Fever Stories
Storiyaan
Storiyaan by Rangeeli Ruchi, एक विशेष show है जहाँ आपके लिए अनसुनी, अनकही और अनसुलझी रोचक कहानियों को उजागर किया जाता है। इस शो में, रुचि उन कहानियों को साझा करती हैं जो आपने शायद ही कभी सुनी होंगी, और जो आपके दिल और दिमाग को छू जाएंगी। Ramayana, Mahabharat, और अन्य प्राचीन ग्रंथों से जुड़ी रहस्यमयी और प्रेरणादायक कहानियाँ, ऐतिहासिक घटनाओं के पीछे छिपे सत्य, और लोककथाओं के अद्वितीय पात्रों की कहानियाँ इस शो का हिस्सा बनती हैं। अगर आप पौराणिक कथाओं, इतिहास और लोककथाओं में रुचि रखते हैं, तो "स्टोरियाँ - बाय रंगीली रुचि" आपके लिए एक आदर्श शो है। जुड़ें हमारे साथ हर मंगलवार और जानें उन कहानियों को...
Author
Fever Stories
Category
Podcast website
Latest episode
Dec 30, 2025
Where to listen?
Podcasts in the app Replaio Radio Coming soonPodcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts
Episodes
Legend Banney Ka Shuruaat: Young Rafi Story | Mohammed Rafi Birthday Special #RememberingWithLove 30.12.2025 4:25
1937 Lahore. Sirf 13 saal ke Mohammed Rafi… aur ek pal jisne unki zindagi badal di. King George VI ke coronation celebration ke liye jab KL Saigal Lahore aaye, show ke beech achanak power cut ho gaya stage band, mic band, sab panic! Tab organizers ne chhote Rafi ko stage par bulaya taaki crowd ko handle kiya ja sake. Aur jaise hi Rafi ne gaana shuru kiya… sab chup ho gaye. KL Saigal ne unki awaaz...
Mohammad Rafi: The Voice of India | Mohammad Rafi Birthday Special #RafiKiYaadein #indianmusic 29.12.2025 4:12
Kya aapko pata hai ki India ka pehla Republic Day celebration ek ya do din nahi, balki poore 7 din tak chala tha? Is video mein suniye Rangeeli Ruchi se ek bahut hi dilchasp kissa jo hai legendary singer Mohammad Rafi aur Prime Minister Pandit Jawaharlal Nehru ke baare mein. Is episode mein hum share kar rahe hain do aise rare kisse jo aapne shayad hi sune honge: Jab Nehru Ji ne Rafi Sahab ko audi...
Salman Khan Birthday Special — Duplicate Bhai Behind Bars! #DuplicateSalman #BollywoodStories 27.12.2025 5:08
Ye story Salman Khan ke scam ki nahi balki uske duplicate ke scam ki hai. Rajasthan ke ek aadmi ne Salman Khan jaisa hairstyle, body aur bracelet banaya… aur chhote shehron mein logon ko bewakoof bana kar paise lootne laga. Film auditions ke naam par 25–50 hazaar rupaye, photoshoots ke charges, aur logon ke sapnon ka fayda. Ek businessman ne toh apni beti ka rishta tak tay kar diya! Lekin ek fan e...
Bernie – A Christmas Story | Finding Bernie’s Magic | Fever Stories #christmasspecialepisode 25.12.2025 7:07
Is Christmas story mein milte hain Bernie the Reindeer, jo Santa Claus ke saath North Pole mein rehta hai. Bernie har kaam try karta hai sleigh pull karna, toys banana, kitchen mein help karna, hatta ki school mein padhana but kahin bhi fit nahi hota. Dheere-dheere Bernie ko lagne lagta hai ki shayad woh kisi cheez mein acha hi nahi hai. Par Santa Claus aur Mrs. Claus usse ek aisa kaam dete hain j...
Mohammed Rafi Birthday Special: The Royalty Fight Story #RoyaltyFight #bollywoodhistory 24.12.2025 6:02
1960s mein shuru hui ek aisi ladai jisne poori Indian music industry ko badal diya — Lata Mangeshkar aur Mohammed Rafi ke beech royalty ko lekar cold war. Jab concerts aur stage shows badh rahe the, sab log royalty kama rahe the… lekin singers ko sirf ek hi fees milti thi. Lata ji ne kaha: “Singer bhi artist hai — hume bhi royalty milni chahiye.” Rafi sahab is baat se agree nahi hue, aur saalon ta...
Paise Nahi… Par Zameer Tha — Rafi Sahab’s Untold Story | Mohammed Rafi Birthday Special 24.12.2025 4:43
Mohammed Rafi sirf ek legendary singer nahi, balki ek misaal the… Iss kahaani mein jaaniye kaise unki self-respect, hard work aur sachchi lagan ne unhe banaya sabka favourite. Naushad ji ke saath recording ke dauran hua ek chhota sa kissa… Jo batata hai asli success sirf talent se nahi, insaaniyat aur imandari se milti hai. Agar aapko ye story pasand aaye, LIKE karein, COMMENT karein aur CHANNEL k...
The Lesson of the Black Dot | Children's Day Special | Childhood Memories 14.11.2025 5:29
Iss Children’s Day par laaye hain ek simple par bohot powerful kahani “The Black Dot Story.” Ek classroom scene jahan teacher bachchon ko ek blank white paper deti hai, jisme sirf ek chhota sa black dot hota hai. Saare bachche sirf usi black dot ke baare mein likhte hain… aur wahi se shuru hoti hai life ki ek important learning. Yeh story humein yaad dilati hai ki zindagi mein bohot saari khushiya...
Usha Uthup & Jani Chacko Ki Love Story | Birthday Special | Unheard Bollywood Romance 07.11.2025 6:58
Aaj ki Storiyaan episode ekdum hatke hai 💫Roz hum sunate hain aapko mythological ya motivational stories,lekin iss baar ek real-life love story jo dil ko choo jaaye Yeh kahani hai Usha Uthup ji aur unke husband Jani Chacko ki ek aisi love story jismein tha music, emotions, honesty aur ek alag hi jazba. Kolkata ke stage par hui ek mulaqat ne badal di unke zindagi ki direction. Usha ji pehli baar m...
Kubera Ki Tapasya Aur Dhan Ka Vardaan ! | Fever Stories | Audio Drama | Diwali Special 24.10.2025 4:08
Aaj ki kahani hai Ravan ke step-brother Kubera ki, jo dhan ke devta ke roop mein jane jaate hain. Aap jaante hain ki Ravan ke pita Vishrava aur maa Kaikasi thi, lekin Vishrava ki dusri patni se Kubera ka janm hua. Kubera ne kathin tapasya ki aur bhagwanon se vardaan paaya ki duniya ka northern part aur saari dhan-sampatti unke liye hogi. Isi wajah se Lanka, jo aaj bhi golden city ke naam se famous...
Bhai Dooj Ki Shuruaat Kisne Ki ? | Fever Stories | Mythological Audio Drama #diwalispecial 23.10.2025 3:36
Bhai Dooj sirf ek tyohaar nahi, bhai-behen ke pyaar, saath aur emotional support ka ek sundar ehsaas hai. Bahut log Yamraj aur Yamuna wali kahani jaante hain, lekin Bhai Dooj se judi ek aur pyaari kahani hai Bhagwan Shri Krishna aur unki behen Subhadra ki. Kehte hain ki Narakasur ko maarne ke baad jab Shri Krishna thak gaye the, to Subhadra ne unka tilak karke unhe pyaar aur sahara diya. Unhone ka...
Bhai Dooj Kyu Manaya Jata Hai? – Yamraj & Yamuna Ki Kahani 23.10.2025 4:12
Diwali ke agle din bhai - behen ke pyaar ka tyohaar manaya jata hai. Kehte hain ki isi din Yamraj, jo ki Mrityu ke Devta hain, apni behen Yamuna se milne gaye the. Behen ke pyaar se prabhavit hoke unhone vardaan diya ki jo bhai is din apni behen ke haath se tilak karega, woh lambi umar aur khushiyon se bhara rahega. ❤️ Is episode mein hum suna rahe hain Bhai Dooj / Bhaiya Dooj / Yama Dwitiya ki ka...
Govardhan Parvat Ki Kahani | Hanuman, Lord Ram & Krishna | Mythology Stories | Fever Stories#diwali 22.10.2025 4:05
Aaj ki story hai Govardhan Parvat ke baare mein aur kaise yeh mountain Hanuman, Lord Ram aur Lord Krishna se juda hua hai! 🌄✨ Kya aap jaante ho ki wahi mountain jo Hanuman ne Ram Setu banane ke liye uthaya tha, wahi Lord Krishna ne Braj ke logon ko Indra ki barsaat se bachane ke liye uthaya tha? Ye kahani le jaati hai humein Treta Yuga se Dwapar Yuga tak, aur dikhaati hai kaise Hanuman aur Krish...
Diwali Special: Lakshman Aur Urmila Ka Prem Aur Tyag 21.10.2025 8:09
Jab Bhagwan Ram aur Maa Sita vanvaas gaye, tab Lakshman ne bhi unke saath jungle ka rasta chuna. Lekin kya aapne kabhi socha unki patni Urmila kyun nahi gayi? Aur Lakshman 14 saal tak bina neend ke kaise rahe? 😯 Yeh kahani hai ek atyant tyag aur prem ki, jahan Urmila ne apni neend ka hissa Lakshman ko de diya taaki woh apne bhai aur bhabhi ki raksha kar sake. Iss Diwali, suno yeh kahani jo batati...
Ganpati Bappa Ne Kaise Sulah Karai Maa Lakshmi aur Maa Saraswati Ke Beech | Diwali Special 20.10.2025 4:05
Aaj ki kahani hai Maa Lakshmi aur Maa Saraswati ke beech hui anban ke upar aur kaise Ganpati Bappa ne dono ke beech sulah karai. Satyug me mana jata tha ki Maa Lakshmi aur Maa Saraswati ek dusre ko pasand nahi karte the jiske karan log ya to dhan ke malik hote the lekin shanti nahi paate, ya gyaan aur shanti hote the lekin dhan nahi milta tha. Ganpati Bappa ne peace agent ban kar dono devi maon ke...
Kyun Manai Jati Hai Laxmi PUJA ! | Diwali Special 20.10.2025 5:11
Aaj ki kahani hai Laxmi Pooja se judi hui! Kya aap jaante hain ki Maa Laxmi aur Bhagwan Vishnu ek baar dharti par aaye the? Zameen ke saundarya aur vasnaon ke beech, Maa Laxmi ne apne aap ko kaise sambhala aur kis tarah unhone ek kisan ki zindagi ko dhan aur samriddhi se bhar diya, ye hi hai is kahani ka mool raaz. Har saal hum ghar ke darwaze kholte hain, saaf-safai karte hain aur Maa Laxmi ko kh...
Shurpanakha Ka Badla | Diwali Special 19.10.2025 3:47
Ramayan ko har koi apne nazariye se dekhta hai koi kehta hai yeh Lord Ram aur Sita ki kahani hai, koi kehta hai Ravana ka uddhar, toh koi kehta hai Hanuman ki wafadari ya Lakshman ka balidaan. Lekin kya aap jaante hain ek version kehta hai Ramayan Shurpanakha ki kahani bhi hai? Is episode mein jaante hain kaise Shurpanakha ne apne pati Vidyut Jeeva ke maut ka badla lene ke liye Ram, Sita aur Laksh...
Kumbhkaran 6 Mahine Tak Kyun Sota Tha? | Diwali Special 18.10.2025 5:01
Kabhi socha hai Kumbhkaran 6 mahine tak sota kyun tha? Sirf shraap nahi, iske peeche ek mythological aur ek psychological reason bhi hai! Storia by Rangili Ruchi ke is episode mein jaante hain kaise Indradev ke darr ne di Kumbhkaran ko “Nidrasan” ki vardaan, aur kaise real life mein bhi ek rare condition hoti hai Klein-Levin Syndrome, jisme log dinon tak soye rehte hain. Suno aur jaano aur bhi int...
Jab Manmohan Desai Ne Amitabh Ko Diya Ek Special Gift! | Birthday Special 11.10.2025 6:12
Amitabh Bachchan ke birthday par suniye ek aur iconic kahani — unki pehli vanity van ke peeche ki real story! Kya aapko pata hai Amit ji Bollywood ke first actors mein se the jinke paas apni khud ki vanity van thi? Lekin unhone wo khud nahi khareedi thi! Ye sab shuru hua jab director Manmohan Desai ko back pain hua karta tha, aur unhone ek chhoti si rest van banwayi thi. Par jab unhe laga ke apne...
Amitabh Bachchan Ki Sabse Pasandida Co-Star! | Birthday Special 11.10.2025 5:59
Amitabh Bachchan ke birthday par suniye ek dil chhoo lene wali kahani Amit ji aur unki favourite co-star, Waheeda Rehman ji ke beech ke kuch ankahe pal. Kya aapko pata hai, Reshma Aur Shera ke shoot ke dauran Amit ji Waheeda ji ke itne bade fan the ki unhone garam reg par unke liye khud daud lagayi thi? 👣 Aur phir aaya ek scene — jahan Waheeda ji ko Amit ji ko thappad maarna tha… set par maujood...
Gandhi Jayanti 2025 | Mahatma Gandhi Story in Hindi | 2nd October 02.10.2025 5:03
✨ Ek sharmile bachche ka safar jo bana duniya ka sabse bada neta – Mahatma Gandhi! ✨ Iss podcast episode mein, Radio Nasha presents Storia by Rangeeli Ruchi, hum lekar aaye hain ek kahani Gandhi ji ke bachpan aur unke jeevan ke ek anmol kisse ki. Jab Gandhi ji South Africa mein the, unhone ek ashram aur ek chhota school shuru kiya – jahan se unke ideas aur unki ideology duniya tak pahunche. Aap...
Gandhi Jayanti 2025 Special | 2nd October | Bapu Story in Hindi 02.10.2025 4:52
✨ Ek sharmile bachche ka safar, jo duniya ke sabse bade netaon mein se ek ban gaya! ✨ Iss podcast episode mein hum baat karenge Mohan Das Karam Chand Gandhi – yaani Mahatma Gandhi ke bachpan se lekar unke jeevan ke ek anokhe kisse tak. Kaise ek sharmila ladka apni soch aur himmat se ek poori fauj ko hila gaya, aur kaise unhone hamesha apne mann ko shant aur majboot banaya, yeh kahani aapko inspi...
Faqir Muhammad Ki Kahani Jo Aaj Bhi Dil Ko Choo Jayegi I EID Mubarak 16.09.2025 5:45
✨ Aaj ki story ek simple insaan, uske oont aur Faqir Muhammad ke beech ki ghatna par hai. Ek gaon se doosre gaon jaate waqt us aadmi ne apna oont bechne ka faisla liya… par jo hua uske baad, woh sirf ek kahani nahi balki ek test tha imaan, sachchai aur wafadari ka. Is kahani se humein yeh seekhne ko milta hai ki agar duniya aapke against ho bhi jaye, par agar aapke dil mein sachchai hai, toh ek d...
Eid-e-Milad Special: Faqir Muhammad ki Daya 16.09.2025 5:04
Kya aapne kabhi socha hai ki ek chhoti si cheez bhi dil ko kitna choo sakti hai? Aaj ki story hai Prophet Muhammad ke baare mein – ek aisi kahani jo unki daya aur insaaniyat ko aur gehraai se samjhati hai. Is kahani mein ek gareeb aadmi apne bagiche ke angur Paigambar ko tohfe mein deta hai. Angur khatte the, lekin Paigambar ne apne saathiyon ke saath na baatkar khud hi unhe khaya – sirf isliye ta...
Ek Teacher ke Jhooth Ne Badal Di Student Ki Zindagi | Teachers’ Day Celebration 10.09.2025 7:36
Teachers’ Day par ek aisi kahani jo aapko yaad dilayegi – ek teacher sirf padhaata nahi, zindagi badalta hai. s kahani mein hum milte hain Mrs. Thomson se, ek teacher jo apne class ke sab bachchon ko equally pyaar karne ka jhooth bol deti hain. Unki zindagi tab badal jaati hai jab woh Teddy naam ke ek chhote bacche ka dukh aur uski kahani samajhti hain. Teddy ki maa ki death, uska akelapan aur usk...
Ganpati Bappa का आशीर्वाद क्यों जरूरी?| Mythology podcast | Hindi Storytelling #storiyaan #viral 08.09.2025 4:06
भगवान शिव और गणेश जी की अनगिनत कथाएँ हैं, लेकिन यह कहानी उनके रिश्ते और एक बड़ी सीख को उजागर करती है। कहा जाता है कि किसी भी नए कार्य, आरंभ या पूजन से पहले गणेश जी की वंदना करनी चाहिए। एक बार भगवान शिव युद्ध पर निकल गए और जल्दी में गणपति बप्पा का पूजन करना भूल गए। परिणामस्वरूप, उनकी सेना को कई रुकावटों का सामना करना पड़ा। रथ के पहिये टूट गए, सैनिक परेशान हो गए और मार्ग में बाधाएँ आने लगीं। तभी शिव...
Similar podcasts
Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.