Ashok Sawhny 'Sahil'

Dastan -e- zindagi

Arts UR ↓ 582 episodes

Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.

Author

Ashok Sawhny 'Sahil'

Category

Arts

Podcast website

www.ashoksawhny.com

Latest episode

Jul 10, 2026

Where to listen?

Podcasts in the app Replaio Radio Coming soon

Podcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts

Get it on Google Play Install for free Android 5M+ downloads · 4.8 rating iOS soon

Episodes

Kuch Aisa Likh ‘Sahil’ | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 03.07.2024

Kuch aisa likh ‘sahil’ jo dil ko chhua karey Pathhar dilon ko jo narmi samjhaya karey Zabardast zururat hai jahan ko in baaton ki Aisa likh jo khud gharazi ko bhi mitaya karey Insaniyat se badh kar to jazba nahin koi Hamdardi ki kaifiyat bhi to batlaya karey Aaj is qadr zaalim hai be hissi insan ki Ke khuda se bhi ab, woh na dara karey Majaazi khuda to behra hai jidhar dekhiye Behra aisa, ke Rab k...

Alvidah | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah 03.07.2024

Kisi qabil bhi na rehta, ‘Sahil’ tu kabhi Qasam khuda ki tod kar, imaan tu kabhi Muntazir hai raah, ja rahi alvidah Mat dekhna mُud kar idher tu kabhi Dastoor hai jahan ka, purana yeh bohat Jaye ga ik din chod kar hamein tu kabhi Mat samjha usool Khumgah ke, saqi Jaam par jaam pi tu kabhi ‘Sahil’, ajab hai junoon-e- shayari tera Ke hosh mein na aaya, sar phod kar tu kabhi

Mai- E- Naab - Ashok Sawhny Sahil , Shayari 22.06.2024

Title - Mai-E-Naab By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Wo ja le chalo jahan mai e naab ho Pur sukun ho dil na ke be taab ho Wo chaman kya jo bin shamshaad ho Woh insaan kya jo dil se kharaab ho Mafhoom samajhta hai pinjre ka qaidi Woh qafas hi kya jo bin khule baab ho Sheesha o saaghar maikada nahin Khumgah kya gar rind nahin sharaab ho Aftaab ki tapish se sookh jaata...

Har Dua | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 21.06.2024

Title - Har Dua By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Har dua ka jawab na miley jaane log kyon gila karte hain Rab tak pahunche kaafi hai hum yehi dua karte hain Hum jaante nahin hain qaasid kaun baat ittefaaq ki hai Na pahunche Rab tak phir ghalat ilteja maante hain Bad duaon se kya darna, unhein jaam e zehar maaniye Apne gunahon ki hum unhen dawa samajhte hain Kamaal woh...

Irtihaal | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah 21.06.2024

Ai fanaa, aaj phir tera kamaal hua Mohammad Ali ka Irtihaal hua Ayyashi mein bhoola hai insaan tujhe Aaj phir, achha insaan paayemaal hua Khudaaya, parinde tere to badle nahin Tere bashar ka kyun yun zawaal hua Fitrat fanaa hai har jaan ki yaro Phir kaho, javedani ka kya sawaal hua Aftaab ki surkhi se sharam naak chaand Odhe baitha hai chaadar, kya visaal hua Maseeha, se le kar raam talak Nek insa...

Zulm | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah 11.06.2024

Title - Zulm/ Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Hum to lage hain dilon mein rehne Ai be nayazi tere kya kehne Mujh ko sath le chal, ai ‘Sahil’ miyaan Arzoo lagi hai yeh mujh se kehne Ek aadat si ho gayi hai jaanam Ab to lutf hai tere zulm bhi sehne Giran baha hai har ashk tera Kahan milte hain, aise gehne Kya naz...

Mahabat | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 07.06.2024

Mahabat kaho ulfat ya kaho pyaar Ghaalib aaya na koi na hui kisi ki haar Ke jung nahin hai yeh fitrat hai insan ki Qudrat ka khel yeh raah nahin hamwaar Jhagre fitne hisse is ke jaise hain subh o shab Noor kabhi andhera kabhi, is ya us paar Chaman isey maaniye do janon ka safar Gulon se bharpoor occasional chund khaar Lutf zubaan ka yehi hai ‘sahil’ ijazat hai tujhe Honey de hota hai to firasatman...

Zaar Zaar/ Dard-e-dil ka Darman 07.06.2024

Rona aaye ‘Sahil’, to zaar zaar aaye Tufaan aaye kabhi to jandaar aaye Kaun jaane kis shaakh par kal bahaar aaye Urta kahan se mere gul par koi khaar aaye Jungle hai Jahan , haiwaan hain yahan Kya mumkin hai veeraane mein gulzaar aaye Samandar ki dost, khaufzadah hai kashti Be khabar hai, gardaab kinare ya manjhdhar aaye Yaro, lutf kya nabard ka zindagi se, kaho Jab talak na ru ba ru, ado shandaar...

Ma Kya Hai | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 07.06.2024

Ma jaisa sukoon o aaraam bhi nahin Vaisa pyaar koi marasim bhi nahin Khuda se bartar woh na sahi Magar us se woh kum bhi nahin Ma se badh kar na dost kahin Vaisa to aala humdum bhi nahin Afsos, qadr na ho jahan us ki Us se mazeed sitam bhi nahin Gar dil ke khaanon mein Ma nahin Phir vaisa to zaalim bhi nahin Sant o Pir o Charahgar apni jagah, Per, Ma jaisi to marham bhi nahin Jaane mushkil kyon h...

Aaj Be Hosh Zamane -Ashok Sawhny Sahil 24.05.2024

 Aaj be hosh zamane mein ba hosh kaun hai Kya pucchte ho tum hamatan gosh kaun hai Jab fikr nahin hai kisi ko kisi ki, tab Tu bata ai vaaiz baar e dosh kaun hai Bikti hai bazaar mein aaj khule aam haya Har su hai barhaingi rooh posh kaun hai Khanjar liye woh tayyaar jisey dekhiye Zulm ke is aalam meon aafiyat kosh kaun hai Mufaad parast dunya mein hai Rab parast kaun Puja ho dervesh si vaisa madh...

Qafas Ho- By Ashok Sawhny Sahil 24.05.2024

Title - Qafas Ho By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari  Qafas ho udaas to batao bulbul ka hoga kya Chali jaaye woh chhord kar to mehfil ka hoga kya Qaatil ho aashiq gar nasoori ka woh be taab Charahgar phir bata, zakhm mundamil ka hoga kya Naaseh, haal e dil ka zikr ab karun bhi to kya Aaj ki khabar to hai nahin ab mustaqbil ka hoga kya Khushiyan kar deen hum ne jaanam ja...

Sahil ke Dohey 24.05.2024

Title - Sahil Ke Dohey By  @AshokSawhnySahil.  Rozi hai daya badi, isey na dena khoye Chhin jaaye rozi agar, khada khada hi roye Panchhi gaaye daal per, daali per hi soye Apna ghar apna sajan, jaisa chaahe hoye Jo hona hai so hoyega, soch soch kya hoye Kal ke baare sochkar, aaj kyon nindiya khoye Jeevan men tu chalta chal, chalna sukh ka naam Sirf kaal ke gaal men panthi, sanson ko Vishram Jeevan...

Waqt ki baat 24.05.2024

Waqt ki baat na kijiye woh taghayyur pazeer hai Ghurbat mein jo khush rahey sab se woh ameer hai Jo dooba ho khayalon mein musavvir jaaniye Tassavvur mein hi behtar sab se aala tasweer hai Waasta husn ka rangon se, rang saaz bhi na jaane Rang dhanak ka kaunsa kisey jaaney dil pazeer hai Dil mein jis ke chhayi ho kiran kul udaasi ki Wohi jaane mahnoor kya aur kitni woh muneer hai ‘Sahil’, takta hai...

Title - Nafrat By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari 24.05.2024

 Nafrat na jaane pyaar kya hota hai Khalwat na jaane intizaar kya hota hai  Tamashe ka hota hai deedaar agar To jaano kisi koi bhoot sawaar hota hai Dua karna na bhoolna yaro kabhi Bhale manzoor ya inkaar hota hai Baahar ke hangaamon ko drama maaniye Asl shor o ghul to pas e deewaar hota hai Dil dhadakta hai woh bin jazbaat koi Zehn hi batlaye iztiraar kya hota hai Tabassum kya jaane dil e muzt...

Mataa-e-Shauq - Ashok Sawhny Sahil 20.05.2024

Title - Mataa-e-Shauq By @AshokSawhnySahil. #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari  Mataa-e-shauq kum ho bhi jaaye, mit ta nahin kabhi Hasraton ka dher dilon mein, marta nahin kabhi Ravaani kaisi darya ki woh to sookhti rukti hai Kabhi zinda dil ko dekhiye jo rukta nahin kabhi Pathhar bhi pighalte hain insanon ki baat kya Kis ne kaha sang dil koi to rota nahin kabhi Dabaane mitaane ki koshishen h...

Ai Bulbul- Ashok Sawhny Sahil 20.05.2024

Title - Ai Bulbul By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari  Ai bulbul udaas hai aaj dil mera Naghma na sahi tu gungunaade Khaaron ki baaten qisse gulon ke Chaman ke raaz tu mujhe suna de Zabardast hai shauq qaafilon ka mujhe Kaun aya kaun gaya yehi bata de Tu hansti to hogi muskuraati bhi Tabassum phir aaj hamen dikhla de Naseem na saba kya chalti nahin hain Tu dhund kar u...

Mauseeqi 29.04.2024

Mauseeqi  Us raah ka hamen pata batao naam jis ka hai mauseeqi Aur jis per us se baaten hon, phir hon woh sab haqeeqi Naghme sab ke apne apne, saaz bhi sab ke apne Deewaani hai yeh dunya lekin, saahir hai mauseeqi Dil ki dhadkan taal mein ho be haal na ho kabhi Hum bhi us pe gunguaayen banen phir us pe raahi Milen phir us per humsafar aur humnava kamaal Soney pe suhaga ho gar naam sabhi ka ho shi...

Khud se Guftugu / Dard-e-dil ka Darman 29.04.2024

Mukhtalif rang hote hain shajar par yaro Nazar kyun hai tumhari mere hi dilbar par Gar khud se guftugu mein na aaye lutf tumhen Phir kya karo ge jaakar yaron ke ghar par Inkisari bunyaad hai jab sukun ki dosto Naqash-e-pa na banao zar ki dagar par Nigehen sath na den alfaaz ke agar Rakhiye aitmaad, phir sirf nazar par Aadi hain log dekhiye khoshamad ke kaise Jata raha yaqeen bhi, Insaan-e-ahqar pa...

Aarzoo | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah | Part 40 10.04.2024

Nigah ko nazara ki hai tamanna, dil ko sauda hai justuju ka’’ ‘Sahil’, hum to karte hain intezaar, rukhsat-e-aarzoo ka Gungunahti andaleeb, jagati Khuftah gulsitan ko Leta hai khamosh dil, lutf zulmat se guftagu ka Dhundhta hai kis ko insaan, shab o roz sheesha mein tu Koi to samjhaye mujhe, mafhoom aaina se ru ba ru ka Ghuroob hua hai aftaab, ayaan hone ko hai sehar Ja chuke hain rind saqi, ab ky...

Mehfil Se Uth Ke | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 10.04.2024

Mehfil se uth ke aaye ho na jaane kis liye Na milne ke bahaney tum bataney ke liye Mushkilon se main ne sambhala hai khud ko jaanaan Kyon aaye ho num chashm le kar tum rulaane ke liye Chund lamhon ki zeest hai saans agle ki baat kya Ulfat jazba aarizi hai kya yeh jataane ke liye Aasmaan nahin zamin pe hun humsafar meri hai khaak Phir uth te hain kyon log mujhe giraane ke liye Chaman men aaj raunaq...

Tu ne jab | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 10.04.2024

Tu ne jab ai aftaab sham’a e mehfil ko bujhaya Tab main ne dil jala kar apna mehfil ko sajaya Zamaane ki to fitrat hai hona tah o baala Haathon ko mal mal kar main ne mustaqbil ko banaya Sunta hun main khutbe vaaiz waqt ba waqt magar Samajh to wohi aaya khud jo dil ko samjhaya Taraasha main ne pathhar ko gulon se baaraha Phir sang dil ko badi muskhil se narm dil banaya Jaanta hai reton ko woh tufa...

Zindagi se Guftagu 09.04.2024

Title -Zindagi Se Guftagu By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #englishpoetry #poetry  Zindagi se Guftagu Kis ki tu makhluq hai Fana kyon hai tere saath Gar akeli hoti tu , ai zeest To hoti kuch aur yeh baat La mahdood hoti tu Khauf se door main Na tujh per baar mera Na hota majboor main Khul ke jeete tujhe hum Jeena phir bhar poor hota Tujhe ajal ka dar nahin Mere dil men noor hota Masla ek...

Jahan Ik Aur 09.04.2024

Title Jahan Ik Aur By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #poetry Jahan Ik Aur Sitaaron se ucha jahan ik aur Falak se buland aasmaan ik aur Teri neki bhi humne dekh li hai shaikh Hai tujh se bhi siwa meharabaan ik aur Tu jab chahe kar baag-e-eram ki sair Magar isse badh kar hai gulsitaan ik aur Bhar li tumne aahein bahut, dosto Baaqi hai lekin aakhiri fugaan ik aur Main kaise batau...

HUMSAFAR/ DARD -E- DIL KA DARMAN 09.04.2024

Title - Humsafar / Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Humsafar Mere dar par aa kar jo hawa Dastak de aur miley na Kya de gi woh taskeen mujhe Shameem ho chahe ho woh Saba Dil ko na chhuay Saba Chilman mein gar na ho haya Qadam, qadam se na milen kabhi Bane gi phir humsafar woh kya Karte ho baaten mai naab ki Nahin...

Parastish /Dard -e-dil ka Darman 09.04.2024

Title - Parastish / Dard-e-dil ka Darman Written By @AshokSawhny Sahil Recited By @Mehran Shah #urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil Gulshan mein aaj kisi ka bharam nahin hai Dil mein kisi ke der o haram nahin hai Ulfat nah rafaqat, sarwat ki parastish hai Sar o samaan kisi ka deen o dharm nahin hai Munafiq hai kitna jahan aaj ka yaro Falak se jo tapke woh shabnam nahin hai Wasal mein kyun...

Listen to the Dastan -e- zindagi podcast in Replaio

Radio and podcasts in one app - free, with no sign-up. Install today and do not miss the launch

Get it on Google Play

Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.