Ashok Sawhny 'Sahil'
Dastan -e- zindagi
Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.
Author
Ashok Sawhny 'Sahil'
Category
Podcast website
Latest episode
Jul 10, 2026
Where to listen?
Podcasts in the app Replaio Radio Coming soonPodcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts
Episodes
Jab hum hi na honge to yeh afkaar na honge 08.07.2022 7:17
Jab hum hi na honge to yeh afkaar na honge Jo ho phir jahan men hum gunahgaar na honge Kya hum hi se ho rahen hain muaamle sab kharaab Shayad hum na hon to phir yeh aazaar na honge Kya hum hi sabab hain hangamon ke har ja Hum na rahey to kya yeh shahryaar na honge Kya ho raha hai vaaiz jahan men hamen bata Hain jung ke tassawwur, kya kal gulzaar na honge Gulshan na rahey to gulon ka phir hoga kya...
Bin maiyyat ki chaadar to koi kafan nahin 01.07.2022 2:39
Bin maiyyat ki chaadar to koi kafan nahin Bin maiyyat ke janaza to mumkin nahin Shaadmaani ka baantna hunar hai yaro Jo khud se karey pyaar woh ahsan nahin Aisa kaunsa raaz hai tere dil men shaair Bata to dun tujhe vaaiz, lekin nahin Dil men kisi ke jhaankna mumkin nahin Dil saaf na ho jis ka woh mohsin nahin Woh kaunsi ek baat hai jo mumkin nahin Bas, hayaat ka ‘sahil’ koi zaamin nahin Maiyyat. L...
Tasweer maashuq ki bana de to koi baat baney 01.07.2022 3:05
Tasweer maashuq ki bana de to koi baat baney Khwabon ki taabeer karey koi to koi baat baney Haqeeqaton se to main khub vaaqif hun, Vaaiz Umeedon ko sanwaarey koi to koi baat baney Talatum se ho khaaif to sahil pe khadey kyon Bigdi ko banaye koi to koi baat baney Tamashayi na hon sahil per to sahil wo kya Naqsh e pa bachaye koi to koi baat baney “Sahil”, us paar ki tamaana ki shiddat hai bahot Koi...
Naujawanon ke naam 29.06.2022 2:23
Utho naujawanon raah hum ko dikhlao Nafraton ko tum zamin se mitao Dafn karo jhagde fitne yeh mazhab ke Rab to jahan ka ek hai jis naam se bulao Pehno libaas pyaar ka, mohabat ka sirf Parcham unsiyat ka tum har ja lehrao Chaman hai hamara Hindustan hai pyaara Karo adoo ko aagaah, roothon ko manao Takabbur ka nasha hai khatarnaak ‘sahil’ Gar behak jaayen log to unhen bhi samjhao Note:All material i...
Shaikh teri taqreer to qabile tahseen hai 29.06.2022 2:26
Shaikh teri taqreer to qabile tahseen hai Per tu yeh to bata yeh kis ki zameen hai Rang khaak ka pehchante hain hum khub Magar yeh kuchh zyada hi rangeen hai Maana, muskaan zurur hai chund chehron per Magar, dil unka kyon bahot sangeen hai Naam sumundur ka rakh den talatum agar To shayad samjhenge log woh tamkeen hai Pecheedah hai aisa insan bhi to yaro Aayeney se mat puchhiye kaun ghamgheen hai ‘...
Kyon mangte ho hisaab mere sarabon ka 29.06.2022 3:03
Kyon mangte ho hisaab mere sarabon ka Khuftagi men meri mere khwabon ka Aaj sawaal tu ne mujhse kiye hain itne Munsif, kuchh intezar to kar jawabon ka Aawaragi ka shauq hai to falak ko dekho Kya bharosa hai un sitaron ka, sayyaron ka Jab insaniyat hi asaas hai jahan ki, yaro Ghalat istemaal kyon muqaddas kitabon ka Mahlon men rehnewalon se pursish kaisi Woh kya jaanen haal qismat ke maaron ka Baha...
Meharbaan na ho kabhi sanam to kya hua 29.06.2022 3:39
Meharbaan na ho kabhi sanam to kya hua Gar barse falak se ranj o alam to kya hua Vaada kiya hai wafa ka hifazat ka jaanaan Ho jaaye kabhi yeh dil barham to kya hua Nuqta cheen hai gham e dil to kya hua Kuredta hai khaak ko gham to kya hua Ro liye raat bhar gham to wohin ka wohin Gar, subh ko na ho chashm num to kya hua Jaan ba lab baithe hain sab nizaam yeh jahan ka Na aaye gar woh agl...
Ab chaman ko kya batlaun main sanam kya hai 29.06.2022 3:55
Ab chaman ko kya batlaun main sanam kya hai Gar puchhe khaar to usey batlaun marham kya hai Tez nahin ahistah ho raftaar agar tumhari Hauley se puchho to batlaun dum kya hai Mere num chashm dekh kar aaj sawaal na uthey koi Koi puchhe mujhse to batlaun shabnam kya hai Shaadmaani pucche to batlaun gham kya hai Gham puchhe to kya batlaun tabassum kya hai Zindagi se pukhtah karti hai vaada...
Mushkil aur aasaan kya 29.06.2022 8:55
Mushkil aur aasaan kya Zamin kya, aasmaan kya Mafhum hayat ka jaante hain Batao, dil aur jaan kya Aasaan kya hai batlaaye koi Yeh falsafa hamen samjhaye koi Yeh wapasi ka khayal chhodiye ‘sahil’ Maiyyat ko baar baar na nahlaaye koi Dasht e tanhayi ka sukun kamaal hai Huzur, baat nazariye ki hai wabaal nahin Ghaur karne ki baat hai , baat bardaasht ki Dil ka kijiye, zahn ka istemaal nahin Sab kuchh...
Jeene ki arzoo ho to phir raushan rahey faanoos 29.06.2022 2:21
Jeene ki arzoo ho to phir raushan rahey faanoos Umeedon ka, khwabon ka, kabhi dil na ho mayoos Labon per naam ho rab ka, dil men ho dua Kal ki sochiyega dosto, jo aaj ho hua so hua Imaan ho dil men pukhtah be shak hon chund saraab Zinda raavani lahu ki gar rahen chund khwaab Mojazon ki nahin zururat, moninon ko kabhi Sahara kya dega koi gardishon ko kabhi Faani hai yeh dunya, sab kuchh jahan men f...
Naaseh, jalwe atfaal ke dikhlao to koi baat baney 29.06.2022 4:42
Naaseh, jalwe atfaal ke dikhlao to koi baat baney Aaj chehre khushhaal dikhlao to koi baat baney Sawaalon, jawaabon, ki hai dunya yeh saari Ik roz bina sawaal dikhlao to koi baat baney Aaj masaaib ki girift men be kas hai zamana Waqt e na muhaal dikhlao to koi baat baney Andheron men bhatki si dunya hai kaisi, vaaiz Khutbe nahin, mashaal dikhlao to koi baat baney ‘Sahil’ irtiqa ke nazaare, tabaahi...
Talatum kya batalaye haal sailaabon ka 27.06.2022 3:12
Talatum kya batalaye haal sailaabon ka Sham’a se kya puchhte ho haal parwaanon ka Mehmaan to mehmaan hota hai, farishta bhi Mezbaan kya jaane haal farishton ka Deewaney hain aalim salaah unse kaisi Kya koi puchhta hai haal deewaanon ka Raqs e dervesh dekhiye mahv e khuda hai woh Haal jaan kar kya karogey mastaanon ka ‘Sahil’, sukoot e sumundur jab pukhtah nahin hai Kya puchhta hai tu insanon ka, z...
Jaan Ki Baazi 27.06.2022 4:10
Jaan ki baazi lagaane walo Jaan to musta’ar hai Naqsh e pa sahil per kya, jab Manzil hi us paar hai Takte hain falak ko sab Kya jannat us paar hai Kya basta hai khuda wahan Woh jo sab ka yaar hai Maana firasatmand ho shaikh Per, rab to tum se hoshyaar hai Mominon ka, kaafiron ka Wohi ek parwardigaar hai Kabhi to maano baat hamari Har baat per kyon inkaar hai Zubaan per aitbaar kya Jab ashk hi gham...
To Kya Hua 20.06.2022 5:06
Raushan na ho gulzaar agar to kya hua Sitaron ka ho intezaar agar to kya hua Pabandi nahin hai koi jawab e dua per Hovey kabhi inkaar agar to kya hua Theka nahin kisi ka firasat per koi Ho jaaye bhoot sawaar agar to kya hua Mausam e saazgaar ka zaamin hai kaun kaho Na ho kal nau bahaar agar to kya hua Qadr na ki waqt ki neem shab laute ho ghar Sunayi na de raag malhaar agar to kya hua Aarzu ho us...
Wabastagi nahin ranj o gham se mujhe 20.06.2022 11:33
Wabastagi nahin ranj o gham se mujhe Na hi nafrat koi chashm e num se mujhe Jab dil ho udaas aur palken bheegin Tab milti hai mehr sanam se mujhe Humnawa hai jab humsafar mera To nijaat hai phir marham se mujhe Sang jahan ke kar lunga bardaasht Bas, maare na koi dil e narm se mujhe Zabt e sukhan ka hai maqaam apna Per, kya milega is qalam se mujhe Khaak ka putla, isteqbal pazeerayi kaisi Kaho kya...
Momin darey to sirf khuda se 20.06.2022 1:54
Momin darey to sirf khuda se Chalti simoom na kisi hawa se Fani hai duniya faani hai sab Puchho naseem puchho saba se Tu adna hai kitna kohsaaar ko dekh Khuzu seekh bande Quran o Geeta se Baad e mukhalif se darna kya Khaaif hai kyon bata qaza se Nazar lagey to lagey phir, yaro Hota hai sab rab ki riza se Bas, khaak hai manzil ab ‘sahil’ teri Utheyga tu phir usi jagah se Note :All material in this...
Momin Kaun 20.06.2022 2:43
Woh jo ankh kholey aur khuda nazar aaye Hijab ko dekhe aur haya nazar aaye Jo tukhm ko dekhe aur shajar nazar aaye Amavas ki ho raat aur taara nazar aaye Mehboob ki ankh se gar tapke ek aansu To usey sailaab o paak darya nazar aaye Muqaddas ho jis ka ragon men lahu Aab e kauser usey behta nazar aaye Maba’d na falak men basta dil men hai Maula Momin ko wohin woh dhadakta nazar aaye Kaen...
Haathon men jaane kiske hai kaunsi lakeer kya 20.06.2022 4:01
Haathon men jaane kiske hai kaunsi lakeer kya Qismat ke muqabil kya ghareeb aur ameer kya Jaama zar ka mubarak ho badshah ko, magar Jo odhey na libaas iman ka woh faqir kya Tamsil aur tashbih kya muqabile hain fuzul Maqaam sab ka apna hai, shaair aur dabeer kya Jab aankhen hi karti hain ailaan husn ka, phir Rangsaaz o mussavir banate hain tasweer kya Shahkaar, shahkaar hai la saani o be misaal Per...
Har aarzu poori hoti to kya hota 15.06.2022 1:51
Har aarzu poori hoti to kya hota Sukoon hota ya hangama hota Gar rona hi tha qismat men meri To kyon na main aasmaan hua Sookhi to na rehti zamin yeh kabhi Na hota phir zamin ko koi gila Jeeney ka maqsad to ek hi hai yaro Khushi baantna, gham ka mitaana Mere roney se banti aala woh shabnam Dil phir sab ka shaadmaan hota Mujh hi ko takta jahan phir saara Khuzu se phir sar mera jhukta Kyon bhoola ha...
Fida honey ka waqt aya, juda honey ka waqt aya 15.06.2022 3:03
Fida honey ka waqt aya, juda honey ka waqt aya Hum to soche they ruswa honey ka waqt aya Har su ba pa hai hangama Shaikh ki mehfil ka Hum ne socha shayad uthne uthaney ka waqt aya Faramosh they kaise hum dasht e tanhayi men Yaad na raha ke khud ko sulaney ka waqt aya Maafi talaafi se kaam na bana to socha humne Ke ab to do chaar aansu bahaney ka waqt aya Khazan ka daur dekh kar be zaar hui andalee...
Zamaane se keh do kahin aur ja ke ro le 15.06.2022 1:39
Zamaane se keh do kahin aur ja ke ro le Aansuon ko apne sailaab mein dubo le Sumundur se aaya hai tufaan yeh kaisa Gar mil jaayen moti to haar bhi piro le Koi theka to hum ne, na liya hai kisi ka Girdaab men ja kar safina dubo le Na milen gul to kaam khaar se chala le Mil jaayen chaman mein to gesu sajo le Bande, tukhm na boye to haasil kya hoga Dua na maangi to ja tu bhi phir ro le Bedaari men ka...
Sochta hun per kuchh darta hun 15.06.2022 4:51
Sochta hun per kuchh darta hun Kehna chahta hun per ghabrata hun Khul ke rehna khul ke jeena, haaye Main kab ki baat yeh karta hun Aaj sayad gah e aalam har ja Kyon bani hai dunya, sochta hun Thak kar sochte sochte main Khud hi se phir ladta hun Man men jama sawaal sab Khwabon men kho jaata hun Aisi to na thi yeh duniya Aahen phir main bharta hun Khilta hun murjhata hun Manind e gul main jeeta hun...
Aahistah Aahistah 14.06.2022 4:38
Shaam hai zeest ki ahista, ahistah, tamaam ho Goya maikade men khaali, ahista jaam ho Sumundur hai zeest, behr o darya bhi yaro Aab e kauser se iska ahista inzimaam ho Ji li hai zindagi bharpoor main ne, dosto Meri raftaar ko ab ahistah, ahista, aaraam ho Kabhi bura nahin chaaha daanistah kisi ka Is baat ka bhi ailaan, aahistah, khule aam ho Jo ijazat e zameer aur ba...
Waqt hi to guzaarte hain sab aur karen bhi to kya 14.06.2022 4:17
Waqt hi to guzaarte hain sab aur karen bhi to kya Shaikhiyaan maarte hain sab aur karen bhi to kya Aayene se kabhi khush kabhi naraaz rehte hain Khud ko sanwaarte hain sab aur karen bhi to kya Fitrat jaaniye ya isey anjaam e irtiqa aaj Be waqoof banaate hain sab aur karen bhi to kya Teekha hai mizaaj sabka teekhi sab ki zubaan Farzi shahad milaate hain sab aur karen bhi to kya Sood o ziyaan ka zam...
Tasweer maashuq ki bana de to koi baat baney 14.06.2022 3:05
Tasweer maashuq ki bana de to koi baat baney Khwabon ki taabeer karey koi to koi baat baney Haqeeqaton se to main khub vaaqif hun, Vaaiz Umeedon ko sanwaarey koi to koi baat baney Talatum se ho khaaif to sahil pe khadey kyon Bigdi ko banaye koi to koi baat baney Tamashayi na hon sahil per to sahil wo kya Naqsh e pa bachaye koi to koi baat baney “Sahil”, us paar ki tamaana ki shiddat hai bahot Koi...
Similar podcasts
Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.