Ashok Sawhny 'Sahil'

Dastan -e- zindagi

Arts UR ↓ 582 episodes

Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.

Author

Ashok Sawhny 'Sahil'

Category

Arts

Podcast website

www.ashoksawhny.com

Latest episode

Jul 10, 2026

Where to listen?

Podcasts in the app Replaio Radio Coming soon

Podcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts

Get it on Google Play Install for free Android 5M+ downloads · 4.8 rating iOS soon

Episodes

Zakhm | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 22.08.2024

Zakhm, woh zakhm hi kya jis ki koi khabar na ho Woh zer kya batao hamen jiska koi zabar na ho Usey zindagi kahoge kya jo lamhe ke sang na chal sake Woh darya kya kehlayega jo ravaan lagey magar na ho Hayaat to aani jaani hai moayyan hai anjaam bhi Usey ghar ki rah milegi kya jiska saans hi muntazir na ho Ai ghaafil insan bata hamen dil se puchh kar magar Kya Rab ko tu bhool jaaega gar masjid aur m...

Sham’a | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 21.08.2024

Sham’a to parwaane ko jala deti hai Aur halki si hawa sham’a ko bujha deti hai  Wafa ki umeed insanon se kaho kaisi Jab zeest hi sab ko khud dagha deti hai Ana pe karey koi aitbaar to kaise Jab inkisaari sar ko jhuka deti hai Qismat se bartar koi murshid nahin Mafhum wo zindagi ka samjha deti hai Jo roothen hon tum se unhin se puchh lo Tumhari shirin zubaan unhen mana leti hai Woh momin hi kya ba...

Taseer E Mahabat | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 21.08.2024

Title - Taseer E Mahabat By  @AshokSawhnySahil.  Video Artist - Ujala Saroj #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari  Taseer e mahabat, taaseer e insaniyat Na ho to ghaflat, na ho to museebat Azba e hangama to bas khel iblees ka hai Jab ism e insaniyat hai jazba e murawwat Zabt e sukhan nahin, hirs o hawaas la mahdud Zaalim hai zurur yeh taskheer e kaaenaat Kyon itna ghaafil hai insan in baaton se...

Muntazir-e-Deedaar | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah | 21.08.2024

Kyun pherta hai tasbeeh, Zahid tu baar baar Kam huin kya mushkilen , kam hua aazaar Dil se hi hoti hai ulfat, hamesha Nigahon se hota hai, sirf izhaar Khareed o farokht ke mahaul mein dekhiye aaj Har jagah ba pa hai ik hungama bazaar Ek luqmah bohat hai shikam Sery ke liye Hawas kyun ai insaan, tu kyun hai khawastgah Seerat, soorat, har shakhs apni zaat mein Laazim hai hona sab ka, alag kirdaar Jo...

Mujhe Yun Na Dekh | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 21.08.2024

Mujhe yun na dekh dil sambhal na paayega Tum chali gayin to mehfil yeh kaun sajayega Pathhar ka nahin, sang e marmar ka nahin Naazuk hota hai dil yeh kaun samjhayega Lahu ravaan na daure zakhmi dil men agar Batao phir raqs e bismil yeh kaun karayega Qatl nigahon se to khatrnaak hota hai bahot Munsif, yahan qaatil kaun yeh kaun batlayega ‘Sahil’, raftaar waqt ki to waqt hi jaane,bas Zakhm hoga ya n...

Jo Chal Na Sakey | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 21.08.2024

Jo chal na sakey usey raasta kya batlaoge Kor chashm ko tum aayena kya dikhlaogey Dervesh sa nahin nasha rind ka, saqi Tum maikade ko aashiyana kya banaoge Ana apni ko sambhaalo ai insan tum, varna Us takabbur ke talatum mein beh jaoge Tere dil mein tasavvuf ki ik kiran nahin hai Tum khuda ko dil mein kya basaoge Sada maashre ki ‘sahil’, aur fiza jahan ki Umeed rakhti hain donon tum chup ho jaoge...

Main Girift-E-Hadd | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 21.08.2024

Main girift e hadd men hun aur tum ho be karaan Zameen ki bandish mujh per aur tum ho aasmaan Muqabilon se to haasil na hua kisi ko kuchh Rab ki jo samjhe riza wohi firasat ka hai nishan Aag se dars lijiye pinhan us men hai yeh baat Ke milta hai falak se ja kar udta hua dhuaan Mubarak hon tujhe ai shaikh kaakh o gulzaar tere Magar tujh se bartar hai bahot woh jo hai la makaan Raat bhi kis qadr ha...

Gar Doob Jaaye | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 21.08.2024

Title - Gar Doob Jaaye By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari  Gar doob jaaye sahil to kya Na rahey yeh mehfil to kya Umr bhar na bhare, nasoor rahe Zakhm na ho mundamil to kya Be taab ho jaan, tadapti ho rooh Pur sukun na ho dil to kya Chalte raho safar hai yeh, yaro Khisakti rahey manzil to kya Zaamin nahin hai saanson ka koi Jeena ho mushkil to kya Mehrbaan ho falak, c...

Dua | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 10.08.2024

Title - Dua By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Dua Jab haath uthao dua ke liye To zuban ka naam o nishaan na ho Labon pe ho us ki hamd o sana Aur sada-e-dil zuban pe ho Jab haath uthao dua ke liye Talab mehez reham ki ho Kya mango ge us Maula se tum Sajda bas sajda hi ho Miley gi tumhe phir faiz yabi Dua jab bas dua hi ho Yaqeen ho mukammal us Raheem per Aur yaqeen ke s...

Mohabbaton ki kahani | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 09.08.2024

Title - Mohabbaton ki kahani By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Mohabbaton ki kahani sunane aaya hun Har ek roothe huay ko manane aaya hun Tujhe khabar hai tere reshmi tarannum ko Main bazm-e-shauq mein bhi gungunaane aa ya hun Mera payaam hai raah-e-khuda pe aajao Jo so rahe hain unhen main jagaane aaya hun Haseen subh ko sajne sanwarne do yaro Main sirf aaina us ko di...

Haathon Ki Lakirein 09.08.2024

Title - Haathon Ki Lakirein By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari  Handiya kya jaane zuhoor e tarteeb kya hai Mere haathon ki lakiren yeh naseeb kya hai Daulat to jaanti hai jahan e darakhshan ko bas Woh na jaane saaye, andhere, ghareeb kya hai Jis rag e jaan ko na chhuey woh goonjti azaan Woh sang dil kya jaane gulu e andaleeb kya hai Vaaiz, jo khuda ko na maane umeed us...

Tufaan | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 09.08.2024

Title - Tufaan Video Artist - Ujala Saroj By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari  Tufaan ka kaam bas sahil ko rulana hai Aur waqt ka sab ko maazi se milana hai Saharon ki baat na kijiye fursat kisey hai Zimma sab ka apna hai gar dard ko mitana hai Majburi ban gayi hai naam tabassum se logo Ab aafat men bhi mujhe sirf muskurana hai Nuskha khushi ka sab ka apna apna hai Zimm...

Haal-E-Hazeen | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 09.08.2024

Haal e hazeen ki baat kya karni Haseen shaam ki raat kya karni Jo milna na chaahe tum se kabhi Phir us se mulaqaat kya karni Padhaya hai tu ne kisi ko na shaikh Phir bata qalam dawaat kya karni Rab woh sab ka, waahid wo aala Dua maango, tehqeeqaat kya karni Bakhshi hai us ne jab sabko hayaat Mazeed hamen saughaat kya karni Sab kuch to milta hai momin ko Kisi ki kaho khairaat kya karni ‘Sahil’, jab...

Aarzu | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 20.07.2024

Kya aarzu na ho koi, gar jaam e jam ho Aur khushi hi nadarad jab ranj o alam ho Bahaar hi bahaar, ya musalsal khizaan Aur ulfat na ho koi, jahan sitam ho Asar ki baat hai jaante hain yeh sab Hamdardi ya dawa, jo bhi marham ho Iblees o farishta to sab men hain donon Bhaley mausam yahan sard ya garm ho Gumaan o bad gumaan to baat waqt ki hai Aisa to nahin ke har aan iman mohkam ho Intekhaab nahin ho...

Pyaar Ki Baatein | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 19.07.2024

Pyaar ki baaten nahin pyaar kijiye Haail se kya darna, usey paar kijiye Jagah naseehat ki to hai apni zurur Per na samjho to inkaar kijiye Baad e mukhalif saazgaar nahin hoti Per haath thaam kar us ka sawaar kijiye Milne gar aaye dareeche se aftaab Bina soche samjhe uska deedaar kijiye Dauhrana to ‘sahil’ koi jurm nahin Jis tarah bhi miley chain, baar baar kijiye

Bahot Door | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 19.07.2024

Bahot door Na dhundna mujhe haafize mein apne Ke khayalon se hun main bahot door Karo tasavvur to dil hi se karna Ke zehan se dil hai bahot door Chaand sitaron ko dekho Raushan hain kitne Zameen se kitne woh door Falak hai farozan Zameen pe andhere Falak se zameen kitni door Manjhdaar hain musafir har so tufaan Aur kashti hai kitni door Na puchh faasle tu hum se mallah Aur sahil hai kitna door Qur...

Gar Doob Jaaye | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 18.07.2024

Gar doob jaaye sahil to kya Na rahey yeh mehfil to kya Umr bhar na bhare, nasoor rahe Zakhm na ho mundamil to kya Be taab ho jaan, tadapti ho rooh Pur sukun na ho dil to kya Chalte raho safar hai yeh, yaro Khisakti rahey manzil to kya Zaamin nahin hai saanson ka koi Jeena ho mushkil to kya Mehrbaan ho falak, chaah yeh sab ki Per naraaz ho aasmaan to kya Miley na fursat din ko tumhen Aur raat ko ta...

Muqabala | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 15.07.2024

Title - Muqabala By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari  Jo gham ko na bhula sakey Woh khushi kaho payega kya Jo karta rahey muqabala Naghma wo sunayega kya Deewanagi se bharpoor na ho Khuda ko woh paayega kya Sahil jo sahara na ban sakey Woh kashti phir sajayega kya Dil men jiske noor na ho Woh khud ko raah dikhlayega kya Jo ‘sahil’ ko Eid mubarak na de Woh Eid phir manay...

Jo Ranj-O-Alam | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 15.07.2024

Jo ranj o alam ko na bujha sako Khushi kyonkar phir aayegi, Is mehman ka naam to gham nahin Wo khud ko aa kar kyon sulgayegi Num chashm men pinhan raaz hai Dil jaane ya khaanen us ke, Dil bhi to hai maskhara Kaun jaane bahaane us ke Qaus e quza ke rang hain saat Hamare rang hazaar kyon, Bana hai sabka aaj aashiyaan Bata ‘sahil’ ik bazaar kyon Website : www.ashoksawhny.com Youtube https://www.youtu...

Aasaan Nahin | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 10.07.2024

Title - Aasaan Nahin By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari  Aasaan nahin hai chalna yaadon ke saharey Main har lamha guzaar kar bin uske chala gaya Be hiss ho jaaye dil to kaho phir kya kijiye Main aansuon ko apne rulaate chala gaya Be sura tha main itna kehte they sab yehi Main naghme apne aap ko sunaate chala gaya Kohsaron ka bharosa kya pathhar hi to hain Qadr na kis...

Dil Na Roye | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 10.07.2024

Dil na roye to phir pashemaani kaisi Na ki jaaye be saakhta to mehrbaani kaisi Rooh ka zahn se faasla milon door Fikr se mahroom to phir roohaani kaisi Jeet kaisi, shaamil jis mein dhoka ho Her pher to her pher hai, kaamraani kaisi Talatum, tufaan, zalzalzale, sahil ghuroob Khuda naraaz ho to hairaani kaisi Zulmat mein soney waalo aql ki suno Bujh jaaye sham’a to raat mastaani kaisi Jo bhool jaaye...

Subh, Shaam, Shab | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 10.07.2024

Title - Subh, Shaam, Shab By  @AshokSawhnySahil.  #ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Subh, shaam, shab yeh kaunsi nayi baat hai Per, chaand rooth jaaye to amawas ki raat hai Hijab, naqaab, pardadaari sab, jaanaan Vasl yeh kaisa, bol kaisi yeh mulaqaat hai Maana ke zindagi hi awwal inayaat hai Lekin, us mein mahabat hi aala saughaat hai Gul nahin chaman nahin maidaan e jung hai Yaro, aaj insan...

Woh Kisi Ka Na Hoga | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari 10.07.2024

Woh kisi ka na hoga, woh jaan e jahan hai Zamin hai uski, usi ka aasmaan hai Khwahish na koi na koi armaan hai Mushkil na kuch sab uske liye aasaan hai Sant o iblees hain us ke ghulaam Shams o qamar us ke ke mulazim Kyon karte hain yaro yeh ahl e siyaasat Vaade hazaar jab man men baghawat Kyon bhoola hai ‘sahil’ insaniyat ko insan Bhoola hai usey bhi jo hai sabka yazdaan Website : www.ashoksawhny....

Hamein Shab Maano 03.07.2024

Hamein shab maano tum mah o anjum sahi Tumhari timtimahat magar hamara sukoon le jaati hai Kab samjhoge baaten tum, ai firasatmando, kaho Aqlmandi tumhari hamara junoon le jaati hai Jaanaan, ada o husn ki baaten karen to kya karen Jab shokiye nigah teri sar nigoon sharmaati hai Logon ko hum ne suna hai kehte huay, ai shayar Faza tera saamen tak mazmoon le jaati hai ‘Sahil’, neem shab ke khwabon se...

Aashna | Written By Ashok Sawhny "Sahil" | Recited By Mehran Shah | Part 64 03.07.2024

Gulisitan mein rehne walo, rehna ba khabar Kya khabar kis Gul par rakhta hai kaun sa khaar, nazar Guzri ho jin ki zindagi andheron mein yaro Lagta hai phir ujalon se unhein bohat dar Danke mat bajao mardangi ke logo Naazuk bohat hai yeh nanha sa jigar Dhal chuka hai aftaab, guzar gayi hai shaam Ab de mujhe khabar koi, kal ki bhi magar Vaiz, chale thay tere kehne par, hadaayat teri thi Nahin hai ye...

Listen to the Dastan -e- zindagi podcast in Replaio

Radio and podcasts in one app - free, with no sign-up. Install today and do not miss the launch

Get it on Google Play

Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.