Ashok Sawhny 'Sahil'
Dastan -e- zindagi
Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.
Author
Ashok Sawhny 'Sahil'
Category
Podcast website
Latest episode
Jul 10, 2026
Where to listen?
Podcasts in the app Replaio Radio Coming soonPodcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts
Episodes
Main banda e iqbal hun bakhtiyaar hun 05.09.2023 3:13
Main banda e iqbal hun bakhtiyaar hun Tera, mere Rab main parastaar hun Dhun teri, sur tere, main tera yaar hun Mizraab hun tera, main tera hi sitaar hun Saqi tu,nasha tera aur kaif mera Teri khumgaah men main maikhwaar hun Shaitaan to hai har insan men Prabhu Teri mehr aur main kul bedaar hun Tu maalik jahan ka shahryaar hai Maula Main sirf sang o khisht ki deewaar hun Tu to mehr o kar...
Gulshan men phoolon ka nigahbaan kaun hai 05.09.2023 2:04
Gulshan men phoolon ka nigahbaan kaun hai Kabhi khaaron se puchho paasbaan kaun hai Insan khaak hai woh nahin to raakh hai Sab majaazi sitaarey aasmaan kaun hai Barq e tajalli, garajteybaadal Naaseh, faani hain sab javidaan kaun hai Vaaiz, hikmat teri ko tasleem kiya per Siva Rab ke yahan meharbaan kaun hai ‘Sahil’, bande to sab khuda hi ke hain Puchh le us se hindu musalmaan kaun hai Ni...
Dil ukta jaaye jahan se to jaoge kahan 05.09.2023 2:52
Dil ukta jaaye jahan se to jaoge kahan Taaron taley nahin to khud ko sulaoge kahan Mushkilon se dar gaye to jeena nakaam Dar gaye qaza se gar to sukoon paoge kahan Gar lahu nahin gunaah daure ragon men to phir Wuzu kya karoge tum khud ko nehlaoge kahan Taareeki ho aisi jo karey na dur khursheed Us teeragi men yaro tum sham’a kya jalaoge Dil ke khaanon men ‘sahil’ na ho gar ja koi Phir khud...
Pyaar fitrat hai, kis se kab hum se puchhiye 04.09.2023 2:40
Pyaar fitrat hai, kis se kab hum se puchhiye Kya hai is ka hisaab kitaab hum se puchhiye Mahabat khuda se aur phir bhi gumaan To phir aashiqui ka matlab hum se puchhiye Gar ek hichki ki ho zindagi muntazir, phir Mafhoom jaan ba lab ka hum se puchhiye Kaho kaun samjha hai jazba e sukoon kabhi Ghazab kitni hai shai talab, hum se puchhiye ‘Sahil’, kya hua hai bata logon ko aaj Yaro, na boley...
Jawaan hai raat ab sehar na ho jaaye kahin 04.09.2023 2:32
Jawaan hai raat ab sehar na ho jaaye kahin Ashkon ka darya ab behr na ho jaaye kahin Yaro, nasheb o faraaz hai naam zindagi ka Sambhaalo, idhar udhar na ho jaaye kahin Muztar tabiyat, anjaani hai niyat sab ki Ilteja Rab se, bad tar na ho jaaye kahin Raqibo, kahin meem ka qaaf na ho jaaye Mehr khuda ki ab qahar na ho jaaye kahin ‘Sahil’ tu falsafi hai shaair nahin, dost Teri shayari be be...
Kis jaanib ja rahi hai logon ki raghbat aaj 04.09.2023 2:18
Kis jaanib ja rahi hai logon ki raghbat aaj Batao kis rang ki hai logo anokhi ulfat aaj Dil lagaya Rab se jab, uktaya phir woh kyon Kaisi be sabaat hai teri insan ibadat aaj Mohkam nahin hai kuchh bhi kyon, imaan samet Ja ba ja ki raaegaan hai, insan ki aadat aaj Asaas se door, jaron se tu be ta’alluq Nazar aati hai kyon mahz teri adavat aaj Kaunsa mazhab kis se behtar, fuzul ki yeh baat...
Fasaana e Maazi 29.08.2023 2:50
Tumse to hum mil liye ab pyaar se mila do Ajnabi woh kaun hai us yaar se mila do Mil liye gulon se hum unki doghli mehak se Chubhan jis ki pyaari ho us khaar se mila do Aawaragi ke shauq se ab door hain hum bahot Pagdandiyon se kyon rahguzaar se mila do Udti un sabaaon se nahin waasta ab koi Tum haseen kisi daayimi bahaar se mila do Fasaana e maazi ke siwa bacha kuchh nahin Koi to us ta...
Zindagi Kya Thi 23.08.2023 2:35
Na khatar na hazar na be khudi thi bas Zindagi thi yaro, zindagi thi bas Shaan na shaukat, tha dil men sukun mere Libas e gadda aur pur saadagi thi bas Zubaan paak zameer zinda shukr khuda ka Nafas usi ke aur usi ki bandagi thi bas Ja ba ja ghooma hun main dekhi hai dunya saari Insan sab har ja ek, sab pe uski rehmati thi bas Ab dekhta hun main jab bhi mud ke zeest ko ‘sahil’ Shukr karta h...
Maana ke dil behlaane ke liye khayal achha hai 23.08.2023 0:25
Maana ke dil behlaane ke liye khayal achha hai Per yeh nahin to phir mutabadil kya hai Ne’mul badal batao koi khuld ka to maanen Varna yaro isi se kaam chalao, kaho dil kya hai Mutabadil. Substitute Ne’mul badal. Alternative Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny....
Phir sumundur aa gaya pasang men 18.08.2023 2:38
Phir sumundur aa gaya pasang men Dil bana jab paasbaan e hayaat Iman pukhtah chahiye ‘sahil’, varna Zindagi kuch nahin bas maat hi maat Khafa ho kar jaaoge to pursish hogi zurur Kya hai batao baais e tark e mulaqaat Khaar kaanta be shak per nigahbaan bhi to hai Khaamiyaan kis men nahin siwa khuda ki zaat Aftaab na dur kar saka jis teeragi ko, yaro Tum sham’a se raushan kya karoge woh raat Ghaa...
Kis azaab ki baat hai bata ai dil be chaarey 18.08.2023 3:34
Kis azaab ki baat hai bata ai dil be chaarey Woh jab jeeni padey hayaat doosron ke saharey Sunte hain naghme chaman men jab gul saare Kaun jaaney sada bulbul ki tab kisey pukaarey Yaad aati hai mujhe saqi un pyaalon ki bahot Guzaari hain main ne shaamen jin ke saharey Mahjdhaar men khelti hai maujon se jab kashti Tab fikr nahin usey koi milen na milen kinaare Aawaara to hai qaza jaane kab...
Woh naseem thi, saba thi, hum they simoom 18.08.2023 2:41
Woh naseem thi, saba thi, hum they simoom Woh shhatir awwal aur hum they maasoom Un saazgaar hawaon ka bharosa kya hai Be zarar ko nahin hoteen yeh baaten maaloom Woh kya jaane lutf aashnayi ka, naaseh Jo khud hi se, bad bakht, ho jaaye mehroom Aawaragi hai fitrat insan ki zurur Ai dil, reh kar hadon men tu be shak jhoom Subh na shab kaho yahan jaavaid kya hai Faani sab, siwa Rab ke kuchh...
Aaj dil ko hum ghumaane nikle 17.08.2023 1:47
Aaj dil ko hum ghumaane nikle Jaane kis se hum milwaane nikle Saadagi hamari zara dekhiye Kaise dil ko aaj samjhaane nikle Mehakti sada bulbul ki sun kar Chaman men dil ko behlaane nikle Chashm e num ka andaz e bayaan aisa Ke bezaar is dil ko rulaane nikle Jab veeraani ko paaya har su nigah ne Phir baharon ko hum paane nikle Firasatmandon ki mehfil men shaamil huay Per us anjuman men sab...
Khuda tak pahunchne ke liye to aasmaan chahiye 17.08.2023 7:53
Khuda tak pahunchne ke liye to aasmaan chahiye Naghma sunana ho to dil shaadmaan chahiye Gulon ki zururaten to hoti hain be shumaar Per, chaman ko to bas ek baaghbaan chahiye Kabhi rukey na waqt na ravaani e aab Logo, zindagi bhi to sab ko ravaan chahiye Daur e asr men hunar hai nukta cheeni, haif Aaj auron ka sab ko sirf nuqsaan chaahiye Ghalat hai mafhoom aaj khud aitmaadi ka Unsiya...
Jab lagta nahin hai jee mera ab ku e yaar men 17.08.2023 6:18
Jab lagta nahin hai jee mera ab ku e yaar men Lagega kya tum hi kaho phir ujde dayaar men Jalti nahin hai sham’a yahan gulon ke darmiyan Sannaata bhi ajab hai aaj mere hi gulzaar men Ro rahey they gul bhi saare aur baaghbaan be zaar Maayus na dekha chaman aisa hum ne kabhi bahaar men Hai kitni us men pukhtagi hai aitbaar us ka kya Yaqin karen to kaise phir hum mausam e saazgaar men Sunta hun nasee...
Qadr auron ki na ho to qusur ilm ka hai 08.08.2023 3:00
Qadr auron ki na ho to qusur ilm ka hai Aaj zamaana hi mizaaj e barham ka hai Taqaza to umr ka ya phir ilaaj ka hai Qusur chaarahgar ya marham ka hai Dil roney per main kh-mosh hi raha Dagha to yaro num chashm ka hai Aarzu, tamanna, woh hasrat ab kahan Shauq bhi aaj kuchh kum kum sa hai Yaqin hai mohkam, imaan bhi pukhtah Per, sawaal to us bala e vahm ka hai Munfarid hai Rab phir bh...
Jab naam tera be muhaaba hai 08.08.2023 6:26
Jab naam tera be muhaaba hai Phir khauf ho mahz khuda se Insan se kya darna bande Woh to khud darey hai fana se Husn o jamaal e chehre se Na hoti hai woh fida se, Hoti hai pukhtah mahabat to Hoti hai sirf wafa se Kaifiyat miley khumgaah men zurur Lazzat jalwagaah se Per kuch nahin hai badh kar, yaro Saadagi ki qaba se Kisi kaasa ba dast se puchho kabhi Kya milta hai usey kaasa se Kya samajht...
Ganga ho ya ho woh Raavi 08.08.2023 2:59
Ganga ho ya ho woh Raavi Pyaas to wohi hoti hai Jalte dil ko miley aaraam Aankh to wohi roti hai Gehra jitna ho sumundur Milna to wohi moti hai Chaahat be lagaam ho jaaye Zameer bhi wohi khoti hai Zabaan se bach kar rehna yaro Nafrat bhi wohi boti hai ‘Sahil’, insan badla rooh na badli Wohi phir chain se soti hai
Jo kehna hai be dhadak kaho ishaarey kis liye 24.07.2023 2:57
Jo kehna hai be dhadak kaho ishaarey kis liye Andheron men chalna kyon hain sitaarey kis liye Khud gharaz banogey tum to haasil hoga kya Zururat padi tab samjhoge hain sahaarey kis liye Dars miley ya na miley waqt na ruka kabhi Ghaafil guzaare din o raat to phir guzaarey kis liye Laazim hai intekhaab bhi tamanaon ke darmiaan Jaan leva hain jo armaan yaro woh pyaarey kis liye Doobna hi th...
Ilteja, Darwaza Khol Kar To Dekh 18.07.2023 3:08
Teri dehleez per umeed banaye baithe hain Dastak de kar sham’a jalaye baithe hain, Jaanam, na kholey tu dar to kya hua Muztar dil ko hum manaaye baithe hain Haqeeqat ka saamna aasaan nahin Khwabon me khud ko jhulaye baithe hain, Kabhi to zulmaton ka parda uthega Kiran subh ki ka aas lagaaye baithe hain Kehte hain dunya ghoomti hai Hum to khud ko ghumaaye baithe hain, Justaju sab ko suko...
Kya karunga main husn e tasweer ka 18.07.2023 1:27
Kya karunga main husn e tasweer ka Na ho gar karam aalamgir ka Num chashm baney kor chashm agar Phir kya tere jalwa e be nazeer ka Gar pa ba jaulaan ho man zameer ka To karna hai kya kisi zanjeer ka Khwab o saraab to behlaate hain dil Fayeda phir kya kisi taabeer ka ‘Sahil’, riza khuda ki laagu hai sab per Phir qusoor kya hai bol taqdeer ka Aalamgir. Khuda Num chashm. Teary eyed Kor c...
’Sahil’, dil men jhaank 12.07.2023 2:37
’Sahil’, dil men jhaank Dil men la makaan milega, Takta rahega sitaron ko To sirf aasmaan milega Majaazi khuda milenge Na rahnuma koi, Ghamgusaar nahin Na humnawa koi Baat hisaabon ki hogi Daulat ki shumaar, Saqi bhi maikade men Dost na kisi ka yaar Waqt nahin hai paas kisi ke Fursat na neeyat kisi ki, Unsiyat ko bhoolen hain log Nek nahin hai tabiyat kisi ki ‘Sahil’, ab la makaan ko hi pu...
Yaro, veeranon ki tum mehak to jaano 12.07.2023 2:03
Yaro, veeranon ki tum mehak to jaano Barq e tajalli ki jhalak to jaano Mafhum zindagi ka puchhte ho kya Tum jeena usey tunuk to jaano Jo Raahi pagdandiyon ke rahey ta umr Momin kya banoge, ab sadak to jaano Kaafir ko samajhna aasaan nahin hai Kabhi bhatakte dil ki dhadak to jaano Tum rang kya bharoge dhanak men zaahid ‘Sahil’, ke pyaalon ki khanak to jaano Note: All material in this prod...
Mumkin hai ke jannat aasmaan ke us paar hai 12.07.2023 3:13
Mumkin hai ke jannat aasmaan ke us paar hai Mumkin yeh bhi ke donon ke darmiyan deewaar hai Mumkin hai ke woh deewaar sang o khisht ki nahin Mumkin hai deewaar nahin phoolon ka gulzaar hai Mustaqil kuchh nahin, pukhtah kuchh nahin Kya khabar khazan ke baad bahaar hi bahaar hai Zindagi la mahdood nahin ajal se puchhiye Phir, dil kyon muztar aur yun be qaraar hai Baargaah e khuda men dena h...
Jalwe shauhrat ke nahin taskeen chahiye 12.07.2023 2:10
Jalwe shauhrat ke nahin taskeen chahiye Kya milega aasmaan se zamin chahiye Pareshaan sa insan dekhiye jidhar chaho Bina shikan ki apni jabeen chahiye Kuchle bhi jaayen to kya hua phir Khaak ko bas do gaz zamin chahiye Jaanti hai rooh, manzil woh musafir Isi liye usey hablul mateen chahiye Khaak hai, ‘sahil’, jaanta hai baat zurur Ab khaak hi se usey aafarin chahiye Taskeen. Aaraam Bina...
Similar podcasts
Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.