Ashok Sawhny 'Sahil'

Dastan -e- zindagi

Arts UR ↓ 582 episodes

Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.

Author

Ashok Sawhny 'Sahil'

Category

Arts

Podcast website

www.ashoksawhny.com

Latest episode

Jul 10, 2026

Where to listen?

Podcasts in the app Replaio Radio Coming soon

Podcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts

Get it on Google Play Install for free Android 5M+ downloads · 4.8 rating iOS soon

Episodes

Dil ke naghmaat sunao to koi baat baney 28.02.2022

Dil ke naghmaat sunao to koi baat baney Tasweeren aaj ki mat dikhlao to koi baat baney Sirf faryaadi baney rehne se haasil kya hai Gar hangaama kuch uthao to koi baat baney Andherey hi andherey har su hain dekhiye Rukh se zulfon ko hatao to koi baat baney Dekhi hai bahot main ne firasat is jahan ki Ab mujh ko deewana banao to koi baat baney Mir o Ghalib ki ghazlen na sunao mujh ko Apne aap se mila...

Aaj sanam mila khuda nahin woh to mere paas hai 21.02.2022

Aaj sanam mila khuda nahin woh to mere paas hai Jab chaman men shaadmaan hai khaar to gul kyon udaas hai Aaye they log janaze per duaen saath liye huay Mayyiat nahin jaanti thi magar kaun us ke aas paas hai Takte rahey log usey kaun jaane kis umeed men Lena dena na tha usey, kaun aam kaun khaas hai Pyaas men hawas hoti nahin, pyaas to pyaas hai vaaiz Tishnagi men nihan to ek pur sukoon mithaas hai...

Bura Na Hoga 17.02.2022

Hamari baat maan lo jaanaan bura Na hoga Ghussa hamara hum se kabhi juda Na hoga Naraazagi Na phailegi, sukoon bana rahega Jhagre fitne qaabu men aur dagha Na hoga Din hijr ke yaad kijiye lamhe woh aazaar ke Vasl ki yeh raat hai beech purdah Na hoga Khaamiyan kis men nahin duniya men bata Be laus o ba safa koi khuda siwa Na hoga Itna bhi bura nahin hai “sahil” insan achha hai Nakaam rahegi justaju...

Khiraaj e Aqeedat/ Shradhanjali 08.02.2022

Ai andaleeb e mumtaz Aaj soona soona sa jahan hai Ek sannata ek ajab khamoshi si hai Ek deewanagi, ek be hoshi si hai Aaj Naghma Bulbul ne na sunaya Minnaten keen usey bahot manaya Chaman saara udaas tha Dil gulon ka yaas tha Aansu dekhey khaaron ke Rang pheekey baharon ke Lab pe naam sab ke aaj hai uska Woh jo qareeb hai Rab ke aaj Ai Lata, awaaz woh sirf teri na thi Tera mulk, is ke log, is Hind...

Phail raha hai dekhiye ek ghazab ka jazba e nafrat 07.02.2022

Phail raha hai dekhiye ek ghazab ka jazba e nafrat Pahunche jahan pahunche mera ab payaam e mahabat Lipta hai jahan saara kyon zalzalon men aaj Ahsaan faramosh insan bhula hai apni Insaniyat Sitaarey to kayi hazaar farozaan hotey hain falak per Akhtar shumaari nahin, saraab hai yeh shauhrat Gin ney ginaaney ka kaam to ahl e siyaasi jaanen Na pesha yeh mera na mujhe daulat se qurbat Sarwat, shauhra...

Kaashaana nahin chahiye na aastaan koi 07.02.2022

Kaashaana nahin chahiye na aastaan koi Mil jaaye naam jis ka hai la makaan koi Pairavi men uski doob jaun to kya Gar aagey ho Musa, peechhe toofaan koi Subh shaam ki gardish men lamhe udaas Unhen samjho tum haail ya imtehaan koi Manzil na ho jiski na thikana koi, naseh Zindagi kahun ya guzarta kaarwaan koi Khwahishon men lipta pareshaan hai insaan Kyon har waqt satata hai armaan koi Daagh apne gir...

Kathin raaston ko bhi aasaan bana lo 07.02.2022

Kathin raaston ko bhi aasaan bana lo Har ik dard ko apna darmaan bana lo Isi lamhe ko khulke jee lo bahut hai Isi lamhe ko apna arman bana lo Yeh gham mezbaani bahut kar chuka hai Ise apne ghar aaj mehmaan bana lo Bahut hain pareshaan yeh khwaab e pareshan Unhe aaj sham e shabistaan bana lo Chiraag e tasvvuf  ko dil mei jalakar Andheron ko ‘Sahil’ firozaan bana lo Notice : All material in thi...

Ai subh, utha usey jo ho gira hua 31.01.2022

Ai subh, utha usey jo ho gira hua Usey nahin jo ho soya hua Naghma suna ai bulbul aaj Jo kabhi pehle Na ho suna hua Chaman ke yun aaj sannate men Tera hona hi bahot bhala hua Gunguna chaahe kh-mosh reh Ai andaleeb, gulshan ko aaj kya hua Milne gaye jab dost se hum To saba ne kaha woh hawa hua Jo likha tha Phir wohi hua Kuchh achha na kuchh bura hua ‘Sahil’ jeetey jee jab kuchh na they Kal na huay...

Ai ravaan darya sumundur se ja mil kabhi 31.01.2022

Ai ravaan darya sumundur se ja mil kabhi Apna shauq e jaavidaani kar haasil kabhi Ghuroor se badtar koi shai nahin hai, shaikh Mat samajhna tum kisi ko jaahil kabhi Uth gayi to na milti hai woh phir kabhi Jaan apni, na apni woh uthi hui mehfil kabhi Mazboot rakhiye dil ko ghamon ke liye, magar Pathhar na baney, na woh sang dil kabhi Dosto, dua karta hun main, aaj sab ke liye Ke aaye na mushkil na...

Jab fitrat insan ki us ka mar jaana hai 31.01.2022

Jab fitrat insan ki us ka mar jaana hai Phir lafz e maut se kyon fitrat dar jaana hai Na kar tu koshish usey jaaney de, saqi Hosh ya madhosh rind ki fitrat ghar jaana hai Ghuncha banta hai jab, tukhm milta hai khaak se Ghunche ki fitrat, phool ban kar sanwar jaana hai Jaanaan, fitrat kisi aur ki kya hai khuda jaane Per, teri to mujh per bas lagana harjaana hai Usey rok kar to dekhiye minnaten kar...

Guftagu oonch neech ki yeh kya fuzul ki baat hai 28.01.2022

Guftagu oonch neech ki yeh kya fuzul ki baat hai Taareef kijiye us ki jo alam daar e masawaat hai Tumhara kya, kya mera, khaak, khaak ki muntazir hai Khuda sab ka ek hai usi ki saari yeh kaaenaat hai Jo ata ho khuda se us karam ka shukr kijiye Mafhum e hayaat ki baat kya, jab usi ki saughaat hai Ukhuwat o bhai chaare se guzariye din apne Insaniyat ko naaz ho tum per yehi ikhtilaat hai Aasaan nahin...

Chain ki neend sota hun tohfa e neem shab hai 24.01.2022

Chain ki neend sota hun tohfa e neem shab hai Na ho jiska humsafar  humnawa uska Rab hai Mehar sab per hai khuda ki jaante hain sab Qahar bhi to Rab ka yaro  bahot hi ghazab hai Zaat paat ki baaten kyon ta’asub hai yeh kaisa Bant gaya hai Rab bhi  aaj iska kya sabab hai Daulat men sukun nahin, sukun se ghaafil hai Muztar kyon hai bande tu  bata kya talab hai Shumaal kya junoob...

Koi shai zamane men kabhi tikti nahin 24.01.2022

Koi shai zamane men kabhi tikti nahin Dosto, bas dua hi hai jo mit ti nahin Jo badley to phir woh qismat hi kya Qismat to qismat hai  badalti nahin Aala hai na koi na hi koi haqeer Ehtiraam se izzat to ghat ti nahin Zamane woh humne bhi dekhe hain yaro Jab maante they log sachayi bik ti nahin Minnaten kijiye hazaar baar kijiye Magar, waqt ki ghadi kabhi rukti nahin Baazaar men kharidaar har s...

Mera Chaman 24.01.2022

Mera watan hai, Hindustan hai Mera chaman hai, rashk e jinaan hai Is mein hindu aur Musalman hai Is mein Sikh aur Isaai hai Is mein Budh bhi or Jaini bhi Aapas mein hain bhai bhai . Mera watan hai, Hindustan hai Mera chaman hai, rashk e jinaan hai Desh hai yeh sab insaanon ka Apnon ka aur begaanon ka Rishte baham yahan hain sab ke Sadiyon se jo yahan hain rehte. Mera watan hai, Hindustan hai Mera...

Qalb e Momin kabhi be chaarah nahin hai 20.01.2022

Qalb e Momin kabhi be chaarah nahin hai Khuda ka woh banda be sahara  nahin hai Maan lo is baat ko to nuqsaan na hoga Tasleem na kiya to guzaara nahin hai Duniya dekhi hai yaro to shekhiyaan kaisi Sitaron se badh kar to sayarra nahin hai Tere khutbe main sunta hun ghaur se, per Vaaiz har rasmi ailaan gawaara nahin hai Takte ho kyon falak ko, hai zameen woh ab insan ki Har chamakti shai wahan...

Iman ko bana lo rakhte e safar bahotera hai 20.01.2022

Iman ko bana lo rakhte e safar bahotera hai Nur e khuda ho dil men raushan bahotera hai Lakiren le kar aaye hum woh hi le kar jayenge Musht e khaak haqeeqat hai, mera kya, kya tumhara hai Zulfon ne jo haal banaya mera ik roz aisa, jaanam Subh ki kiran bol uthi aaj to khaasa andhera hai Aati hai jab neend mujhe pyaar se yun sulaati hai Khwab utha kar kehte hain, uth ja bhai savera hai Apna samajhna...

Armaan na rahen to phir zindagi kya hai 20.01.2022

Armaan na rahen to phir zindagi kya hai Imaan mohkam na ho to bandagi kya hai Insan se ho jaayen gar taarey naraaz Phir chamakte falak ki tabindagi kya hai Sair kariye chaman ki per dil ho be zaar To phoolon ki kehiye phir taazagi kya hai Hijaab o naqaab ki jagah hai apni, per Haya na ho dil men to sharmindagi kya hai Nazar se nazar na miley to mulaqaat kaisi Dil se dil na miley to wabastagi kya h...

Saqi, maana ke tere yaan aala sharaab hai 18.01.2022

Saqi, maana ke tere yaan aala sharaab hai Per, surur dekh uska, jiska chaman shadaab hai Batorta hai yeh har roz kya safar ke liye insan Jaan liye hatheli per jab wohi asl asbaab hai Akhtar shumaari kis liye dinon ka gin na kyon Kya zindagi bas guzre lamhaat ka hisaab hai Gul nahin jaante naam gulon ka na hoti hai koi pursish Mahk ne kab puchha kabhi kiska naam gulaab hai Husn bhi to mausam hai b...

Kor chashm kya batlaaye haal sitaron ka 18.01.2022

Kor chashm kya batlaaye haal sitaron ka Dasht o sahra kya mafhum un baharon ka Har su hai zulmat pareshan hain sitaarey bhi Pinhaan mah o mahr bhi aitbaar kya aasmaanon ka Sookha dil, sookha falak, shabnam so nadarad Raaz kis se puchhen hum naraaz barsaaton ka Roothe hain ab yaar kyon koi to batlao hamen Karen hum yaqin to kya na milne ke bahanon ka Aflatun na suqraat koi, ladte jhagarte log hi ha...

Hangaama us ka naam tha 18.01.2022

Hangaama us ka naam tha Hangaama hi paighaam tha Har shaam wohi maqaam tha Hangama e subu o jaam tha Haavi tha jis dil per shaitaan Us dil men qatl e aam tha Hungaama khuley aam tha Kisi shai ka na koi daam tha Bazaar woh aap ka janab Puchhna wahan haraam tha Saqi Sultan us jahan ka Har shakhs surur ka ghulaam tha Bargashta e yazdaan magar Woh banda pur ehtiraam tha ‘Sahil’, khanakte pyaale they h...

Kya dogey unhen jalwe, kya dogey shaan o shaukat 14.01.2022

Kya dogey unhen jalwe, kya dogey shaan o shaukat Andheron me palnewalon ko savera hi bahot kaafi hai Kya pilaoge un ko paani kya bujhaoge unki pyaas Jo peetey hain apne > aansu, woh ranj o gham hi bahot kaafi hai Mujh ko nahin hai tamanna jannat men huron ki Teri chashm e maigoon ka jaanam nasha hi bahot kaafi hai Kartey hain log wuzu aur karte hain woh sajde Magar, naam rab ka lab per hona hi...

Mushkilen hi mushkilon men hoti hain bahot 14.01.2022

Mushkilen hi mushkilon men hoti hain bahot Aasaaniyan bhi un hin men tadapti hain bahot Jaise uth te hain be sakhta dilon men valvale Sukoon pur dilon men be chainiyaan basti hain bahot Shaadmaan hon chaman men dil gulon ke agar Khushbuen har jaanib tab mehakti hain bahot Hai ajab yeh zamana aur bahot ajab is ke log Wafa men be wafaayiaan chhupti hain bahot Deewaaron se bachna, ke  mukhbari f...

Kuchh ranj o alam shaadmaani men pinhan hai 11.01.2022

Kuchh ranj o alam shaadmaani men pinhan hai  Aur shab ki zulmat men subh ki kiran ayaan hai Zaat insan hai meri main chala jaunga  Ai zamin ke farishto yaan kaun jaavidaan hai Jab ayena na batlaye to tu hi bata, vaaiz  Yahan ba safa kaun aur kaun  be imaan hai Saamne hun tere kya puchhta hai tu munsif  Mera hi chaak daaman, mera hi girebaan hai Rota hun, yaad e maazi men...

Ghaflat mehangi padegi ke rukta nahin hai mehmaan kabhi 11.01.2022

Ghaflat mehangi padegi ke rukta nahin hai mehmaan kabhi Waqt ko pehchaniye zaalim hai aur mehrbaan kabhi Dheemi dheemi hai kyon lau kehkashaan ki aaj Andheron men jaise hai mera ashiyaan kabhi Na sahi chaand na shabahat vaisi to kya Kya meri shab na hogi phir zaufishan kabhi Na hota hai bura dast e gulcheen kabhi Kyon hotey hain gul shoreedah jaan kabhi Dars kya deta hai, raahon per chalne ke hame...

Umeed sajaye baithe hain subh ki, shab e vasl ke baad 11.01.2022

Umeed sajaye baithe hain subh ki, shab e vasl ke baad Ke Naghma e bulbul sunayi de is shaam e ghazal ke baad Dekha kis ne mustaqbil ko, dil ko apne jeete jee Haal men jeena  seekho yaro, kya hai mustaqbil ke baad Shamsheer se ghayal huay, qatl huay nazron se hum Kya hai koi qaatil  baaqi ab us dast e ajal ke baad Jaanti hai manjdhaar men kashti  manzil uski sahil hai Per, tu bata ba...

Listen to the Dastan -e- zindagi podcast in Replaio

Radio and podcasts in one app - free, with no sign-up. Install today and do not miss the launch

Get it on Google Play

Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.