Ashok Sawhny 'Sahil'
Dastan -e- zindagi
Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.
Author
Ashok Sawhny 'Sahil'
Category
Podcast website
Latest episode
Jul 10, 2026
Where to listen?
Podcasts in the app Replaio Radio Coming soonPodcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts
Episodes
Falsafe ki baat chhord haqeeqaton ki baat kar 14.06.2022 4:42
Falsafe ki baat chhord haqeeqaton ki baat kar Hooron ko sambhaale koi aur tu zeenaton ki baat kar Dukh dard ke qissey aansuon ke sailaab Tu roz marra ki zindagi, muhabaton ki baat kar Firasat ki baaten tujhe zeenat nahin deteen Tu jawaani aur us ki aala ghaflaton ki baat kar Zeest ki pecheedagi ki baat kar, masaail ki baat kar Pahelion ki, daraaron ki marammaton ki baat kar Kaunsa khuda, kiska mau...
Shauhar ho mere, be nazeer banao to koi baat baney 08.06.2022 6:37
Shauhar ho mere, be nazeer banao to koi baat baney Ranjha ho tum mujhe heer banao to koi baat baney Jaane kyon bhool gayi thi Jannan tum aam ko kaatna Ab shamsheer chalao to koi baat baney Deewaney to hum they deewaney hi rahenge Tum baseer banao to koi baat baney Tal jaati hain baaten hansi mazaak men bahot Ab kuchh ghambeer sunao to koi baat baney Partau dekhi hai hum ne ameeri ki bahot Shaikh,...
Na jhijke koi tumhen mehmaan kehte 08.06.2022 7:21
Na jhijke koi tumhen mehmaan kehte Aur fakhr ho sabko tumhen insan kehte Jab har su ho sookha aur darya men aab Tab achha nahin lagta usey ravaan kehte Hangamey hamare woh dekhta to hoga Sharmsaar woh khud ko asmaan kehte Sookhe chaman ko dekh bharta hun aahen Baghbaan ko rukta hun paasbaan kehte Aaj mahaul kuch aisa hai saare jahan ka Log darte hain khud ko be zubaan kehte Kaisi ujlat se hua hai...
Roz e azal se khuda ne yehi farmaya tha 08.06.2022 6:12
Roz e azal se khuda ne yehi farmaya tha Diya dars muhabat ka jis jis ko banaya tha Jis naam se bulaiye usey woh to ek hi hai Mazhab jo bhi ho, jahan ko vaahid ne banaya tha Bhagwan, Maula, Guru, paasbaan har naam se woh Har momin ne usey dil men sajaya tha Dekhta hun nazaarey to kapkapata hun main Kya hai din aisa jab chain ki khaatir koi na roya tha Kyon be chain hain sab, be sukuni samjhaye koi...
Jahan e hast o bood kya gar jaavidaani ho 08.06.2022 3:59
Jahan e hast o bood kya gar jaavidaani ho Khuda nahin to shaitan ki nigahbaani ho Na chaman koi na baaghbaan kahin Jahan saare men bas phir veeraani ho Aisa ho to kya ho, jaane kya na ho, per Khaufnaak to zurur yeh zindagani ho Dasht e tanhayi men zabt e sukhan ki baat kya Koi sun ne wala chahiye jab baat sunani ho Yaro, saraab nahin yeh tasweer hai aaj ki Jaane ab kis ko padh kar kya pareshani ho...
Pyaas na bujhi chura kar kabhi pyaas kisi ki 01.06.2022 4:28
Pyaas na bujhi chura kar kabhi pyaas kisi ki Kuch lena ho to lijiye thodi si mithaas kisi ki Jab jhukey baam e meena tab tishnagi mitey Qulzum ne kab mitayi kabhi pyaas kisi ki Jazba nahin pur soz koi, ek aah ke muqabil Tadapti hai tanha jab, aawaaz udaas kisi ki Pareshan hai bashar aaj, masruf bhi usi men, per Sarwat ne kab mitayi kabhi bharaas kisi ki Ankh milayen to kaise ab tu hi bata, ‘sahil’...
Daur peeri ka hai yaro batao jashn kya manayen hum 01.06.2022 3:35
Dour peeri ka hai yaro batao jashn kya manayen hum Ab lamhon ko nahin to kya barson ko sajayen hum Roodad e zeest maujood hai ab dastaan e maazi men Haal kaisa hai hamara ab kis kis ko batayen hum Jab ja chuki hai andaleeb door chaman se bahot Naghmaat tujhe, ai baghbaan, ab kya sunayen hum Chashm num ja ba ja tujhe kya dikhlayen hum shaikh Ashk to tujhe nazar aatey nahin, kya sailaab bulayen hum...
Alfaaz, saade hi istemaal kijiye 01.06.2022 9:14
Alfaaz, saade hi istemaal kijijiye Zubaan ka bura haal na kijiye Vaise, sunta hai kaun baat kisi ki aaj Kathin o daqeeq ka istemaal na kijiye Jee li ho zindagi gar pur surur, phir Pas e urooj us ka zawaal na kijiye Haq sab ka hai pura sahi khayalon per Vaaiz mian, mazeed sawaal na kijiye Saadagi men inkisaari bharpoor hai zurur Akad, tunnuk partau, istemaal na kijiye Ghalat na hoga kehna tehreer m...
Na maano baat hamari na sahi koi baat nahin 31.05.2022 4:00
Na maano baat hamari na sahi koi baat nahin Dil apne ki baat na maano tab manmaani hogi Tohfa e khaas dena ho vaada e imaandaari do Deegar is ke jo bhi dogey woh be imaani hogi Shab o roz hain kis liye samajhna yeh zururi hai Guzrenge din aaraam se aur raat bhi suhaani hogi Aatey hain maikade men rind, tujhse milnne woh nahin Aane ki vajh jaan le saqi, phir shaam bhi mastaani hogi Sochta hun main...
Ma’bad mein milta hai sukun zar ki deewaron se nahin 31.05.2022 3:55
Ma’bad mein milta hai sukun zar ki deewaron se nahin Gar shauq ho parwaaz ka, bulandi haasil to sitaron se nahin Ban kar Shirin zubaan ke malik, har su barsao phool Man ke andherey mit te hain per angaaron se nahin Pyaar muhabbat unsiyat yeh khel hai zindagi ka Milta hai chain dilon ko per mazaaron se nahin Fizaon ka hawaon ka maza lijiye magar Dil behlayiega zurur per ghubaron se nahi...
Jab bhi tapke aansu apne, yaad aaya phir shabaab hamen 31.05.2022 3:17
Jab bhi tapke asnsu apne, yaad aaya phir shabaab hamen Woh mah o anjum, subh ki shabnam, guzre kal ke baab hamen Tifli ke woh beetey din, jab dagmagaatey they qadam Roothey aur woh hanste pal, yaad aaye woh ahbaab hamen Bahaar hi bahaar thi, nishan khizan ke they nahin Gul aur hum they pur sukun, miley na behtar asbaab hamen Miley dars shabaab men un buzurgon se tab aise Hum samjhe maani hay...
Kasa ba dast yaani maal e muzi hai 20.05.2022 3:13
Kasa ba dast yaani maal e muzi hai ‘Sahil’, do roti milen to bahot kaafi hai Zindagi jab khud hi aani jaani hai Phir, saraab hai kuch to javidaani hai Batao, kaun nahin hai gunahgaar yahan Paheli hai kuchh to jazba e talaafi hai Kuch tum ne kaha kuch main ne suna Haqeeqat bhi to mahz ek kahani hai Yeh khutbe ‘sahil’ tu vaaiz per chhord Varna, log samjhenge teri gustaakhi hai Kasa ba dast. Begging...
Kab karegi kaam marham kab niklega dum 20.05.2022 4:25
Kab karegi kaam marham kab niklega dum Khuda jaane ya phir jaane Ibn e Mariam Likha hai inteqaam uska qismat men zurur Shaikh ho ya ho koi aur karey jo bhi sitam Justaju mat kijiye talaash sukoon ki kabhi Taskeen ko woh jaane kya jo jaane na alam Shab e hijr wo jaane na yaqin ho jis ka pukhtah Maula ko bana le jo dibar o sanam Safar hai zeest, raahi sab, kaarwaan bhi ek Hamsafar hai qaza 'sahil' j...
Kabhi milte they log is pyaar se, jaane ajnabi naam kis ka tha 20.05.2022 6:06
Kabhi milte they log is pyaar se, jaane ajnabi naam kis ka tha Maikade men rind they saqi, jaane kaunsa jaam kis ka tha Itni matlabi hai dunya aaj, dil men kuch zubaan per kuch Jhukey sab ma’bad men lekin, jaane rab ko salaam kis ka tha Kabhi takte they mil kar hum, darakhshaan un sitaron ko Kabhi unsiyat thi aisi ke, jaane kausa baam kis ka tha Ranjishen baant lijiye aaraam o sukoon ke malik bano...
Chaman men saman se milwaye koi 20.05.2022 1:35
Chaman men saman se milwaye koi Naghme bulbul ke sunwaye koi Sehr ki kirnon ka fayeda kya Jab har subh aa kar jagaaye koi Zulm sitam ka haqeer hai bahot Kaash, kisi ko na kabhi sataye koi Hangama ba pa hai khuda ke jahan men Ab usi ko ja kar manaye koi Andheron ki baaten kyon karneen ‘sahil’ Gar zulmat men raasta dikhlaye koi Notice: All material in this product is the intellectual property of Ash...
Be niyaaz kaun hai sach bataye koi 20.05.2022 3:40
Be niyaaz kaun hai sach bataye koi Rishton ki buniyaad bhi samjhaye koi Zid, ana, pa ba jaullan hon, varna Naam rishton ka phir mitaye koi Hasraten o armaan, maujen hain zeest ki Koi sahil se milwaye aur dubaaye koi Chaar din ki zindagi hai, kya fayeda Gar roothon ko ja kar na manaye koi Kahin jashn, kahin janaza dekhiye Naale kahin, kahin naghme sunaye koi Uth te hain valvale, sulagte hain...
Ai insan, zameen teri aasmaan tera 17.05.2022 1:49
Ai insan, zameen teri aasmaan tera Per, pura to na hoga har armaan tera Barbaadi har su hangama ba pa hai Kaisa hai maula yeh imtehaan tera Bhoola hai Shaikh o barahaman tujhe Kyon ghafil hai khudaya yeh insan tera Ya rab, khauf nahin koi darna kya, jab Mallah tu, kashti teri, baadbaan tera Shaair, ujlat kaisi jaldi tujhe itni kya Kya nikla ja raha hai aaj kaarwaan tera Waqt de waqt ko sabr bhi to...
Mausam woh shabaab ke, dil men mere khwaab they 17.05.2022 3:29
Mausam woh shabaab ke, dil men mere khwaab they Be misal zamana tha din woh la jawaab they Hasraten theen naghme dil men be shumaar Manind e uqaab ud rahey hawaon men mere khwaab they Daagh daaman per they nahin, aaluda na kaseef kuchh Qaraar naam ki shai na thi, dil sab betaab they Mutriba thi, sharaab thi, saamaan e aish sab tha Na miley to wo mere apne hi kuchh saraab they Azm tha parwaaz ka,...
Fikr ho kyon jahan ki agar, koi humnawa ho saath 11.05.2022 7:31
Fikr ho kyon jahan ki agar, koi humnawa ho saath Khwaab hon haseen aur sukun se guzre raat Jhagre fitne ghayab hon, shirin zubaan ho sab ki Subh se chain aaraam ho, hangamon ki na ho koi baat Tabassum sajaye chehre ko,maathe per shikan nadarad Bijli chamke aankhon se, aur aisi ho har mulaqaat Dunya sabki chhoti hai badi ho jitni kaaenaat Samajh lo is baat ko yaro, kum honge phir aafaat Udaas hai k...
Kya laazim hai har baat ka ilm main jaanun to kyon jaanun 11.05.2022 3:04
Kya laazim hai har baat ka ilm main jaanun to kyon jaanun Tumhari har baat mujhe maanani ho, maanun to kyon maanun Ghadiyaan zeest ki maujen hain jab manind e sumundur To har ghadi ho saazgaar yeh samjhun to kyon samjhun Ashkon ka maza apna hai to kya aansu banenge shabnam Gar har lamha zeest ka ho pur sukun yeh chahun to kyon chahun Jab pahunchti hain duaen meri maula ki baargaah men Pashemani ki...
Khaakistar ishq hai sozaan kitni dekhiye 11.05.2022 2:44
Khaakistar ishq hai sozaan kitni dekhiye Jalta hai dil aag jaley ya na jaley Tajassus kab kum hui kisi ki kabhi Raaz koi khuley ya na khuley Ghuncha hi leta hai lutf mukammal Bhaley gul khiley ya na khiley Justaju sukoon ki la mahdood hai Taskeen miley ya na miley Kaar kijiye dosto fikr nahin Siley miley ya na miley Hamen to chalte hi rehna hai ‘sahil’ Koi saath chaley ya na chaley Notice :All mat...
Karte rehna hai sirf ab dua mujhe 10.05.2022 1:55
Karte rehna hai sirf ab dua mujhe Nahin chahiye hai ab koi silaah mujhe Nadamat na hai na pashemaani koi Nahin bharni hai ab koi aah mujhe Asl ki jaanib hi jaati hai har shai Khaak hi ki hai ab chaah mujhe Hamsafar hai tu, ai zameer, mere yaar Karte rehna tu har waqt aagaah mujhe Manzil qareeb hai ab raah per meri Mat dikhlao tum ‘sahil’ ab jalwagaah mujhe Notice :All material in this product is t...
Jab kabhi dekha tulu e aftaab 10.05.2022 2:21
Jab kabhi dekha tulu e aftaab Aayi surkhi e lab teri yaad hamen Naseem thi ya thi baad e saba Kar gayi jo ab barbaad hamen Muhabat nahin tijarat hai aaj Kabhi aa kar samjhaye Farhad hamen Koi gosha jahan ka baaaqi nahin Mil gaya saara asbaab hamen Asl ke daagh daaman per lagey Mil jaaye saraab ka sawaad hamen Manind e uqaab udti hai zeest Ab kahey na koi khana kharaab hamen ‘Sahil’, yaaden m...
Veerani men hum ne gul rangeen na paaye 10.05.2022 3:04
Veerani men hum ne gul rangeen na paaye Aur asl men aladin ke qaaleen na paaye Ajab hai yeh kaisa taqabul batao Kyon mah per kisi ne mahjabeen na paaye Wah us ki ho yaro jo haath na phailaaye Faqiron men hum ne miskeen na paaye Baant ti hai duniya per hum ne to kabhi Insaniyat ke khilaaf koi deen na paaye Bas itna samjha de tu khutbon men, Vaaiz Be sabri se koi, kabhi taskeen na paaye ‘Sahil’, ist...
Jab nahin samjhate hain log dilbastagi meri 10.05.2022 3:54
Jab nahin samjhate hain log dilbastagi meri Kya samjhenge woh batao phir aawaragi meri Kyon dikhlaun dil apna kaafiron ke jahan ko Pehchaanta hai khub dekhne wala bandagi meri Dekh nahin sakta jisey, usi ka hun pujari main Ai ahl e daanish dekhiye yeh deewaanagi meri Hoti hai kuchh to qeemat jahan men sabki zurur Na chhord sakun main zeest itni na mehangi meri Subh se shaam, shaam se shab, khush...
Similar podcasts
Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.