Ashok Sawhny 'Sahil'

Dastan -e- zindagi

Arts UR ↓ 582 episodes

Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.

Author

Ashok Sawhny 'Sahil'

Category

Arts

Podcast website

www.ashoksawhny.com

Latest episode

Jul 10, 2026

Where to listen?

Podcasts in the app Replaio Radio Coming soon

Podcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts

Get it on Google Play Install for free Android 5M+ downloads · 4.8 rating iOS soon

Episodes

Kal na huay to kya hua 27.03.2023

Kal na huay to kya hua   Kahin jashn kahin janaza hua Daastaan hai yeh zindagi ki ‘Sahil’    Kahin fana aur kahin koi paida hua.                                                   

Umeed sajaye baitha hun bahaar ke aane ki 27.03.2023

Umeed sajaye baitha hunbahaar ke aane ki Per bad dua nahin deta hunmain khazan ko jaane ki, Maqaam to sab ka muqarrar hain'sahil' Aur qataar baandhe baithe hain sab aane jaane ki Note: All material in this product is the intellectual property of  Ashok Sawhny and  cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always ope...

Gham e dil ki zubaan hai chashm e num ki sada, 27.03.2023

Gham e dil ki zubaan hai chashm e num ki sada, Kaho alfaaz ki zururat hai ranj o alam ko kya   Vajh kya thi kya hai in zakhmon ki kaho In baaton se waasta hai marham ko kya   Jeena to khel hai sirf anfaas ka, yaro Tumhaare aur mere hai dum ko kya   Kal subh ki dekhi hai kiran aaj kis ne Vaaiz, is baat ka ta'aluq hai hum se kya   Tu momin hai ‘sahil’ imaan tera pukhtah Kisi aur ke tujhe hai vah...

Gir rahi hai aasmaan se sang o khisht ki baarish kyon 27.03.2023

Gir rahi hai aasmaan se sang o khisht ki baarish kyon Naraaz hai falak to phir ashkon ki nahin hai naalish kyon   Gumrahi ki raah hai naaseh yeh sawaal jawaab ka muamla Olay barsen ya barse shabnam arsh se yeh pursish kyon   Rukey hotey gar mah o anjum aur ruka hota gar aaftaab Hota phir neendon ka kya, tum puchhte ho yeh gardish kyon   Eejaad nahin hai teri jab phir kaaenaat hai yeh kis ki Momin...

Lut gaya chamam mera to mujh men kya kamaal tha 27.03.2023

Lut gaya chamam mera to mujh men kya kamaal tha Hisaab musht e khaak se yeh bhi kya sawaal tha   Kya kho gaya, kya lut gaya, fehrist apni tu dikha Kuchh nahin se pursish kaisi, yeh bhi kya wabaal tha   Nasheb o faraaz dekh kar zeest bani humraah meri  Samhja zeest ko jab main ne phir na kabhi be haal tha   Ajnabi o anjaan tha, khush qismat main insan tha Takabber mujh men tha nahin khuzu ka isteqb...

Bas, chaandni raat mujhe sulaane aa jaaye 24.03.2023

Bas, chaandni raat mujhe sulaane aa jaaye Aur, kiran subh ki mujhe jagaane aa jaye   Yaro, roz na sahi kabhi kabhi hi sahi Chaman men bulbul gungunane aa jaaye   Rooth jaata hun main khud se kabhi Ab mujhe bhi to koi manaane aa jaaye   Hain khutbe tere meri samajh se baahar Vaaiz, aasaan si baaten koi sikhaane aa jaaye   Tere armaanon ki fehrist be hisaab hai, ‘sahil’ Kya tujhe bhi koi ab samjhaan...

Yaad khuda ko to bas nida karey hai 24.03.2023

Yaad khuda ko to bas nida karey hai Dil ki dhadkan bhi wohi sada karey hai   Jis kaahish ne kiya hai tumhen fida Wohi ik roz phir tabaah karey hai   Basi ho jaan apni jab dil men kisi ke Usey phir koi na alheda karey hai   Us raah per na chalna tum kabhi, dosto Jo maula ki raah se juda karey hai   Rehta hai raushan kor chashm ka dil, per Kaam sham’a ka to nurul huda karey hai   Sayi, farz hai sab...

Nur na ho baatin men to sham’a kya jalaoge 24.03.2023

Nur na ho baatin men to sham’a kya jalaoge Pur soz na ho dil to phir gham kya khaoge   Aayene  ke mukhatib ho chehre se na khush To kor chashm ko naseh tum raah kya dikhlaoge   Gar hasraton men apni be qadar ho ghurub To kisi aur ki aarzu ko murad bar kya laoge   Na mila sako tum nazren zamin per gar kisi se Dasstaan tum apni phir sar e baam kya sunaoge   Vaaiz, zahn men aaj sab ke barhainagi hai...

Dard e Dil Ka Darman Sahil-Lyrics by Ashok Sawhny 'Sahil' -recited by Mehran Shah 07.03.2023

Dil Paak ho Jiska Sabr ho tahammul ki rihaaish aaj sitaaron mein hain Rang gulshan ka dekho chand angaaron mein hain Husn sitaaron mein nahi ab nazaaron mein hai luft khazaan na ke bahaaron mein hai Hua karti thi raunaq nashemann  mein kabhi Aaj jalwa bhi dekho deewaron mein hai Usey rind na kehna dil jis ka ho paak Pakizaagi bhi dosto ab maikhanwaron mein hai Jaandaar they  log kisi zam...

Gaam apne phoonk phoonk kar rakhte hain 27.02.2023

Gaam apne phoonk phoonk kar rakhte hain Aur sitaaron ko umeedon se jo takte hain Zamin per hamesha hon qadam  jin ke qaaim Woh manjhdaar se ‘sahil’ to  zurur pahunchte hain. Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to...

Sahil' ko naseehat 27.02.2023

Jhukte hain shajar bhi saare samar ke woh vazn se Shukr kar Rab ka 'sahil' aur tu bhi ab aaraam kar Koshish kar le tu jo chaahe, tujh se jo ho sakey Anjaam saare ai insan, Rab ke tu naam kar Maikhane aur mai ko tu sumundur ke supurd kar Ek ek kar ke mai e naab ke khaali tu sab jaam kar. Nek iradon ka maalik ban paak tera libaas ho Karna hai jo kar le ab magar sar e aam kar Naseem ke jhonkon men a...

Bhooley hain jo hamen khudaya shaadmaan rahen 27.02.2023

Bhooley hain jo hamen khudaya shaadmaan rahen Raushan un ke sab aasmaan rahen Bita lenge yaadon men hum zindagi ‘Sahil’ umeedon ki nadiyaan unki ravaan rahen Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be conta...

QATAAT 27.02.2023

Aayene mein hon daraaren to  chehra nahin badalta Malaah ho khuda to safina nahin doobta Har subh ki hoti hai shaam aur shab ki saver Pukhtah ho imaan ‘sahil’ to dil nahin bikharta NOTE :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open t...

Kabhi duaon se puchho inkaar kya hota hai - quatrain 16.02.2023

Kabhi duaon se puchho inkaar kya hota hai Shajar batlaaye samar ka bhaar kya hota hai Lamhe lamhe ki baat hai khel nafas ka ‘sahil’ Phir zindagi kya batlaye aitbaar kya hota hai Shajar. Tree. Ped Samar. Phal. Fruit Nafas. Saans

Dekha hai dunya ne khoob shaan o shaukat men mujhe 16.02.2023

Dekha hai dunya ne khoob shaan o shaukat men mujhe Bhaley dekhe ab koi libaas e ghurbat men mujhe Sahara zeb o zeenat se kisey mila mustaqil kabhi Mila hai aaraam bahot asl o haqeeqat men mujhe Khwaab ya saraab hai yeh to jaane maula yaro Mili to taskeen be misaal mushaqat men mujhe Maanind e dervesh mast hun raqs us ka la jawaab Sukoon be inteha mila Rab ki ibadat men mujhe Waqt e ikhtetaam na da...

Mizaaj chaman ka barham hai kyon gul nahin aaj khiley hain 16.02.2023

Mizaaj chaman ka barham hai kyon gul nahin aaj khiley hain Sahra men nishan e kauser kaho kab kisey miley hain Aaram e sahil to naseeb men sab ki nahin likha kabhi Sayi rafu ki hoti hai per daaman to sab nahin siley hain Aisa nahin behr koi jo paar hum na kar saken Rishton men phir mazeed kyon aaj itne faasley hain Dhulte nahin hain daagh koi barsaaton se kabhi Aur bujhey angaarey, dosto mere, kab...

Ba juz hast o bood ke to kuch kaam ka nahin 08.02.2023

Ba juz hast o bood ke to kuch kaam ka nahin Lafz e mustaqbil to kabhi araam ka nahin Khala men khaalipan ke siwa aur kya hai, kaho Kal subh ka aaftaab to aaj kisi kaam ka nahin Mai na ho khumgah men to saqi se pucchiye Na bujhe gar tishnagi to qusur jaam ka nahin Karey jo haasil zindagi ka kul surur, naaseh Wohi samjhe nasha to kaam gulfaam ka nahin Jannat ko dhundne nikle ho Shaikh ji tum aaj Khu...

Kaun jaane kaun kis ka ghulam hai 08.02.2023

Kaun jaane kaun kis ka ghulam hai Shayad sawaal hi haraam hai Saqi se puchh kar dekhiye Kya rind ya ke jaam hai Pasandeeda hai to kisey kya Mai e naab ya gulfaam hai Tulu e aftaab hota hai roz Subh ka woh paighaam hai Daryaaft kijiye shab se bhi Hayaat ki kaunsi shaam hai Yaro, sukun hai kis ka pairahan Kya dil ke jis ko aaraam hai Be naam ya gum naam behtar Naam wala to bad naam hai Yeh sawaal ja...

Jawaab faqiron ka to la jawaab hota hai 08.02.2023

Jawaab faqiron ka to la jawaab hota hai Unke liye jeena to be hisaab hota hai Ameer woh na sahi aurang be shak ho khaak ki Dil men basta ho Rab to woh zaryaab hota hai Baitha ho jo sahil per liye huay sukun Sumundur phir na gehra na payaab hota hai Auron ki izzat kijiye per khud ko na bhooliye Khud daar insan to maanind e seemaab hota hai Sambhaale jo khayal usey naaseh maaniye Bakharey jo dil ko...

Zindagi Kya hai 06.02.2023

Dil ne mohlat na dee Hangaamon ne fursat na dee Hum kya karte ‘sahil’ bata Jab saanson ne aur ijazat na dee Pa ba jaulaan nahin hai hayaat Per muqarrar hain sab din o raat, Maana ke na samajhni mushkil nahin Lekin, pecheedah zurur hai yeh baat Aazaadi bina paabandi nahin hoti Zulmat na ho to tabindagi nahin hoti, Khuftah ho zameer to sochiye zara Nadamat o sharmindagi nahin hoti Falsafa , falsafa...

Kyon chhalak rahi hai mai aaj gham ke pyaalon men 06.02.2023

Kyon chhalak rahi hai mai aaj gham ke pyaalon men Kya rind nahin firasatmand hain aaj maikhaanon men Aamezish kaisi kaisi hai tu hi samjha vaaiz hamen Milawat hai kaisi sharab men,, khot kyon paimaanon men Na milna chaaho na sahi muzaaiqa nahin hai, yaro Dilchaspi nahin ab mujhe tumhare un bahaanon men Hai khaalipan khalaon men, udaas bahot yeh aasmaan Parwaaz nahin parindon ka kyon aaj un ki udaa...

Har aah men dua shaamil hai 25.01.2023

Har aah men dua shaamil hai Kaho, maut ya hayaat kaun haamil hai Ik nafas se doosre talak hai zeest Kaunsi subh, kaunsi shaam, kaamil hai Munafiq duniya, doghle log Jaane, naqli kya aur kya asl hai Ashk e soz e dil to shola hai, bas Tufaan se batao kya haasil hai Jahan sab, sab kuchh jaante hon Bata vaaiz wahan kaun aaqil hai Nukta cheeni marz hai ajab, zurur Yaro, yeh samajhna mushkil kyon hai Ro...

Lagta to insan khud men magan hai 25.01.2023

Lagta to insan khud men magan hai Jabeen per sabke phir kyon yeh shikan hai Justaju sabko, talaash hai khushi ki Shaadmaani phir kyon aur kahan dafan hai Dhang se na soche ab baaton per koi Zameer kyon ghaayab, mareezaana zehan hai Badla hai yaro jahan yeh bahot Zamin jab wohi aur wohi gagan hai Udaas hain chaman baharon baghair Na khilte gulaab na koi saman hai Ajnabi hain sab, anjaanapan ajab Hu...

Zaat e khuda mein tazabbub kya hai 19.01.2023

Zaat e khuda mein tazabbub kya hai Har mazhab ko Rab ki talab kya hai Uth ta hai sawaal zahn mein zurur Gar insaniyat nahin to mazhab kya hai Aaj dooriyan itni hain aapas mein kyon Is hirs o hawas ka sabab kya hai Har roz hain mukhatib aayene ke sab Wohi shakl dikhe to ghazab kya hai Khud parast insan bhoola hai aaj kyon Unsiyat aur shai musaahib kya hai Aawaragi hai fitrat insan ki ‘sahil’ Zameer...

Sahil dilkash thi teri tehreer kaisi 19.01.2023

Sahil dilkash thi teri tehreer kaisi Kya hua kyun badli hai woh sareer kaisi Dekhiye  zamaane mein yeh darogi raaz Wafa ko samjhte hai log zanzeer kaisi Andaaz dekhiye ahl e imaan ke aaj Rakhte hai momin dilon mein tasweer kaisi Hum or tum nahin hai yeh sehr ke logon Hum kya hamari taqdeer kaisi Neend  nahin khwaab nahin kaboos hi kaboos Khwabon ki phir hogi tabeer kaisi Khayal e khaam m...

Listen to the Dastan -e- zindagi podcast in Replaio

Radio and podcasts in one app - free, with no sign-up. Install today and do not miss the launch

Get it on Google Play

Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.