Ashok Sawhny 'Sahil'

Dastan -e- zindagi

Arts UR ↓ 582 episodes

Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.

Author

Ashok Sawhny 'Sahil'

Category

Arts

Podcast website

www.ashoksawhny.com

Latest episode

Jul 10, 2026

Where to listen?

Podcasts in the app Replaio Radio Coming soon

Podcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts

Get it on Google Play Install for free Android 5M+ downloads · 4.8 rating iOS soon

Episodes

Ghuroob e aftaab kya hai yeh samjhaaye koi 10.05.2022

Ghuroob e aftaab kya hai yeh samjhaaye koi Phir, kal tulu e aftaab se bhi milwaye koi Ye kha-mashi hai kaisi aaj maikade men saqi Khanakte pyaalon ki sada phir sunwaye koi Naghmaat nahin hain naale fizaon men aaj Roothi hui bulbul ko dobara manaye koi Daur khazan ka, mausam  hangamon ka Umeedon ke gulshan phir se sajaye koi Khutbon ka mafhum main samajhta hun, Vaaiz Ab yeh mazhabi siyasat bhi...

Daraaren na theen, tha pukhtah chaman yeh apna 10.05.2022

Daraaren na theen, tha pukhtah chaman yeh apna Kyon bikhra sa hai haseen darpan yeh apna Kabhi darakhshaan falak tha raushan sitaare Udaas aaj itna kyon hai gagan yeh apna Gul o khaar o shajar malkiyat hai sab ki Na gulaab kisi ka na hi saman yeh apna Dekhen kyon mausam jahan ke hum dosto Khubsurat hai jab sawaan yeh apna Saazish hai kis ki sochta hun main Kaise loota gaya hai chaman yeh apna Gil...

Miley mehnat se sukoon dil ko to aaraam hai 03.05.2022

Miley mehnat se sukoon dil ko to aaraam hai Tohfatun jo miley aaraam woh to be daam hai Dastak de, zameer se puchh amal se qabal Pas o pesh karey woh bande to haraam hai Karen kaise hum sargoshiyon per yaqin, jab Deewaaron ke hotey hain kaan, sab sar e aam hai Shireen zubaan, jhukin palken, dil na paak Munafiqana kaisa yeh aaj ka ehtiraam hai Suhaani to hai zindagi, deewaani bhi bahot Per, hamara...

Chhalaangen jo lagaye woh bandar bana 03.05.2022

Chhalaangen jo lagaye woh bandar bana Aaye khud pe jo ghalib woh sikandar bana Basaya ho jis ne dil ke khaanon men Rab ko Wohin to kunisht o haram o mandir bana Masaayab to shaamil hayaat men hain sab ki Daroon jis ne jhaanka, dil maula ka dar bana Naam usi ka labon per sajaya ho jis ne Woh haqeer sa banda phir qalandar bana Yaro, koi uth kar roya, koi ro kar utha “Sahil’ jo maujon se khelta tha,...

Tukhm boiye to sirf fasl e bahaar ke 03.05.2022

Tukhm boiye to sirf fasl e bahaar ke Phir kijiye paida aala gul qaraar ke Be qaarari to qafila hai masayab ka Ghar kyon laane roz o shab aazaar ke Zubaan per lagaam mufeed hai is liye Alfaaz ban jaante hai sholay kabhi naar ke Rakho madd e nazar usool qarz ke hamesha Bahot mehangey hotey hain gul musta’ar ke Mahabat karne waalo Kyon bhul jaate Ho tum Raaste alag nahin hain kashti aur patwaar ke ‘S...

Taskeen miley jab soney mein phir jaagen kis liye 28.04.2022

Taskeen miley jab soney mein phir jaagen kis liye Aaram de sukoon jab to phir bhaagen kis liye Bajti nahin ek haath se kabhi do se bhi taali Be hiss ho jis ka dil afsos, usey chahen kis liye Puchhe koi aftaab se hai khudkushi ka junoon kya Woh doobta hai har shaam jab to hum roken kis liye Rind hain bata saqi koi raasta to dikhla hamen Band ho chukey hain maikade ab thahren kis liye Kyon sunta nah...

Gul khizaan mein muskuraye to koi baat baney 22.04.2022

Gul  khizaan mein muskuraye to koi baat baney Andaleeb  chaman mein gungunye to koi baat baney Farozaan Ho taara gar falak mein to kya Mere aangan mein jhilmilaye to koi baat baney Ukta gayi hai jaan meri mujh se jaane kyon Ab isey apni koi banaaye to koi baat baney Naam khuld or Mai e naab Nahin, maikada kaisa Shaikh, saqi ko tu saza dilwaye to koi baat baney Pandit, Padri, Mullah, Vaai...

Gar laut aaye kal shabaab to kya kijiyega 22.04.2022

Gar laut aaye kal shabaab to kya kijiyega Bhool jaayen gar ahbaab to kya kijiyega Neem shab ghar aayiega to giley phir kaise Na khule qafas ka baab to kya kijyega Qismat na sumundur ke ravvaiye ki khabar Yakdum aa jaaye sailaab to kya kijiyega Phool to phool hain intekhaab phir kaisa Gar rooth jaaye kal gulaab to kya kijiyega Himmat to na haari hum ne ‘Sahil’ kabhi Ho shikasta dil betaab to kya ki...

Jisey paasbaan na mila koi usey nigahbaan mila aala 18.04.2022

Jisey paasbaan na mila koi usey nigahbaan mila aala Falak ke paar tanha kahin usey paasbaan mila baala Ek shart hai is baat men chalo woh bhi kar dun bayaan Laazim hai ke jo khwahan ho to ho woh himmat wala Shauq se jaaiye jashn manaiye raqs o surur ki ja Per aagaah rehna laazim hai ke nikle na deewaala Dil men basta hai khuda bas lab per rahey naam uska Darkaar nahin jaane ki ma’bad na ho koi sha...

Jaan lijiye is baat se yahan kaisa ghanera hai 18.04.2022

Jaan lijiye is baat se yahan kaisa ghanera hai Puchhna subh se raat ka, kya naam tera savera hai Aayena hi hai humsafar zindagi men sab ka Pursish us se kaisi logo , kya yeh mera hi chehra hai Sarai faani hai yeh dunya isey samajh lijiye zurur Jo chaahe kijiye yaro chund roz ka yeh basera hai Farozaan hain taarey darakhshaan falak men suraj Haaye! aaj iblees ne insan ko kis tarah se ghera hai Jazb...

Yeh kaisi ajab irtiqa hai 18.04.2022

Nukta cheen nahin hai gham e dil, fasurda hai  Yeh chalta phirta insan aaj ka naya murda hai Har su aaj bambaari hai sunte hain “nuke” ki tayyari hai  Laashon ki shumaari hai, yeh kaisi ajab irtiqa hai Hindu Muslim Sikh Isayi, dost na koi kisi ka bhai  Insaniyat ka kahin naam nahin, jidhar dekhiye udhar ladayi Yeh kaisi irtiqa hai, naam taraqqi maqsad khazana  Jahan se miley gh...

Humnawa, humsaaz, humsafar maail chahiye 18.04.2022

Humnawa, humsaaz, humsafar maail chahiye Doobti kashti ko sahara e sahil chahiye Arq e gulaab na hi zoofa koi, yaro Ibadat ke liye to mahz saaf dil chahiye Maana ke intekhaab nahin hai bas men, per Ai zeest, rah zyada kathin na mushkil chahiye Jazba e shaadmaani bhi paheli hai, haaye Jalwagaah na usey koi mehfil chahiye Dua meri ko bhi to raah dikhla de koi Aakhir, usey bhi to apni manzil chahiye...

’Sahil’, haath men paimaana hai Saqi yahan deewana hai 18.04.2022

’Sahil’, haath men paimaana hai Saqi yahan deewana hai Jaam khaali bhi rahe phir bhi mujhe gungunana hai Puchhta hun khud se main deewanagi men hi sahi Shab o roz banaye suraj ne kyon, kya woh mastaana hai Kuchh to hoga zurur hamari aql ke baahar, firasatmando Kya burey waqt ka kaam mahz hamen sataana hai Khwabon se nahin hoti usey dilchaspi batao kyon Zameer ka kaam to, huzoor, aakhir sab ko jaga...

Yaro, ranj o gham ke baabat alam se puchhiye 18.04.2022

Yaro, ranj o gham ke baabat alam se puchhiye Koi aur sawaal ho to phir hum se puchhiye Jaari hai nafas mera to zinda hi jaaniye Kab talak ki baat ho to mere dum se puchhiye Suna hai naam Jamshyd ka, mila nahin magar Sawaal uske baarey men, jaam e jam se puchhhiye Chaahat aur tapish dil ki be shak humse puchhiye Be rukhi ka mafhoom lekin sanam se puchhiye Tajruba nahin hakim ko mojizon ka koi Marha...

Ajnabiyat dekhiye qaafilon men huzoor 13.04.2022

Ajnabiyat dekhiye qaafilon men huzoor Aashnayi to milti hai khalvaton men huzoor Koi aisa wali nahin hai dunya men aaj kahin Izhar e gunah hoga pardadaron men huzoor Paiman shikan milengey raazdaron men, afsos  Dafn kar ke rakhiye raaz deewaron men huzoor Hotey hain aarizi nishaan darya kinarey sab  Naqsh e pa milenge to hawaaon men huzoor Jazba e tamanna men kya rakha hai janaab  H...

Gali gali faqir tha, har gali ki thi koi baat 13.04.2022

Gali gali faqir tha, har gali ki thi koi baat Ghurbat men sukun tha, na jeet na kisi ki maat Har lab pe naam rab ka tha gali gali men wahan Kamaal ki woh galiyan theen suni thi jinki baat Chal diye hum galiyon jaanib sun kar yeh sab baaten Muntazir, ke hongi phir faqiron se bhi mulaqaaten Dekhne ki jaldi thi, woh taskeen mehsoos karne ki Guzarti theen jab be qaraar hamari lambi raaten Hairaan na h...

Maujon se khelne walo woh matti to dhul jayegi 11.04.2022

Maujon se khelne walo woh matti to dhul jayegi Per paaon taley ki ret o zameen bhi phisal jayegi Kisi aur ki nazar se kabhi khud ko dekhiye Manind e ghurub e suraj ana dhal jayegi Saraab sa ghuroor to woh mit jayega Ubharti hui shaikhi ko saza mil jayegi Thartharati hai zamin, halke zalzale ke baad Badi ho nadi ya oonchi  pahadi woh hil jayegi Bhaley darakhshaan hon taarey falak men har shab...

Rukey ravaani lahu ki to marham kya karey 04.04.2022

Rukey ravaani lahu ki to marham kya karey Sukhay gar dawaat qalam ki to qalam kya karey Be haya hai itni yeh ahd e irtiqa aaj Gar hijaab hi chala jaavey to sharm kya karey Har shai ka hota hai maqaam apna be shak Khushi karey gar dil se kooch to gham kya karey Raushan karey nur e khuda dil men hamesha Us ki beenayi ke liye phir jaam e jam kya karey Qasm kyon khaatey ho naam khuda ki yaro Riza us k...

Ghamzada is dil ko behlaaye kaun 30.03.2022

Ghamzada is dil ko behlaaye kaun Uljhe huay man ko suljhaaye kaun Zaalim ana ko sudhaarey kaun Roothon ko kaise manaaye kaun Asaas ulfat ki be shak hai wafa, per Us aawaara dil ko samjhaye kaun Gar nazron se tu pilaaye ai saqi Phir, sharaab ka pyaala uthaye kaun Khwabon men khoye huay, ai insan Haqeeqat se tujhe milaye kaun Zururi nahin hai ma’bad bhi koi Yeh duniya ko kaise samjhaye kaun Khuda ko...

Mujhe ranj o gham se kya waasta hai shaadmaan jab dil mera 30.03.2022

Mujhe ranj o gham se kya waasta hai shaadmaan jab dil mera Nahin justaju shamsheer ki hai paas mere qaatil mera Maazi se pukhtah raabita shaamil hai us men talkhi bhi Aaj humsafar hai raat meri, subh kal ki mustaqbil mera Zakhmon ki kyon aaj guftagu fitrat un ki bharna hai Yeh zakhm bhi ho jayega, Inshallah mundamil mera Raunaq jahan ki dekh li aangan ke gul sab se haseen Yeh ret o naqsh e pa mere...

Guzida logon ko shab hi subh dikhlaati hai 30.03.2022

Guzida logon ko shab hi subh dikhlaati hai Phir, bulbul unhen haseen naghma sunati hai Udaas ho chaman  men gar baghban kabhi To muskurahat kali ki dil us ka behlaati hai Rukhsati jaisi bhi ho dil to rota hai zuroor Yaad maazi ki aksar sab ko sataati hai Ai zindagi, naaz o niyaaz tera nirala hai Har karwat teri mujhe ab nachati hai Ba khabar hain “sahil” anjaam e zeest se sab Phir, dastak qaz...

Gar baadalon men chhupi ho dhoop to kis kaam ki 30.03.2022

Gar baadalon men chhupi ho dhoop to kis kaam ki Hum per haavi na ho kiran us ki to kis kaam ki Sitam jhel kar di duhayi to kisey kya mila Waqt pe na ki hausla afzaayi to kis kaam ki Minbar se sun kar chaley aate hain log khutbe Baat vaaiz ki na samajh aayi to kis kaam ki Tu takabbur ki baat karta hai naseh, to bata Gardan shaikh na suraahi ki jhuki, to kis kaam ki Aala thi ghazal yeh to maana hum...

Jab khumgaah se ghaaib mai e naab hai 30.03.2022

Jab khumgaah se ghaaib mai e naab hai Kya takmil e tamanna ek saraab hai Qismat ki lakiron ko jaanta hai kaun Us fehrist men kis ka kya hisaab hai Haq, dua ka hai sab ko be shak, per Kisey maalum kis ka kya jawaab hai Gulshan men gul, khaar aur andaleeb, magar Pursish na karey koi kya saman o gulaab hai Vaaiz, tu kaun main kaun bas sawaal hi sawaal Kyon puchhta hai sahifon ki kaunsi kitab hai Takm...

Khuda sabka main ne paasbaan bana rakha hai 16.03.2022

Khuda sabka main ne paasbaan bana rakha hai Manzil woh meri usey armaan bana rakha hai Shab o roz ki gardish men, bana raat ko mehmaan Kal subh ki aamad ko imtehaan bana rakha hai Num rakh kar aankhon ko, mahaul abr o baaraan ka Main ne sookhi zamin ko aasmaan bana rakha hai Mustaqil nahin hai jab kuch bhi jahan men, vaaiz Khushi ko main ne apna mehman bana rakha hai Naam rab ka rakh lab per aur d...

Mahilaon ke naam ek Dua 08.03.2022

Log kehte hain aur hum sunte hain Ke aaj din auraton ka hai Hum puchhte hain, kaho mahilao Jahan tumhara, phir din ki baat kya Suraj ubharey aur aap na hon To andhera ho har ja Phir, kaho raat ki baat kya Jidhar dekhiye suraten dekhiye Husn aur uska jalwa dekhiye Chand sitaron ki raunaq kya Hooron se umeed e mulaqaat kya Salute kartey hain tumko Ai jahan ke rakhwalo Tum na ho to hum adhurey kya Hu...

Listen to the Dastan -e- zindagi podcast in Replaio

Radio and podcasts in one app - free, with no sign-up. Install today and do not miss the launch

Get it on Google Play

Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.