Ashok Sawhny 'Sahil'
Dastan -e- zindagi
Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.
Author
Ashok Sawhny 'Sahil'
Category
Podcast website
Latest episode
Jul 10, 2026
Where to listen?
Podcasts in the app Replaio Radio Coming soonPodcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts
Episodes
Main Kaun Hun, Kya Hun 19.01.2023 3:11
Kabhi khaak, kabhi pathhar, sang dil mein main Ana parast, magroor, har mushkil men main Num chashm, soz e dil, har gham mein hun Jaur o sitam, karam aur narm dil mein main Shireen zabaan, uski talkhi men bhi main Naasoor aur zakhm e mundamil mein main Sirr e nihaan hun, mazhar hun main zuroor Na kaami meri, hun kaamil men main Thaharte waqt, guzarte lamhon mein bhi Har gaam , har haail, har manzi...
Mera Watan Mera Hindustan 19.01.2023 3:11
Hai duniya yeh meri, yeh mera watan hai Jaan hai yeh meri, yeh mera chaman hai Hotey hain haail baaghon men sab ke Khaar hai yeh mera, yeh mera saman hai Hun aashiq main is ka, bahaar o khazan men Bhaadon yeh sab ki, yeh mera saawan hai Yaro, dhundte ho kya tum sitaaron se aage Jannat yahin hai, yeh mera gagan hai Naseem o saba ke mushtaaq hain sab Hai simoom is ki pyaari, yeh mera tan man hai Gul...
Sada e Ba Shaoor 13.01.2023 5:12
Dekh hangaame aaj ke boli sada e ba shaoor Tu bata ‘sahil’ mujhe mujrim main kisey thahraun Zee fahm o hoshmand kehlaatey ho tum sab Magar, ba shaoor aaj kahun hai, kisey kahun Har su hai tabaahi jidhar bhi dekhiye Ghaarat ki yeh daastaan main kahan sunaaun Tula ho karne ko jo khud ko naist o naabood Us ke bachao ke liye main kaho kisey bulaun Duaon ke siwa nahin hai chaarah kuchh, lekin Aasaan si...
Main khaak hun, koi zariya banaya Rab ne, uski mehr 09.01.2023 3:59
Main khaak hun, koi zariya banaya Rab ne, uski mehr Ghaflat men na bhoolna yaro maalik ka tum qahr Zamin badi ya aasmaan, andaaza yeh apna apna Nadi na jaane darya kya, na sumundur jaane behr Charche umr daraaz ke, lamhaat ke, hisaab kaisa Ek nafas se doosra, naam hayaat, sab mukhtasar Is qadr hai faramosh, bhoola insan khuda ko Momin kaun, kaun kaafir, dervesh, kaun qalandar Kya insan ki jahalat...
Rabt o ehteraaz to tabiyat hai insan ki 09.01.2023 4:37
Rabt o ehteraaz to tabiyat hai insan ki Jaise zulm o karam hai aadat aasmaan ki Naqaab be naqaab woh zamaane kuchh aur they Jab hoteen theen baaten sab yaqin o imaan ki Aaj baaten to hoteen hain per toleen nahin jaatin Kya bhooley hain log haqeeqat us mizaan ki Kabhi darja Rab ka milta tha ghar aaye mehman ko Waqt woh lao aisi thi jab izzat har mehmaan ki Vaaiz, shaikh to tab bhi they aaj bh...
Mahabat ki virasat men junoon hai bahot 19.12.2022 4:23
Mahabat ki virasat men junoon hai bahot Aur maazi ki yaadon men sukoon hai bahot Bheeg jaati hain palken num aankhon se sab ki Mere ashkon men shaamil aaj khoon hai bahot Ahl e siyaasi ki baaten kya karneen ab vaaiz Seedha saada hi insan aaj aflatoon hai bahot Haqeeqat saari hai sab ke dilon me daroon Ke dunya farzi, haaye logo, beroon hai bahot Jab nasheb o faraaz e zeest...
Hona taalib e ilm yaqin o imaan ka 19.12.2022 3:30
Hona taalib e ilm yaqin o imaan ka Yeh hi aala darja hai har insan ka Saraab hai ya khwaab, ya jo bhi hai zamin Yeh apni hai, yaqin kya ho aasmaan ka Kis per kab aa jaaye yeh kaun jaane, yaro Aitmaad kya kijiyega dil e naadaan ka Tera shukriya karte hain shaikh hum zurur Per, kya tu bhi karta hai Rab e mehrbaan ka ‘Sahil’, na kiya apnon per bharosa gar tum ne To aitbaar kya...
Dosti ke naam 05.12.2022 8:37
Dekh vaaiz tu bhi dekh aaj jaan kitni sasti hai Shaan o shaukat, majazi daulat, saraab si yeh hasti hai Guzarti hai jhamelon men subh se shaam sab ki zeest Aur umr bhar yeh zindagi sirf amn o chain ko tarasti hai Kuchh bhi nahin sarmadi na hi lamha koi javed Dunya saari faani hai darya men sabki ki kashti hai Dars deta hai woh sab ko jeeney ka tareeqa, suraj Har subh ki woh...
Har insan ki khushi, ranj o gham, us ke daroon hai 05.12.2022 2:24
Har insan ki khushi, ranj o gham, us ke daroon hai Faani dunya, faani log, yeh sab beroon hai Zinda dilli pe bahas kaisi batao yaro, jab Zinda wohi jiski ragon men daurta khoon hai Jeena marna subh shaam yeh to bas haqeeqat hai Zindagi ka asli naam to sirf shauq o junoon hai Badi baaten badi cheezen mubarak hon sab ko Daana , jo har saans ke liye Rab ka mamnoon hai ‘Sahil’, shayr goi na kar bas na...
Ashkon men khoon shaamil na ho to rona kya hua 05.12.2022 2:59
Ashkon men khoon shaamil na ho to rona kya hua Beeten na raat gar khwabon men to sona kya hua Kaafi nahin hai tabassum shaadmaani ke liye Dil na khilkhilaaye to kaho hansna kya hua Dil maanind e sheesha hai yeh baat bhi hai puraani Na tootey gar khilauna to khilauna kya hua Daaman pe daagh lagte rahen to mitaana kya hua Nadamat na ho jazbon men to rona kya hua Haqeeqat, naam zeest ka samajh lo, ya...
Kyon nahin hai mizaan koi ranj o alam ka 14.11.2022 3:00
Kyon nahin hai mizaan koi ranj o alam ka Giraan bahot hai vazn ab baar e gham ka Kya waqt ke raazdaar ho, karo jo karna hai Muntazir ho kyon kaho saazgaar mausam ka Faramosh insan ghaafil itna is baat se kyon Milta hai jawaab be shak har zulm o sitam ka Amn o chain ki zindagi kya pasand nahin kisi ko Fayeda kya vaaiz bata jhagre fitne aur barham ka Momin na samjhe ‘sahil’ to samjhega kaun, phir Qa...
Khauf nahin maiyyat ko kabhi gor se koi 14.11.2022 1:49
Khauf nahin maiyyat ko kabhi gor se koi Sukoon ko kya waasta kabhi shor se koi Shaikh, apne jaison se lar be shak, har roz ai Haasil kya hoga kisi kamzor se koi Dekhnewale na dekhen agar, to phir Umeed ho kaisi chashm e kor se koi Qaaim rehte hain rishte bas pyaar se sab Na ke kachey dhaagon ki dor se koi Loot kar le jaaye jo dil ko, ai ‘sahil’ Phir darna kya aise kisi chor se koi Maiyyat. Corpse...
Maikhana kahe koi paimaana kahe koi 14.11.2022 3:02
Maikhana kahe koi paimaana kahe koi Saqi, tujhe farishta, deewaana kahe koi Karey jo mahv e khuda men basar apni zeest Saudaayi yeh dunya, maulana kahe koi Tabassum kahe koi, koi mehman navaazi Khilkhilaate dil ko muskurana kahe koi Gham khaana kahe koi mastana koi aur Dil apne ko, yaro, aashiyana kahe hai koi Maazi kahe koi, koi haal samjhe isey Zindagi ko vaaiz, afsaana kahe koi Kahey dunya saar...
Jab humsafar Khushi ka ranj o alam hai 14.11.2022 2:52
Jab humsafar Khushi ka ranj o alam hai Phir bataye koi kaun kis ka sanam hai Soz e dil ki Pursish ab kaisi, kaho Jab palken hain bheegeen, chashm num hai Chaarahgar hai qaabil gumaan to nahin, peri Hamdardi, to naaseh, awwal marham hai Baat baasil ko to baat shujaa ki hai, yaro Ab dekhna hai qaatil men kitna dum hai Khaamoshi hai naam sada e dil ka, ‘Sahil’ Zubaan de usey tere haath me...
Saanson ki maala pirotey hain sab 14.11.2022 2:47
Saanson ki maala pirotey hain sab Ashkon men jazbe dubotey hain sab Ro kar koi hans kar girata hai ashk Gham ke taley peeney jaatey hain sab Shikayat na shikwa na gila koi Gham ka taraana gungunate hain sab Aksar beh jaate hain maujon men log Riza ho rab ki to bach jaate hain sab Pi kar ai saqi jaam mai ke tere Jannat ke qissey sunaatey hain sab Kya hua hai insan ko 'sahil’ bata Jaam shafqat ke ky...
Na mila sabaq jisey dabistan e hayaat se 14.11.2022 5:34
Na mila sabaq jisey dabistan e hayaat se Phir kya milega dars usey fateh ya koi maat se Noor e dil ke baare men, puchhiye kor chashm se Subh ki baabat pursish kaisi amavas ki raat se Bharosa kya karun main shaikh vaadon per tere Maaloom na ho gar ta’alluq unka tere khayalaat se Dekh tu ne bheega mujhko thahraya mujrim kyon Falak hai gawaah munsif num daaman tha barsaat se Haasil usey hogi koi khus...
Taskeen, beroon nahin daroon hai 31.10.2022 2:17
Taskeen, beroon nahin daroon hai Ujlat to muzir e sukoon hai Yaksaan banaya hai tu ne sab ko Ya rab, phir be sukoon insan kyon hai Sahi ghalat kya hai naaseh, bata Jab sab ka apna apna junoon hai Inkisaari ko bhoole hain log aaj aise Phir, sar sab ka kyon nigoon hai Hum ne to dil ki baat bayaan ki, ‘sahil’ Yeh to nahin kaha aisa ya yun hai Taskeen. aaraam chain Be roon baahar Daroon. W...
Haal puchhiye kabhi kisi beemar se 31.10.2022 2:40
Haal puchhiye kabhi kisi beemar se Yaro duaaen milengi shifa ke izhaar se Ramz e ishq bhala kya hai, batao Chalo puchhte hain gulaab o khaar se Mil jaaye gar dil bar to baat hi kya Raaz muhabat ka puchhenge pyaar se Dil diya hai koi jurm to nahin kiya Puchh lo bechaarey gunahgaar se Shaikh tujhe sang dil kyon kehte hain log Kya tu thokta hai sar apna deewaar se Chalo, aaj kufraan ki vajh batate ha...
Qatre qatre ki baat hai, tinke tinke ki baat 31.10.2022 1:58
Qatre qatre ki baat hai, tinke tinke ki baat Kharid o farokht ki dunya me bikne ki baat Valvale dilon men rehte hain pinhaan, magar Sabr o qaraar aur hai sambhaalne ki baat Sukun ki baat, sab amn o chain ki baat dosto Zeest, khushi se hai waqt guzaarne ki baat Gunah kis se nahin hotey aib kis men nahin Maafi talaafi, chaak daaman silne ki baat Bahot bara hai jahan bahot bari hai kaaenaat ‘Sahil’,...
Koi muskura de to kya kaamyaabi maanun 31.10.2022 2:14
Koi muskura de to kya kaamyaabi maanun Ik roz aur ki saughaat adaayi maanun Hujum men ehsaas e tanhayi ho to, phir Khud ko humsafar ya saudaayi maanun Dakhl andaazi muamlon men na karna La parwaahi jaanun ya daanaayi maanun Raah dikhlane waale to har ja hain bahot Isey kaarjoi ya phir rahnumayi maanun Chaley jaata hai khud se tu dur itna kyon ‘Sahil’, be sakhta jaanun ya gumrahi maanun Saughat. Be...
Aj dukhi kyon ai jaan meri (Dohey) 25.10.2022 5:00
Aj dukhi kyon ai jaan meri Taaleyaan heth zubaan meri Hun kis kis nun samjhanwaan, ‘Sahil’ Kithey gayi muskaan meri Jannat da naan ik hor vee ai Heaven da bada shor vee ai Bhul gaye loki ma nun yaara Jidey pyaar ich khuld da zor vee ai Tufaan baar te andar vee Ronda ai sumundur vee Puchh ke vekho talatum nun Fer vekho shor te qalandar vee Kadi rondyaan vekho pedaan nun Athroo tapkan patyaan tak Ro...
Bulao murghaan e chaman ko, baab e qafas kholen hum 25.10.2022 4:14
Bulao murghaan e chaman ko, baab e qafas kholen hum Ghaafil kyon hai baaghbaan, bulao kuchh to usey bolen hum Betaab guzri hai raat bhi be neend tadpe they shab bahot Ab rokey subh ki kiran koi, kuchh der to aur so len hum Naam darya ka nadamat hai baithe hain hum lab e darya Chalo, ek ek kar ke dagh e daaman ro ro kar ab dho len hum Bikhre moti har su aaj kuchh nakli aur kuchh aankhon ke Gira kar...
Aawaaz khaamoshi ki sada hoti hai 17.10.2022 3:08
Aawaaz khaamoshi ki sada hoti hai Kyon ke woh be sada nahin hoti hai Dil dhadakta hai jaise har waqt, lekin Sada us ki sunayi nahin deti hai Dil se to uth te hain mahz jazbaat Num chashm hi dukh se milaati hai Gham e mehrumi ka andaaz to yaro Bas, roti aankh hi bayaan karti hai Saba, hawa, naseem, fiza ya kuchh aur Woh shai aur hai, ma ki jo lori sulaati hai Nahin dara hai ‘sahil’ tufaanon se kabh...
Khuda jaam o meena mein 17.10.2022 4:58
Khuda, jaam o meena men, har khumgah men hai Chashm e num, teri muskaan, meri aah men hai Woh talaffuz, har lahje, dunya ki zubaan men hai Mere talkh andaaz aur teri har waah men hai Kaafir ke dil men, qalb e momin, har aan maula hai Dua men, ilteja men, woh lafz e tauba men hai Tul’oo e subh aur ghurub e aftaab men hai Girdaab men hai, sahil per, reton per, fiza men hai, Aankh ki jhapak men, naza...
Dard o alam na hotey to kya dua na hoti 17.10.2022 2:13
Dard o alam na hotey to kya dua na hoti Chashm num na hotey kya koi aah na hoti Shifa na hoti, marham o dawa na hoti Charahgar se phir koi ilteja na hoti Bulbul na hoti, naghme chaman men na hotey Dil fasurda na hotey zakhmi sada na hoti Zulmaton men hoti dunya yeh saari, yaro Gar aftaab na hota to phir subh bhi na hoti Kya zururi hai wabastagi ranj o alam se, ‘sahil’ Kya naale na hotey, khuda ki...
Similar podcasts
Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.