Joy G
DIL Meri Jaan with Joy G
Dil Meri Jaan is a unique Hindi podcast show sprinkled with Shero-Shayari, Geet, Ghazals, Nazms, Poetry, and Stories that delve into the intriguing world of human relationships, romance, and any matter of the Heart! The show takes the help of renowned Shayars, Lyricists, Poets, Storytellers, and Philosophers to understand various facets of love and relationships. I earnestly hope that this podcast will give you an interesting perspective and will help you see relationships, love, and romance in a new light! Happy Listening!!
Where to listen?
Podcasts in the app Replaio Radio Coming soonPodcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts
Episodes
Aabroo | Dignity | Kya ahmiyat hai aabroo ki? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #76 26.03.2025 17:03
Aabroo किसी को कैसे बताएँ ज़रूरतें अपनी मदद मिले न मिले आबरू तो जाती है -अज्ञात Rishton ki jadein pyaar se nahi Izzat se, Aabroo se mazboot hoti hai. Aabron woh aaina hai jisme humara asli chehra jhalakta hai. Jab sammaan tootta hai toh rishte bhi bikhar jaate hain. Is episode mein aaiye jaante hain ki kaise Izzat aur Aabroo rishton ko sanjoti hai, aur kaise ise barkaraar rakhna humari sabse badhi...
Hifazat | Security | kya aapke rishte mehfooz hain?! | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #75 19.03.2025 18:36
Hifazat ज़िंदगी भर की हिफ़ाज़त की क़सम खाते हुए भाई के हाथ पे इक बहन ने राखी बाँधी -अज्ञात Chahe bhaai behan ka rishta ho, ya phir maa-baap aur bachon ka rishta ho, chahye dosti ka rishta ho ya phir pyaarka rishta ho, har rishte mein mehfooz mehsoos karna, secured mehsoos karna woh emotion hai jo sabse zaroori hai. Iske bina koi bhi rishta surakshit nahi hai. Iske bina humari koi bhi rishta panap...
Mizaaj | Mood | kaise mijaaz aapke hain farmaiye?! | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #74 12.03.2025 15:46
Mizaaj मिज़ाज हम से ज़ियादा जुदा न था उस काजब अपने तौर यही थे तो क्या गिला उस का वो अपने ज़ोम में था बे-ख़बर रहा मुझ सेउसे गुमाँ भी नहीं मैं नहीं रहा उस का -अहमद फ़राज़ Doston, moods ya phir mood swings ya yun kahein ki humara mizaaj humari personality ka woh aham pehloo hai jo humare rishton ko bana bhi sakta hai aur bigaad bhi sakta hai. Yeh woh do dhaari talwaar hai jise humein sahi tareeke se...
Shukriya | Gratitude | sabse zaroori dost! | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #73 05.03.2025 15:48
Shukriya "कृतज्ञता महसूस करना और उसे व्यक्त न करना, उपहार को लपेटकर न देने के समान है।" -विलियम आर्थर वार्ड Doston aabhaar vyakt karna ya shukriya ada karna ya gratitude express karna ek aisi khoobi hai jo humein aur humare rishton ko gehre tareeke se prabhavit karta hai. Yeh woh shakti hai jo humein insaan banati hai, insaaniyat ko zinda rakhti hai. Kyun? Kaise? Chaliye jaante hain is...
Iraadaa | Determination | kya hai aapka? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #72 26.02.2025 19:34
Iraadaa इरादे बांधता हूँ सोचता हूँ तोड़ देता हूँकहीं ऐसा न हो जाये कहीं वैसा न हो जाये - हफ़ीज़ जालंधरी Doston iraadaa humare liye kitna zaroori shabd hai shaayad humein hi uska andaaza nahi hai. Safal aur asafalta kebeech ka fark humare iraadon se hi tay hota hai. Paane aur naa paane ke beech ka fark humare iraadon mein hi chupa hua hai. Kuch banne aur na banne ke beech ki doori bhi humare iraade...
Uljhan | Confusion | kaise handle karein? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #71 19.02.2025 20:45
Uljhan उस ने सुन कर बात मेरी टाल दी उलझनों में और उलझन डाल दी - अज़ीज़ हैदराबादी Doston confusion ya uljhan woh pehlu hain jisse hum har roz rubaroo hote hain, jisse hum bhaag nahi sakte hain. Magar afsos hum in topics par baatchit hi nahi karte hain. Kaise uljhano ko suljhaya jaye? humare attitude kaisa hona chahiye? Hum kin tools ka istemaal kar sakte hain jisse hum apni uljhano ko behtar tareeke...
Izhaar | Expression | ek zaroori dost | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #70 12.02.2025 19:40
Izhaar दिल पे कुछ और गुज़रती है मगर क्या कीजेलफ़्ज़ कुछ और ही इज़हार किए जाते हैं - Jalil Aali Izhaar woh tool hai jo shayaad humari zindagi mein sabse zyaada ahmiyat rakhta hai. Isi ke zariye hum rishte banatehain, hum dusron se connect karte hain, hum is duniya mein apni ek duniya banate hain. Magar unfortunately hum ispar baatchit hi nahi karte hain. Aur yeh sabse badhi samasya hai. Toh aaiye a...
Haqeeqat | Reality | ek zaroori modh | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #69 05.02.2025 17:19
Haqeeqat यक़ीं ये है हक़ीक़त खुल रही है गुमाँ ये है कि धोके खा रहा हूँ - फ़िराक़ गोरखपुरी Doston, aaiya aaj thoda sapne ki duniya se nikalkar, expectations ki jaal ko todhkar, ummendon ki bhoolbhulaiyaa se hum bahar aakar Haqeeqat se rubaroo hote hain. Is episode mein aaiye Reality ko, vaastavikta ko thoda kareeb se jaanne ki koshish karte hain aur yeh samajhne ki bhi koshish karte hain ki kyun...
Tabassum | Smile | sabse khoobsurat bhasha | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #68 29.01.2025 14:52
Tabassum मैं तो शा'इर हूँ तिरे हुस्न पे कहता हूँ ग़ज़ल तू समुंदर है तो कब तुझ से तलातुम माँगूँ मैं ने कब माँगा मोहब्बत का ख़ज़ाना तुझ से मैं तो बख़्शिश में तिरा एक तबस्सुम माँगूँ - Yaasin Aatir Doston, aaiya aaj hum uss feeling ki baat karein, uss ehsaas ki baat karein, uss emotion ki baat karein jo woh medicine hai jiski aaj hum sabhi ko zaroorat hai. Aur woh medicine hai Muskaan, Tabassum, S...
Abhimaan | Pride | kya aap mein bhi abhimaan hai? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #67 22.01.2025 13:55
Abhimaan तेरी जान के दुश्मन हैं लोभ क्रोध माया अभिमान मन की दौलत पास नहीं और कहलाए तू धनवान - तुफ़ैल होशियारपुरी Doston, kya waqai mein abhimaan karna ya abhimaan ka yeh ehsaas sirf ek negative emotion hai? Ya kya abhimaan mein kuch aise bhi rang hain jo positive hain? Kya abhimaan karna galat baaat hai? Kya pride ke is feeling se hum kuch seekh sakte hain? Is episode mein aaiye abhimaan ko thoda...
Fursat | Rest | kya aap bhi bhaag hi rahe hain? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #66 15.01.2025 13:55
Fursat तब हम दोनों वक़्त चुरा कर लाते थे अब मिलते हैं जब भी फ़ुर्सत होती है -जावेद अख़्तर Doston, aakhri baar kab aapne khud ke liye thoda sa waqt nikala tha? Agar iska jawab yaad na aaye, toh shayad ab samay aa gaya hai ki aap khud ko yeh tohfa do! Is episode mein aaiye jaanne ki koshish karein ki kaise humari zindagi aur humare rishton mein hum jaan daal sakte hain agar humare paas khud ke liye,...
Khalish | Unease | kya aapne mehsoos kiya hai? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #65 08.01.2025 10:37
Khalish वो न आए तो सताती है ख़लिश सी दिल को वो जो आए तो ख़लिश और जवाँ होती है -साहिर होशियारपुरी Khalish woh ehsaas hai jisse hum humari zindagi mein har modh par rubaroo hotein. Uneasiness ya phir uljhan humari zindagi mein aati hi rehti hain aur isi liye iss khaas ehsaas ke baare mein baatchit karna behad hi zaroori hai. Toh aaiye is khaas episode mein hum is bahut ki khaas aur tricky ehsaas ko...
Saadgi | Simplicity | kahan kho gai hai? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #64 01.01.2025 10:59
Saadgi भूल जाता हूँ मैं सितम उस के वो कुछ इस सादगी से मिलता है -जिगर मुरादाबादी Saadgi mein waqai hi aisi shakti hoti hai. Simple tareeke se kaha gaaya kuch ya phir saadgi se jiye gaye zindagi mein ek ajeeb si taqaat hoti hai jo humein zindagi mein ek sukoon deti hai ek identity deti hai. Toh aaiye is superpower ko thoda kareeb se jaanne ki koshish karte hain jo humein aaj ki taanav se bhari zinda...
Parchaai | Shadow | kya aapne dekha hai? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #63 25.12.2024 13:41
Parchaai हाए लोगों की करम-फ़रमाइयाँ तोहमतें बद-नामियाँ रुस्वाइयाँ ज़िंदगी शायद इसी का नाम है दूरियाँ मजबूरियाँ तन्हाइयाँ क्या ज़माने में यूँ ही कटती है रात करवटें बेताबियाँ अंगड़ाइयाँ क्या यही होती है शाम-ए-इंतिज़ार आहटें घबराहटें परछाइयाँ - Kaif Bhopali Parchaai dikhti toh sab ko hai magar kya hum isse samajh paaye hain? Kya humne isko samajhne ki koshish ki hai? Shayad hi koi metaphor parchaai j...
Kashmakash | Struggle | ek zaroori speedbreaker? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #62 18.12.2024 13:30
Kashmakash है अजब सी कश्मकश दिल में 'असर' किस को भूलें किस को रक्खें याद हम Asar Akbarabadi Kashmakash woh jazbaat hai jise har rishte ko sehna padhta hai, yeh woh sagar hai jise har rishte ki kashti ko paar karna padhta hai. Yeh woh necessary evil hai jissey bachpana naamumkin hai. Toh aaiye, is khaas episode mein Kashmakash ki duniya ke andar jhaank kar dekhte hain aur ise thoda sa behtar samajh...
Andhera | Darkness | kya aapko bhi andhere se darr lagta hai? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #61 11.12.2024 12:58
Andhera "Tanha raat ki chadar tale, kuch ehsaas jagte hain, Andhere mein chhupi hui roshni ke alfaz jagte hain." Joy G Doston, kya aap andhere se darte hain? Andhera kya aapko gumraah karta hai? Kya aap andhere se pareshaan rehte hain? Agar aapka jawaab haan hai toh episode aapke lie hai. Toh aaiye, is khaas episode mein Andhere ki aur rukh kare hain aur use thoda nazdeek se parakhte hain. Agar aa...
Musafir | Traveller | kya aap bhi ek musafir hai? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #60 04.12.2024 9:54
Musafir ढूँडता फिरता हूँ मैं 'इक़बाल' अपने आप को आप ही गोया मुसाफ़िर आप ही मंज़िल हूँ मैं Allama Iqbal Doston, Zindagi ko kaafi kuch kaha gaya hai magar un sab mein sabse zyada istemaal mein laya gaya naam shayad Safar ka hai. Aur Doston agar Zindagi ek safar hai toh hum zaroor us safar ke musafir hain. Hain na? Toh aaiye, is khaas episode mein zindagi ko, humare rishton ko ek musafir ke aankhon s...
Anaa | Ego| kya aap bhi iska shikaar huye hain? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #59 27.11.2024 11:59
Anaa हाँ ठीक है मैं अपनी अना का मरीज़ हूँ आख़िर मिरे मिज़ाज में क्यूँ दख़्ल दे कोई - जौन एलिया Doston, Anaa yaani Ego ek bala bhi hai aur ek tool bhi. Yeh kabhi humare rishton ke liye rukawat ban jaata hai toh kabhi iska sahi istemaal humein bacha bhi leta hai. Toh aaiye Anaa, Ego, Guroor ke is paicheeda jazbaat ka ek rukh karte hain au ise thoda sa kareeb se janne ki ek koshish karte hain. Agar a...
Gehrai- kya humein dubki lagani chahiye? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #58 20.11.2024 13:22
Gehrai मैं ने दरिया से सीखी है पानी की ये पर्दा-दारी ऊपर ऊपर हँसते रहना गहराई में रो लेना बशीर बद्र Doston, Zindagi ke har lamhe ko, humare har rishte ko gehrai mein utarkar dekhne par hi hum shayad sahi mayne mein zindagi ko jee sakte hain. Upar hi upar se toh hum sabhi jeete hain magar rishton ke gehrai mein jaakar unhe nibhane mein jo baat hai woh unhe casually nibhane mein nahi miti hai. Toh...
Pachtava- kya humein isse darna chahiye? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #57 13.11.2024 15:33
Pachtava ज़ख़्म झेले दाग़ भी खाए बहुत दिल लगा कर हम तो पछताए बहुत Meer Taki Meer Doston, shayad pachtave se zyada complicated koi bhi ehsaas nahi hai. Yeh woh emotion hai jise samajhna jitna mushkil hai utna hi important bhi. Yeh woh jazbaat hai jo humko apne ghere mein kabhi na kabhi ne hi leta hai. Toh aaiye, is khaas episode mein is complicated emotions par ek nazar daalte hain, ise thoda sa ka...
Haar- kaise karein iska saamna? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #56 06.11.2024 12:21
Haar मैं क़त्ल हो के ज़माने में सरफ़राज़ रहा कि मेरी जीत का पहलू भी मेरी हार में था - गुहर खैराबादी Doston, Zindagi ke do pehloo hain Haar aur Jeet. Hum aksar Jeet ko itna importance de detein hain ki Haar ke baare mein sochte hi nahin hain. Aur isi wajah se jab Haar ka saamna karna padhta hai toh hum aksar thokar khaatein hain, hum ladhkhadha jaatein hain, humein pata hi nahi hota ki kaise iska s...
Shaque- kaun hai yeh bin-bulaya mehmaan? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #55 30.10.2024 13:47
Shaque वो अब आईने धोता फिर रहा है उसे चेहरे पे शक होने लगा था - Rahat Indori Shaque woh bin bulaya mehmaan hai jo har rishte ko apne shikanje mein le hi leta hai. Aur phir yeh humare upar hai ki hum shaque ke chungal se apne aapko aur rishte ko kaise bachate hain. Aaiye doston, is episode mein Shaque ki duniya ka rukh karte hain aur usey nazdeek se samajhne ki ek koshish karte hain jissey hum ap...
Badlaav- rishton ki pariksha? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #54 23.10.2024 21:50
Badlaav. पत्थर से पानी बनते देखा है मैंने, इस दुनिया में लोगों को बदलते देखा है मैंने। कब परिंदे सब नीचे से ऊपर उड़ गए, इन सभी उड़ानों को देखा है मैंने।। - Ajay Kumar Badlaav woh sach hai jisko badla nahi ja sakta. Aur humari zindagi ki tarah, humare rishton mein bhi badlaav ki khaas ahmiyat hai aur woh is liye ki badlaav ka humare rishton par bhaari prabhaav padhta hai. Toh doston, aaiye is episode...
Aazaadi- rishton ki pehchaan | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #53 16.10.2024 12:38
Aazaadi Mujhe aazaad karo tum yaadon ke is shikanje se Main khwabon ke aasmaan mein udhna chahta hoon - Joy G Aazaadi woh shabd hai jo humein power deti hai, humein sapne dekne ki taqaat deti hai, humein bhavishya ki aur ummend ke saath dekhni hi himmat deti hai. Aur humare rishton mein aazaadi humare jeevan ko fulfilling banati hai, humare rishton ko mazboot banati hai. Toh doston, aaiye is episo...
Dua- rishon ki lifeline | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #52 09.10.2024 16:39
Dua कोई चारह नहीं दुआ के सिवा कोई सुनता नहीं ख़ुदा के सिवा - Rajendra Krishna Doston dua woh mechanism hai jo humare andar ummend ki kiran ko jalaye rakhti hai. Dua hi woh jazbaat bhi hai jo mushkil waqt par humare kaam aati hai. Hain na? Humein dusron ke liye dua karni hai aur dusron ki duaon ke layak banna hai. Toh aaiye duaon ki is khoobsurat duniya mein kadam rakhte hain aur dekhte hain ki kai...
Similar podcasts
Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.