.01.2024 1:33
Title - Jaanam By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Jaanam, dil do to nigahbani ki baat ho Varna dil ko to pareshani ki baat ho Mahabat men firasat paheli yeh kaisi Aisa ho jaaye to naadaani ki baat ho Khamosh kyon, kuch to bolo, kuch kaho Tab shayad shaadmaani ki baat ho Dil naazuk hai bahot baar us pe na dalo Toot jaaye to pashemaani ki baat ho Sair karen chaman ki gulo...
Kyun Lagta hai- Dard-e- dil ka Darman 15.01.2024 1:19
Title -Kyun Lagta Hai / Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Kyun lagta hai kabhi, koi sahara nahin hota Tanhai mein apna, to guzara nahin hota Gar aaina ke mukhatib rahe ajnabi har roz Phir chehra dosto tumhara nahin hota Dekhe hon jis chaman ne din bahaar ke Woh khizan ki aamad se, sehra nahin hota Zehan mein ho a...
Ranj O alam 15.01.2024 2:16
Title - Ranj o Alam By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Bas ranj o alam na do to bahot kaafi hai Sukoon na de sako to koi baat nahin Hamdardi se badh kar to koi dawa nahin Marham na de sako to koi baat nahin Maathe pe shikan kis liye, batao Tabassum na de sako to koi baat nahin Qasmen Rab ki na khao usey beech mein na lao Vaada na de sako to koi baat nahin Baar khushi ka...
Misl-e-boye Gul / Dard-e-dil ka Darman 12.01.2024 1:34
Title -Misl-e-boye Gul / Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Gul biyabaan mein ik khaar na hua kya Woh veerana kaho gulzaar na hua kya Yeh aasi, tera hi bandah hai, khudaya Phir tere karam ka haqdaar na hua kya Jis dil mein khud makeen ho khuda Woh Khuftah insaan, bedaar na hua kya Mehr rahi hai teri itni mujh par,...
Jaan ki Baazi 12.01.2024 4:05
Title - Jaan Ki Baazi By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Jaan ki baazi lagaane walo Jaan to musta’ar hai Naqsh e pa sahil per kya, jab Manzil hi us paar hai Takte hain falak ko sab Kya jannat us paar hai Kya basta hai khuda wahan Woh jo sab ka yaar hai Maana firasatmand ho shaikh Per, rab to tum se hoshyaar hai Mominon ka, kaafiron ka Wohi ek parwardigaar hai Kabhi...
Bazm -E-Khaas 12.01.2024 1:38
Title - Bazm -E-Khaas By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Bazm e khaas ho ya bazm e aam Aadmi wohi khaali haath ya sunehri jaam Koshish o justaju bhi sab ki hai ek Mil jaaye mukammal mujhe sukoon o aaraam Munsif ya mujrim khwahish bhi wohi Kal sab ko phir se kar len hum salaam Shab per bharosa hai manind e saraab Yaro khuda hi jaane us ka nizaam Ek subh, ek shab aur ki...
Woh Aadmi 08.01.2024 1:56
Title - Woh Aadmi By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Woh aadmi hai momin be shak jiske qiley nahin Lekin, naam khuda ka zubaan uski bhooley nahin Kyon qabool na hui kaho nadamat us ki Chaak daaman jiske kabhi siley nahin Yaro, hum zubaan hona kya fayeda batao Gar dil woh donon kabhi miley nahin Iman pukhtah ho aisa talatum men logo Jo toofaan men doobtey bhi hiley na...
Us raah per 08.01.2024 1:41
Title - Us raah per By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Us raah per kya chalna jis ki manzil na ho Us zakhm se kya waasta jo mundamil na ho Ghair haaziri men tanqeed raaegaan be shak Ilzaam us per kyon kar jo muqaabil na ho Khushiyon men hon hangaame yeh fitrat insan ki Per humraahi kya jo gham men shaamil na ho Tu bata naaseh us lamhe ka kya karen Naam fana ho jis ka au...
Dooriyaan Kya 08.01.2024 1:25
Title - Dooriyaan Kya By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Dooriyaan kya aur kya nazdeekiyaan Sitam ki sab baareekiyaan Num chashm aur woh naalishen Aahen bhari woh siskiyaan Mahabatein aur chhahatein Azaab hain sab tanhayiaan Kya ishtiyaaq aur khwahishein Daaman pe daagh ki ruswayiaan Lams kya aur kya dhadkanen Humsayiaan aur kya humnawayiaan Ho jaayein zakhm mundamil to...
Buniyaad-e-Mohabat / Dard-e-dil ka Darman 08.01.2024 1:07
Title - Buniyaad-e-Mohabat / Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Yaro! wafa hi mohabat ki buniyaad hai Ai munkar-e-wafa tu magar aazaad hai Hai mohabat jazba jab talak aabaad hai Wagerna saraab hai, ishq barbaad hai Mana ke bewafayi ka lutaf apna hai Par, tabahi kya kisi ki dili muraad hai Kuchh ched bhi zururi hai...
Jigar ki baatein mat kijiye woh dil nahin hotey 08.01.2024 4:28
Jigar ki baatein mat kijiye woh dil nahin hotey Dil narm hotey hain sab ke sang dil nahin hotey Gar ban jaayen pathhar to baat ittefaaq ki hai Phir, sang dil woh kabhi munfail nahin hotey Khutbe main sunta hun har roz tere, magar Lamhaat to, ai vaaiz, mustaqil nahin hotey Jism to sirf khaak hai, zanjeeron se khauf kaisa Himmat o iman to paband e salasil nahin hotey Toote huay rishte daagh chhord...
Woh bhi waqt tha 06.12.2023 1:35
Aaj rang nahi hai ‘Sahil’ aabginon mein Lahoo sukh chuka hai veraan seenon mein Chala karti thi Saba har subah kabhi Ab samoom bhi aaya karti hai mahino mein Khalal dekhiye is zamrrana ka aaj Log zeher botay hain sairaab zameenon mein Insaan ko insaan hi nahi maanta, koi Phir tafreeq kya kaho pathar aur naginon mein Inkisari thi bunyaad husn kabhi Haif! naz o ishva hai ab haseenon mein Apni duniya...
Ana 23.11.2023 2:23
Ana bhi kya hai cheez hai Insan aur haiwaan mein Tum mein mujh mein sab mein hai Aur, phir hai us Iblees mein To kya ana shaitan hai Achha bura pakwaan hai Aur, har insan mein iska koi Achha bura nishaan hai Zameer, ana hain qareeb bahot Sab ka zahn makaan hai Zururi bhi hai ana be shak Insan ka fakhr uski jaan hai Per, yeh do dhaara talwaar hai Zawaal bhi aur shaan hai Ana baghair nidhaal hai ban...
Gham-E-Dil 23.11.2023 4:19
Jab ranj o alam mein dooba hua ho dil To nuktacheen kyon hoga phir gham e dil Sumundur ki maujon men beh jaaye jo Usey talaash kya hogi phir kahan hai sahil Tanz o tanqeed yeh andaaz e bayan kis ka Woh pathhar jo baatin mein hai narm dil Kh-mosh hai baaghbaan be sada hai bulbul Batao bahadur hai kaun aur kaun buzdil Dil kis ka hai narm aur sang woh kis ka Kya kabhi rotey nahin dekhe tum ne sang di...
Dariya-e-Payaab 07.11.2023 1:40
Ghark na ho jaon behar ke aab mein Ya rab, naqash-e pa hon dariya-e -payaab mein Nuqs dekhye buland kirdari ke Daagh hain Haseen jai se Mahtab mein Daurti hai khushi ki lehar ragon mein aisi Goya, junbish ho kisi Jaam Simab mein Haya na ho to kya rakha hai naqaab mein Sach nahi to kya hai tere jawab mein Kiyon kar bane ga haqdaar Gulshan ka woh kaho Gar rang o bo na ho, khawastgar ghulaab men Tapi...
Khudayi na rahi to khuda ka kya hoga 07.11.2023 1:43
Khudayi na rahi to khuda ka kya hoga Phir yeh bhi to socho hamara kya hoga Dafna kar zamin mein fikr auron ki kahin Phir puchhte hain log mera kya hoga Zamin per kisi ki kisi se nahin banti Falak mein na ho dost to sahara kya hoga Namrood se deewaane aawara hain har su Andheri in raaton ka savera kya hoga Dekhnewala na dekhe, ai naaseh agar Mazeed is se kaho andhera kya hoga ‘Sahil’, kyon deta hai...
Jo mila na ho ranj o gham se kabhi 07.11.2023 2:03
Jo mila na ho ranj o gham se kabhi Koi keh de usey miley hum se kabhi Alam ke baabat to alim hain hum Aa kar le jaaye hum se marham kabhi Dil ka dhadakna baat acchi hai zurur Varna, manaoge ik roz maatam kabhi Sukoon ke khwahaan tum bhi suno Aaraam ke liye roko apna dum kabhi Hulchal, hungama, hai dastur o qaaeda Hayaat ki raftaar kar lo kum kabhi Machalta hai man manind e raqaasa ‘Sahil’, iradey...
Mehfil se uth kar aaye ho na jaane kis liye 07.11.2023 2:44
Mehfil se uth kar aaye ho na jaane kis liye Kya na milne ke bahaane tum batane ke liye Ya waqayi nadamat ke josh mein aye ho tum aaj Shayad manane aur mujhe saath le jaane ke liye Kahaniyan mat sunana andheri raaton ki Baatein woh puraani suhani mulaqaton ki Bheege badan mehakte huay mann Sard hawa woh qana’at un barsaton ki Aaye daraar rishton mein to mushkil hai Anjuman tumhara aur meri mehfil h...
Shab ka main koi sayarra nahin 06.11.2023 2:12
Shab ka main koi sayarra nahin Subh ka main koi sitara nahin Shauq ki hai kuchh kotaahi ab Magar, dil mera aawaara nahin Ta umr chala hun rahguzar pe Waqt pagdandion pe guzara nahin Nasheb o faraaz e zeest dekhe Per, himmat main kabhi haara nahin Yaro, qismat nahin maarti hai kisiko Muqaddar ne kabhi maara nahin Hai Rab ka sahara momin hun, ‘sahil’ Kisi aur ko main ne to pukaara nahin No...
Khushi Khushi 06.11.2023 3:22
Khushi khushi hanste hanste ik roz yahan se jaana hai Auron se nahin khud se ab dil ko apne lagana hai Sabr dunya men hai nahin samajh ki hai kotaahi bahot Roothe jo bhi roothe insan hamen to khud ko samjhana hai Dars to kaam vaaiz ka hai phir usi ko karne dijiye Usey hi dunya ki maara maari ko ab yahan suljhana hai Gaate gaate umr kati sur men aur kuchh be suri Dil deewana zaalim hai ab mus...
Arzoo nahin hai - Part 6, Dard -e- Dil ka Darma 25.10.2023 1:52
Aaj fikr hai sab ko Darham o daam ki Agarche, zaroorat hai Khabar nahi aaghaaz na hi anjaam ki Aur na safar hayaat ke kisi gaam ki Dil mein jo aaya woh kya hum ne Muntazir na rahey aamdِ payam ki Pila de saqi, nazron se pila Chaah nahi hai ab kisi jaam ki Choo lete hain taare zameen se hum Zaroorat nahi hai sar-e baam ki har nafs merg o zeest hai jab Vaiz, mat kar too baatein Dwam ki ehtram batin...
- Hum Kya Hotey / Dard-e-dil ka Darman- PART-5 25.10.2023 1:34
Hum kya hote Gar waqt na hota to hum kya hotay Aur khushi na hoti to gham kya hotay Saba , na Naseem , na hawa kahin Us fiza mein kaho dam kya hotay Gar ishq na hota na shaheed koi Na hotay majnu to sanam kya hotay Mout ka reh shukar guzaar to insaan Wujood fana na hota, to janam kya hotay Mat koson yaaro tum dastay khuda ko Uss ka qehar na hota, to karam kya hotay Maula na hota na hoti ibadat Phi...
Dard E Dil ka Darma- Part - 4 ,Nazm 1-Yunan 2-Ranj o malaal bohat hain 19.10.2023 4:43
Yunan Mehlon mein reh kar dekha jalva hum ne shaan ka ab dekh le chal kar ’Sahil’ khandar bhi yunan ka munafiqana hai mizaaj, matloon is insaan ka Mukhtalif andaaz hai, dil ki ab zabaan ka Pathar aur Hadid se faqat banti hain deewaaren Nashiman nahi hota koi, dil ke makaan ka Khulasa tere khutbe ka kar to lon mein, waiz Fikar bhi karunga phir, kal ke elaan ka Jee lo tum saleeqa se, naqash-e pa chh...
Dard E Dil Ka Darma Part - 3 - Nazm 1-Jo hona tha hua 2-Baatein Mohabbat Ki 3-Deen-o-Imaan 19.10.2023 5:23
Jo hona tha hua Khamiya e zeh uthaya to kya hua jo hona tha, so hua, to kya kya hua na Spas hai duniya phir kya hua ‘Sahil’ mehfil men na bulaya, to kya hua dil apna, jaan apni, qasoor kis ka hum ne khud hi dil ganwaya, to kya hua na koi saaz, na humnawa koi phir too ne sur men na gaya, to kya hua har so barbadi, tere shehar men Sheikh tu ne dasht o sehra sajaya, to kya hua jab dil hi viraan hai,...
Dard - E- Dil Ka Darma - 1-Maa ki Mamta 2-Noor-e-khuda dil mein hai 19.10.2023 5:52
Maa ki mamta Aayi yaad jab bhi maa ki Jee bhar kar hum bhi roye Neend jab aayi udti udti Haule haule hum bhi soye anokhi mamta maa ki hai Jaisi bhi ho, maa hi hai Gudda gudiya hum sab uske khil khil who hasati hai daant dapat kar suna kar lori pariyon se woh milati hai jeena mushkil uske bin yaad uski bohat sataati hai sunn lo bhaiya baat hamari maa ki mamta niy...
Similar podcasts
Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.