Ashok Sawhny 'Sahil'
Dastan -e- zindagi
Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.
Author
Ashok Sawhny 'Sahil'
Category
Podcast website
Latest episode
Jul 10, 2026
Where to listen?
Podcasts in the app Replaio Radio Coming soonPodcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts
Episodes
Kis Kaam Ki Firasat 19.03.2024 2:04
Kis kaam ki firasat agar zauq e nazar na ho Teri raah per chalun aur tera ghar udhar na ho Tere tasavvur se jaanam yaad aaye phir naseem Per, yaadein hain saraab woh manzar agar na ho Khazana woh kya jahan la’al o gohar na ho Sadaf woh kya batao jis men gauhar na ho Vaaiz, be hiss ko sunaye to raaeagaan ho sab Khutbe ka kya fayeda gar us ka asar na ho Kor chashm ki hayaat mein andhere nahin hotey...
Tarz E Ibadat 19.03.2024 2:04
'Sahil', tarz e ibarat, tarz e kalaam, Kijiye inhein mukammal salaam Lafzon mein aakhir kya rakha hai Gar falsafa ho kisi ka maqaam Jo na karey darya kulzum ko salaam Kaisa woh phir ajab inzimaam Woh milna phir milna kaisa hua Jis milne mein na ho koi ehtiraam Manzil, manzil, ek aur manzil Jab justaju bande hai sirf aaraam Sabt o manfi to kuchh nahin hai Tasleem kar momin tu Rab ka nizaam...
Mehfil ka charaagh 19.03.2024 1:43
Kabhi mehfil ka charaagh ban kar dekho Apne daaman ka daagh ban kar dekho Aasaaish kya milegi kisi aur se tumhen Kabhi khud apna faraagh ban kar dekho Pehchanana ho kisi ko, asl iradon ko khoob To phir us ka dil o dimaagh ban kar dekho Har daagh nahin hota nishan ruswayi ka Kabhi chaand ka bhi daagh ban kar dekho Roz marra ki daur mein kya rakha hai, dosto Kabhi zindagi ka bhi suraagh ban ke dekh...
Raah-e-Zindagi | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah 13.03.2024 1:18
Junoon aisa tha, naam majnu hota to wajib hota Gar takhallus sauda hota, to munasib hota Chalte rahe, ai musafir, raah e zindagi per Mat sochna kash manzil ki janib hota Yeh hota, woh hota, khuda jane kya hota Sitara hota to mein bhi, Saqib hota Mukammal hai shanasaai gardishon se Imaan pukhta na hota, kya mein Rahib hota Nasheb o fraaz fitrat maujon ki hai ‘Sahil’, kash apne nafs per bhi ghalib h...
Shaadmaan Kaun 13.03.2024 1:30
Aarzi hain jazbaat, shaadmaan kaun aur ranjoor kya Ai Musafir-e-humsafar, hoor kya, suroor kya Vasl kya hijr kya, paas kya door kya Khumgah mein makhmoor kaun, hijaab mein mastoor kya Pila saqi nigahon se, pyala aur jaam kya Taak-e-angoor kya, peene ka shaoor kya Dil veeran ma’amoor kya, jo hai so hai Imaan mera pukhta hai, phir yeh mazkoor kya Nigehbaan mera batin mein hai, parwa kya mujhe Tu bhi...
Safar To Safar Hai 13.03.2024 2:57
Safar to safar hai ‘sahil’ koi mausam ka bayaan nahin Jaise sehar naam subh ka hai, aftab ka ayaan nahin Sach kitna hai daleelon mein yeh to daleelen hi jaanen Sabooton ka bharosa kya, woh sach ka bayaan nahin Zabt e sukhan hai aqlmandi, posheeda us men sukoon Khamosh rehnewala naaseh, becharah, be zubaan nahin Daaman pe daagh, chaak girebaan yeh to mohavarey hain Ghurbat ke alamaat be shak, rus...
Khel / Dard-e-dil ka Darman 23.02.2024 1:23
Talaash hai teri ai zeist, nazar aane ki baat hai Kya guzarte waqt ka naam hi hayaat hai Mujhe jeena hai tujhe, bِin jane hue Wallah! yeh kaisi ajeeb o ghareeb baat hai Aate nafs ka intzaar, jate nafs ka dar Yeh aamad o raft ka khel hi raaz-e-mulaqaat hai Yaro, behas kya zindagi aur maut mein Dard ke maron se poocho, maut saughaat hai ‘Shahil’, qaza dastaanِ-e-hayaat ki baat hai Gul ke khilne aur...
Jazba Hai Mohabbat / Dard-e-dil ka Darman 23.02.2024 1:37
Jazba hai mohabbat, aitbaar afsanon ka kya Har soo hai khizaa, to khiyabanon ka kya Hamnawai ho agar to aur kya chahiye Mil jayen yaar naik, deedar mehmanon ka kya Yeh hua, woh hua, kkhuda jane kya hua Baat karo zeest ki, dastanon ka kya Ulfat ke pujari thay raanjha o heer Haal dekhye aaj, khokhle deewanon ka Barbaad kar ke zameen ko yeh bande kkhuda Chala hai haal poochne, anjane asmanon ka Zaman...
Munfail / Dard-e-dil ka Darman 23.02.2024 2:00
Munfail Muqabil hain samandar aur sahil bohat Ghumzda hai aah, udas hai dil bohat Samjhaayein nazakat mohabbat ki kya Dil o dimagh hain ‘Sahil’ munfasil bohat Hamein qisse na sunao hamdardi ke Hai mohabbat se nafrat mut-tasil, bohat Pila de saqi, rang jama, kuch to kar Be raunaq hai aaj, teri mehfil bohat Nazron se peene ki tamanna hai, sab ko Jaam firasat ke peete hain jaahil bohat Peeri ka baar...
Chand khawab 23.02.2024 1:22
Shab-e- furqat hai, kya karenge khud ko sanwaar ke Dil ghamgeen hai, na sunaaoo naghme bahar ke Yaaron ne kiye wadey hum se intzaar ke Chand khawab dekhe hum ne, samundar ke paar ke Ro kar guzari shaam, phir ashkon ka kya shumaar Mizaan mein nahin toltey, gham dil figaar ke Haazir hai dil o jaan, kaho kya pesh karein Mangte ho shahadat kis qoul jaan Nisaar ke Bohat zakhmi hai jigar, daman hai taar...
Jahan Ik Aur 22.02.2024 2:36
Jahan Ik Aur Sitaaron se ucha jahan ik aur Falak se buland aasmaan ik aur Teri neki bhi humne dekh li hai shaikh Hai tujh se bhi siwa meharabaan ik aur Tu jab chahe kar baag-e-eram ki sair Magar isse badh kar hai gulsitaan ik aur Bhar li tumne aahein bahut, dosto Baaqi hai lekin aakhiri fugaan ik aur Main kaise batau raaz apne bhala Hai sab se buland-tar raazdan ik aur Fir purani kahani ‘Sahil’ tu...
Woh Aadmi 16.02.2024 1:56
Title - Woh Aadmi By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Woh aadmi hai momin be shak jiske qiley nahin Lekin, naam khuda ka zubaan uski bhooley nahin Kyon qabool na hui kaho nadamat us ki Chaak daaman jiske kabhi siley nahin Yaro, hum zubaan hona kya fayeda batao Gar dil woh donon kabhi miley nahin Iman pukhtah ho aisa talatum men logo Jo toofaan men doobtey bhi hiley na...
Jaan Ki Baazi 16.02.2024 4:05
Title - Jaan Ki Baazi By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Jaan ki baazi lagaane walo Jaan to musta’ar hai Naqsh e pa sahil per kya, jab Manzil hi us paar hai Takte hain falak ko sab Kya jannat us paar hai Kya basta hai khuda wahan Woh jo sab ka yaar hai Maana firasatmand ho shaikh Per, rab to tum se hoshyaar hai Mominon ka, kaafiron ka Wohi ek parwardigaar hai Kabhi...
Kuchh Udaas Hai 16.02.2024 2:38
Title - Kuchh Udaas Hai By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Kuchh udaas hai dil justaju hai taskeen ki Zururat hoti hai sab ko ik hum nasheen ki Humnawa na ho to phir batlaye koi Kya karenge nazakat hum mah jabeen ki Hamdardi bharpoor saada lauhi zurur Darkaar phir kyon ho kisi aafreen ki Nahin hoti paabandi parwaaz per koi Gar tasweer zahn mein ho apni zameen ki Kyon bh...
Insaniyat 16.02.2024 2:45
Title - Insaniyat By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Insaniyat se badh kar to koi mazhab na deen Mandir masjid kaleesey ki ijaradaari nahin Bhagwan Khuda God sab ek hain ‘sahil’ Us ek ke man men to paagal insan ki maara maari nahin Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/...
Mehmaan 16.02.2024 2:15
Title - Mehmaan By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Har dil mein ik mehmaan hota hai Jo aksar bilkul anjaan hota hai Yun maaniye hamare aakhiri dum tak Hum zameen woh aasmaan hota hai Woh kaun hai woh kya hai Kya hum se behtar insan hota hai Hum kyon nahin jaante hain usey Hamare andar woh kahan hota hai Khud ko dhundte phirte hain hum Jab hamare yaan woh mehman hota hai...
'Sahil’, itmenaan kya hai 16.02.2024 3:51
Title - 'Sahil’, itmenaan kya hai By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari ‘Sahil’, itmenaan kya hai dil ki jaan kya hai Zameen per chalte ho tum, aasmaan kya hai Rind jo bitaaye maikhaane men shab Us se puchh kar batlao aashiyaan kya hai Maathe pe shikan maayus kun hain dil Armaan hi armaan, bolo muskaan kya hai Batao, ittefaaq kya, imtehaan kya hai Mushkilen samjho to...
Chund Qataat 16.02.2024 3:37
Title - Chund Qataat By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Gul dekhe bahaar dekhi aaye khizaan jab aaye Khwahish ki haaye na hai aziyat ki haaye ‘Sahil’ musta’ar hai hayaat waapas to karni hogi Sochne ka bojh kyon, jaan jaani hai, jaaye jab jaaye Zindagi ek bazaar nahin to kya hai Rozi roti kaarobaar nahin to kya hai Qismat ne likha hai sukh dukh har lakeer mein Yeh khud...
Pehchaante Hain 16.02.2024 2:34
Title - Pehchaante Hain By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Pehchaante hain hum jism o aab ki shanasayi ko Hum ne dekha hai qareeb se behr ki gehrayi ko Koste ho kyon bin soche yaro be rukhi ko tum Khud ko na samajhe aur taraste ho humnawayi ko Lagte hain daagh daaman pe rashk o hasad ke bhi Ruswayi mat samajhna har afwaah e ruswayi ko Ho jaati hai be saakhta yeh fitrat...
Waqt-e-Ikhtetaam Hai 02.02.2024 1:04
Title - Waqt-e-Ikhtetaam Hai By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Waqt e ikhtetaam hai Labon pe Ram Ram hai Neend aaye to so jao yaro Usi men sukoon o araam hai Dil men Rahim o Ram hai Dua aur salaam hai Ladkhadaate hain qadam Peeri is ka naam hai Amn o chain payaam hai Mai naab ka jaam hai Pareshan kyon hai insan aaj Ram to sar e baam hai Aaghaaz bhi to Ram hai Safar au...
RAASTA 02.02.2024 1:49
Title - Raasta By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Raasta ho ghanera laazim to nahin Raushan har savera laazim to nahin Chaarahgar hai sahara maseeha nahin Har baar ho mojaza laazim to nahin Ashkon se mumkin dil halka ho jaaye Per har baar ho aisa laazim to nahin Qismat ko na koso ghaafil woh nahin Qabool hovey dua laazim to nahin Nuqte mein qu’wat jahan bhar ki hai Per...
Aate Hain Khwaab 02.02.2024 1:32
Title - Aate Hain Khwaab By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Aate hain khwaab gaahe gaahe neendon mein ab mujhe Sukoon o chain milta hai sarabon mein ab mujhe Dil lagta nahin hai ab kahin na kisi shai mein jee mera Aati hai yaad khizan ki kyon baharon mein ab mujhe Talaash hai jis chain ki sabko, bazaar us ka to hai nahin Milte hain jawaab saare yaro, sawalon mein ab muj...
Ai Insaan- Dard-e-dil ka Darman 02.02.2024 1:04
Title -Ai Insaan / Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Be niyazi to sift-e-laa jawab hai Be niyazi to ab sirf ik khawaab hai Jhuke sar aur Jhukein palkein Aaj khyalِ-e-khaam, saraab hai Intikhab yeh kaisa, ai baghbaan bata Kya har gُul ka naam yaan ghulaab hai Kabhi to nibha tu farz bhi apna Ai insaan, tu kyun munt...
Mehmaan -recited by Ashok Sawhny 30.01.2024 2:15
Title - Mehmaan By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Har dil mein ik mehmaan hota hai Jo aksar bilkul anjaan hota hai Yun maaniye hamare aakhiri dum tak Hum zameen woh aasmaan hota hai Woh kaun hai woh kya hai Kya hum se behtar insan hota hai Hum kyon nahin jaante hain usey Hamare andar woh kahan hota hai Khud ko dhundte phirte hain hum Jab hamare yaan woh mehman hota hai...
Kyon Jhijhakte Ho 15.01.2024 3:01
Title - Kyon Jhijhakte Ho By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Kyon jhijhakte ho tum mulaqaat se Subh bhi to mila karti hai raat se Hotey hain pyaare zakhm ulfat ke kuchh Takleef zyada nahin hoti us saughaat se Bolna hai aasaan, bahot aasaan taqreeren Firasat to milti hai qalam dawaat se Aaj daulat se milti hai duniya to saari Per koi chain nahin milta auqaat se Yaro, r...
Similar podcasts
Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.