Ashok Sawhny 'Sahil'
Dastan -e- zindagi
Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.
Author
Ashok Sawhny 'Sahil'
Category
Podcast website
Latest episode
Jul 10, 2026
Where to listen?
Podcasts in the app Replaio Radio Coming soonPodcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts
Episodes
Dard E Dil Ka Darma - Dil Paak ho Jiska - Part -1 19.10.2023 3:08
Dil Paak Ho Jiska Sabr ho tahammul ki rihaaish aaj sitaaron mein hain Rang gulshan ka dekho chand angaaron mein hain Husn sitaaron mein nahi ab nazaaron mein hai Luft khazaan mein na ke bahaaron mein hai Hua karti thi raunaq nasheman mein kabhi Aaj jalwa bhi dekho deewaron mein hai Usey rind na kehna dil jis ka ho paak Pakeezagi bhi dosto ab maikhvaaron mein hai Jaandaar they log kisi zamaane mein...
Bahot Chhota 16.10.2023 3:19
Bahot chhota sa farq aur phir woh insan hota hai Baat sirf imaan ki hai bad gumaan to shaitaan hota hai Tumhari nazron mein kya hai zaahir hai magar Tumhaari aankh ka bhi to nigahbaan hota hai Kar lo jo chaaho zulm mujh per, yeh zameen hai Bachaane wala muhaafiz to aasmaan hota hai Alfaaz be jaan o be maani nahin hotey, lekin Asl matlab to aksar kha-mashi mein bayaan hota hai Bande, zaum nahin kos...
Muntazir hai Sawera 16.10.2023 1:48
Shama na jala ‘Sahil’ khawab bikhar jayenge Khawab bikhar gaye to hum kidhar jayenge Cheharon pe na jaa, dilon mein jhaank Shayad tere bhi tujh ko nazar ayege Na karna tum raah khumgah ki roshan Uth gaya parda hum sudher jayenge Muntazir hai sawera, to soya hai abhi Aftaab niklne se Gul nikhar jayenge Khush rakhna lamhon ko farz hai sab ka Khafa ho lamha to hum mar jayen ge Itne bhi nahi hum khud...
Woh bhi waqt tha 16.10.2023 1:35
Aaj rang nahi hai ‘Sahil’ aabginon mein Lahoo sukh chuka hai veraan seenon mein Chala karti thi Saba har subah kabhi Ab samoom bhi aaya karti hai mahino mein Khalal dekhiye is zamrrana ka aaj Log zeher botay hain sairaab zameenon mein Insaan ko insaan hi nahi maanta, koi Phir tafreeq kya kaho pathar aur naginon mein Inkisari thi bunyaad husn kabhi Haif! naz o ishva hai ab haseenon mein Apni duniya...
Kabhi Aisi Pilaana 16.10.2023 2:48
Kabhi aisi pilaana ai pir e mughaan tu Ba hosh rahun main madhosh reh kar Taajir banun main to phir aisa banun Ke khushbu hi bechun itr farosh reh kar Kaifiyat ho aisi shakhsiyat men meri Keh dun main sab kuchh, kh- mosh reh kar Imaandaari ka hota hai vazn to apna Imaan pukhta rahey be hosh reh kar Naam khuda ka rahey dil men ta umr Labon per bhi 'sahil' kh- mosh reh kar Dard o gham na hot...
Arzoo Nahin Hai 16.10.2023 1:52
Aaj fikr hai sab ko Darham o daam ki Agarche, zaroorat hai Khabar nahi aaghaaz na hi anjaam ki Aur na safar hayaat ke kisi gaam ki Dil mein jo aaya woh kya hum ne Muntazir na rahey aamdِ payam ki Pila de saqi, nazron se pila Chaah nahi hai ab kisi jaam ki Choo lete hain taare zameen se hum Zaroorat nahi hai sar-e baam ki har nafs merg o zeest hai jab Vaiz, mat kar too baatein Dwam ki ehtram batin...
Qismat hum se khafa hai 16.10.2023 3:23
Qismat hum se khafa hai, hum mubtala manaane mein Waqt kuchh to lagta hai yaro apni baat samjhaane mein Khuftagi insan ki to bila shak hai uski fitrat To sotey huay zameer ko phir der na lagey jagaane mein Khatrnaak hai woh bahot, khatra bhi khud ko zyada Sarkash ana ko to hain mushkilein jhukaane mein Hai naazuk woh bahot dhaaga baandhta jo dosti ko hai Phir ghaflat na ho yaro kabhi haath milaane...
MAA 16.10.2023 2:18
Kuchh udti gard hai maazi ki Jo mujh ko ab yaad aati hai Koi qissa chota chota sa Koi yaad jo sataati hai Aawaaz wo suhaani si Jo ab bhi yaad aati hai Woh Maa jo ab bhi khayalon mein Pyaala doodh ka pilaati hai Jab gungunaata hun main lori us ki Aaj sun kar bulbul sharmaati hai Sar jiski god mein rakh kar apna Sota tha, mujhe aaj bhi wohi sulaati hai Nakhre ghusse sehti sab Woh aaj bhi sabaq sikh...
Title - Dosto | Poetry by @AshokSawhnySahil 03.10.2023 4:29
Title - Dosto Poetry by @AshokSawhnySahil #urdupoetry #shayari #ashoksawhnysahil Dosto, Puja karo , Prayer ya Namaaz Chhupa un sab men ek hi raaz hai Khuda, God, ya Bhagwaan hain sab ek Aur, woh insan se aaj be had naraaz hai Is liye nahin ke woh khuda ko bhoola hai Ghaafil hai, aur khud ko khuda maanta hai Per, is liye ke woh insan ko insan nahin maanta Haiwaanon se bhi badtar bura maanta hai P...
Dhadkata to wo hai, hararat bhi to samjhe koi 29.09.2023 2:49
Dhadkata to wo hai, hararat bhi to samjhe koi Dil ki kaifiyat o ruhaniyat bhi to samjhe koi Haath milane ka mafhum khub jaante hain sab Magar, bhai chaara aur unsiyat bhi to samjhe koi Khuda ki inayat o mehr ki taalib hai dunya Us ki qu’wat aur qahr bhi to samjhe koi Yaro, chaman ki sairon ka lutf to uthao, lekin Kabhi phoolon ki nazakat bhi to samjhe koi Mahabat mahabat unsiyat ke qi...
Ek sadi bhi lag sakti hai umr bitaane mein 29.09.2023 3:25
Ek sadi bhi lag sakti hai umr bitaane mein Aur phir chund lamhe daastaan sunane mein Na aa sake tum na sahi per yeh to bata do Waqt laga tha tumhen kitna bahane banane mein Zamaane guzre hain mere khaak udaane mein Isi khaak ko phir khaak se mujhe milaane mein Ya Rab, dekh khuftah hai kab se yeh insan tera Waqt lagega aur tujhe kitna zameer ko jagaane mein Wafayi se aur zaalim kaho kaun...
Bharosa nahin taabindagi ka koi 29.09.2023 2:41
Bharosa nahin taabindagi ka koi Sila nahin hota hai bandagi ka koi Har sawaal ka jawaab laazim to nahin Zaamin hai nahin asoodagi ka koi Apna hai mazaa sab gardishon ka Badalte zamaane aur mausamon ka Pighalti barfen aur vaadiyon ka Thaharte waqt aur ravaaniyon ka Jaati bahaar se pyaar zyada mat karna Khizaan o simoom se tum zyada mat darna Yaro, har cheez ki hadd hoti hai, hamesha Jazbaat apnon s...
Guzarte lamhe ko aur lamha mila 29.09.2023 4:34
Guzarte lamhe ko aur lamha mila Hum ne to socha ik zamana mila Bad duaen nahin duaen mileen Wafa ka sila to khub umda mila Khaaron ko samjha paasbaan jinhon ne Sabaq un gulon se to aala mila Deewaanon ki mehfil men kya kya mila Aalim miley, tajruba turfah mila Khoya jab apna janaaze pe jism Zameer hamen yaro kul zinda mila Dushmani teri jab maut se yaad aayi Ai zeest, jeene ka aur bahan...
Puchha mujh se khaak ne aaj kis ka tu ghulam hai 29.09.2023 4:46
Puchha mujh se khaak ne aaj kis ka tu ghulam hai Kya milta nahin mujhse tujhe sukoon o aaraam hai Zindagi kya hai yaro puchhiye us phool se Naseeb men jis ke ek subh aur bas ek shaam hai Taskeen kya hai kaun batlaye aasaan nahin jawaab Labon per jis ke har waqt shayad khuda ka naam hai Insan o qudrat hain pareshan donon ja ba ja dekhiye Himmat rakho yaro tum woh jaanta hai jis ka nizaam hai...
Mahabat jala deti hai be bas insan ko 29.09.2023 3:45
Mahabat jala deti hai be bas insan ko Jaise barq e tajalli neele aasman ko Nigah karti hai na paak maasum muskaan ko Jaise badnaam karte hain daagh daamaan ko Khush bu mita deti hai har bad bu ko Jaise imaan mita deta hai bad gumaan ko Mushkilen aisi hain aaj jahan men, hairatmand Ke muhaal hai bahot samajhna aasaan ko Dosto, gar maante ho zeest ko tum imtehaan To zurur dar karo is khayal...
Rab ek hai, sab ko manao to koi baat baney 29.09.2023 2:27
Rab ek hai, sab ko manao to koi baat baney Badgumaniyon ko girao to koi baat baney Mustaqil nahin hotin shab e hijr saari Sham’a vasl ki jalao to koi baat baney Aati hain daraaren jaane rishton men kyon Tum deewaaren na banao to koi baat baney Mujhe mitana to kaam aasaan hai yaro Shikan maathe se mitao to koi baat baney Naseehaten to ‘sahil’ kaam naaseh ka hai Tum dil apne ko samjhao to ko...
Jo aaye ghar apne woh to ghar waale ban gaye 29.09.2023 1:58
Jo aaye ghar apne woh to ghar waale ban gaye Ab koi mehmaan dikhlaaye to jaanen hum Vaaiz, sunte hain khutbe subh shaam hum tere Tu kahin pukhta iman dikhlaye to jaanen hum Khiradmandon ke tamashe har su dekhiye Ab koi raqs e rindaan dikhlaaye to jaanen hum Ba parda nahin be haya hai zamaan Koi raqs e mizhgaan dikhlaaye to jaanen hum ‘Sahil’, aaj khalaaon men udti hai duniya saari Koi zam...
Hum ko hum se mila de koi 29.09.2023 2:30
Hum ko hum se mila de koi Naghme puraane suna de koi Main zulmat men chal kar thak gaya hun Rahguzar men sham’a jala de koi Kaise hain zakhm is dil ke mere Mujh hi ko dekh kar bata de koi Na waaqif ho asl ki duniya se jo Usey saraabon ki duniya deekha de koi Talkhi woh maazi ki, ai naaseh Bhula de, varna mita de koi Goonjti hai ab bhi kaanon men mere ‘Sahil’, Ma ki woh lori suna de koi N...
Falak men jo nayyara hai 05.09.2023 7:36
Falak men jo nayyara hai Woh to bas sayaara hai Ulfaton ka kya kehna Saraabon ka nazaara hai Dosto, umr achhi kat jayegi Gar imaan ka sahara hai Khafa hai kyon tu mujhse qismat Maalum hai tujhe khuda mera hai Dhundla dhundla sa maazi ab Bas, Ma ka hi gehwara hai ‘Sahil’, jaisi bhi hai zeest meri Main ne hi isey sanwaara hai Nayaara. Raushan sitara Sayyara. Traveller Maazi. Past Gehwara...
Ek nafas aur naseeb ho to aur kya chahiye 05.09.2023 7:36
Ek nafas aur naseeb ho to aur kya chahiye Humsafar gar habib ho to aur kya chahiye Dosti nahin masti hai jalwagahon men bas Humnawa koi ghareeb ho to aur kya chahiye Har waqt to nahin hoti chaman men bahaar Khizaan men andaleeb ho to aur kya chahiye Raah apni pe chalti hai dunya yeh saari Rahbar agar raqeeb ho to aur kya chahiye Mushkil alfaaz ka istemaal koi kamaal nahin hai Saada lafzon...
Asrar e zindagi, kaun jaanta hai 05.09.2023 3:01
Asrar e zindagi, kaun jaanta hai Khuda ki bandagi kaun jaanta hai Haath jodey jabin khaak se milaye Ibadat ya sharmindagi kaun jaanta hai Dil men kis ke kya basa hai kya khabar Masaraton men afsurdagi kaun jaanta hai Fitrat yeh insan ki hai maaloom baat sab ko Acchi ya buri aawaaragi kaun jaanta hai ‘Sahil’, khuzu to hai per samjhe kaun Rabbani hai saadagi maanta hai kaun Asrar. Raaz....
Main hun meri dasht e intehayi hai 05.09.2023 7:36
Main hun meri dasht e intehayi hai Jo hai sab khuda ki khudayi hai Shukr hai us ka ke ruswa na hua Mere aage firdaus meri paarsayi hai Yahan parindon ka nahin chehchahana koi Yeh to meri hi dasht e tanhayi hai Tanha main nahin ke mere saath hai koi Usi main se to meri ab kul aashnayi hai Aasaan nahin kisi se hum aahang hona Meri bhi to mujh hi se humnawayi hai Chhord aya hun sab kuch ahd...
Behlaya na dil ko to woh rooth jaayega 05.09.2023 2:10
Behlaya na dil ko to woh rooth jaayega Rishta tab us se to shayad chhoot jayega Bedaar rehna yaro gulon ke darmiyaan Pathar nahin sheesha hai dil toot jayega Sang dil bhi to hota hai narm dil bahot Zabardasti na karna woh rooth jayega Naazuk paude ka rakho tum dil men khayal Na rakhoge ghaafil to woh sookh jaayega Fitratan aawaara hai dil sab ka, ‘sahil’ Aazaadi di zyada to woh loot j...
Aaj jab dil na jaane gham kya hai 05.09.2023 2:25
Aaj jab dil na jaane gham kya hai To charahgar tu bata marham kya hai Bahaar na khizaan, simoom na saba Koi pehchaanta nahin hai mausam kya hai Khalish khaar ki hai dars gulon ke liye Chot ho apnon ki to zakhm kya hai Mat kijiye baat darya ki logo Aawaragi kya jaane sangam kya hai Gar zakhm hi na jaane dardon ko To phir sitamgar kyon jaane zulm kya hai Ai vaada shikan zameer dafn hai kah...
Ishq, jazba hai fitrat hai imtehaan nahin 05.09.2023 4:38
Ishq, jazba hai fitrat hai imtehaan nahin Qasmen na khao wafa ki, aasaan nahin Kyon puchhte ho niyat e shauq ka thikana Marhala to marhala hai, aashiyaan nahin Raqibo,nazar aane or honey men farq hai Ghar auron ka ho raushan to aftab nihaan nahin Sham’a jaley raat bhar goya suraj iyaan nahin Dhukhaan us ka dhuaan hai, fughaan nahin Izzat sab ko pyaari hai yaad rahey, shaikh Pakdo jab tum...
Similar podcasts
Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.