Joy G
DIL Meri Jaan with Joy G
Dil Meri Jaan is a unique Hindi podcast show sprinkled with Shero-Shayari, Geet, Ghazals, Nazms, Poetry, and Stories that delve into the intriguing world of human relationships, romance, and any matter of the Heart! The show takes the help of renowned Shayars, Lyricists, Poets, Storytellers, and Philosophers to understand various facets of love and relationships. I earnestly hope that this podcast will give you an interesting perspective and will help you see relationships, love, and romance in a new light! Happy Listening!!
Where to listen?
Podcasts in the app Replaio Radio Coming soonPodcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts
Episodes
Vada- ek lakshman rekha? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #26 10.04.2024 12:05
ग़ज़ब किया, तेरे वादे पे ऐतबार किया तमाम रात क़यामत का इन्तज़ार किया -दाग़ देहलवी Vadon se judhi aisi hi expectations hi Vadon ko humare zindaggi ka ek aham hissa bante hain. Aur isiliye humein Vaadon ke baare mein baatein karni chahiye. Vadon ko achchi tarah se samajhna chahiye. Aaiye is episode mein Vadon ki duniya ka rukh karte hain. Agar aapko yeh episode pasand aaya ho to aap please isey like...
Dard- ek dost ya dushman? I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #25 03.04.2024 15:07
बे-नाम सा ये दर्द ठहर क्यूं नहीं जाता जो बीत गया है वो गुज़र क्यूं नहीं जाता Kya aap bhi Nida Fazli ji ki is sher ki tarah hi dard ke guzarne ka intezaar kar rahe hain? Kya aap dard se baatchit karte hain? Kya aapne dard ko mehsoos karne ki koshish ki hai kabhi? Aaiye is episode mein dard ko thoda nazdeek se janne ki koshish karte hain. Agar aapko yeh episode pasand aaya ho to aap please isey like...
Rang- bhari duniya I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #24 27.03.2024 13:20
Rang. Saans leta hua har rang nazar aaega tum kisi roz mere rang mein aao to sahi Aaiye Aziz Nabeel ji ke is sher ki hi tarah rangon ko saans lete huye dekhte hain. Rangon ki duniya mein chalte hain. Jaante hain rangon ki ahmiyat humari duniya mein. Thoda sa waqt in rangon ke saath bitate hain. Agar aapko yeh episode pasand aaya ho to aap please isey like, rate aur share kar lijiyga aur channel...
Sapne- ek duniya ummeend bhari I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #23 20.03.2024 15:42
Sapne. सपना रे सपना, है कोई अपना अंखियों में आ भर जा अंखियों की डिबिया, भर दे रे निंदिया जादू से जादू कर जा - Gulzar Aaiye sapne ki duniya mein chalte hain aur jaante hain kyun yeh jadui duniya humare liye itna zaroori hai. Jaante hai inki kya ahmihyat hai humari zindagi mein. Agar aapko yeh episode pasand aaya ho to aap please isey like, rate aur share kar lijiyga aur channel ko follow aur subscr...
Ummeed- ek aasra I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #22 13.03.2024 13:31
Ummeed. Ummmedon ka haath thamey main rihston se milne chal padha apne roothe muqaddar se main ladhne chal padha main jaanta hoon safar lamba hai aur chunautiyaan kai main aasha ki ek dipak liye hawaon ka rukh modhne chal padha Main jab ummeed par soch raha tha toh shabdh kuch yun ban padhe. Kya aap bhi ummeed mein vishwaas rakhte hain? Kya aap bhi rishton se ummeedein rakhte hain? Aaiye is khaa...
Imtehan- zindagi ke I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #21 06.03.2024 13:07
Imtehan. ज़िंदगी इक इम्तिहां है इम्तिहां का डर नहीं हम अंधेरों से गुज़र कर रौशनी कहलाएंगे Kya aap bhi imtehan se darte hain? Kya har imttehan mein awval aana zaroori hai? Kya imtehan ke numberon se khudko aur auron ko judge karna sahi hai? Aaiye is episode mein imtehan ki pariksha lete hain? Imtehan ko thoda nazdeek se samajhte hain. Agar aapko yeh episode pasand aaya ho to aap please isey like,...
Aaina- ek sachcha dost I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #20 28.02.2024 14:59
Aaina. Aaina dekh kar tasalli hui Humko is ghar mein jaantaa hai koi Kya Gulzar saab ki tarah aapko bhi lagta hai aap apne aks ko pehchante hain, usey acchi tarah se samajhte hain? Ya fir aapki aapke aks se baatein hi nahi hoti? Kya aapko self-reflection ke liye waqt milta hai? Kya self reflect kana zaroori hai? Aaiye, is episode mein hum, Aaina aur humare beech ke rishte ko zara kareeb se jaante...
Lamha- zindagi bhara I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #19 21.02.2024 16:48
Lamha. Ek lamha hai tera , ek lamha hai mera In lamhon ki jaydaad ke siwa Na kuch tere paas na kuch mere paas Kya waqt aur lamha ek hi hain? Lamhon ki kya ahmiyat hai? Kya hum lamhon mein jee sakte hain? Kyaa aap lamhon mein jeete hain? Aaiye is episode mein lamhon ke bare mein baatchit karte hain. Jaante hain lamhon ko thoda kareeb se. Agar aapko yeh episode pasand aaya ho to aap please isey like...
Ishq-wala Love I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #18 14.02.2024 14:40
Ishq-wala Love. Kya aap bhi mante hain ki Pyaar, Mohabbat aur Ishq ek hain. Kya aap bhi inko interchange karke use karte hain? Agar aisa hain toh yeh episode aapke liye. Aaiye jaante hain in teen behad hi khoobsoorat jazbaaton ke baarein mein. Is podcast episode mein, aaiye, chalet hain LOVE ki duniya mein. Aaiye is Valentine’s Day par ISHQ ki aur badhte hain. Agar aapko yeh episode pasand aaya ho...
Sawaal- zaroori hai I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #17 07.02.2024 14:08
Sawaal. Kya kabhi aapke saath aisa hua hai ki aapke zehen mein koi sawaal aaya ho magar aap pooch na paaye hon? Kisi jhijhak ki wajah se ya darr ki wajah se ya fir jawaab ke darr ki wajah se! Kya aap waqt nikaalte hain apne aap se sawaal karne ke liye? Zindagi kaisi chal rahi hai? kis disha mein jaa rahi hai? Kya aap khush hain? Sawaal rishton ke liye zaroori hotein hain magar hum sawaal karne se...
Akelapan- ek daastaan I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #16 31.01.2024 18:00
Akelapan. Kabhi jab khudko akela paata hoon ab darta nahi main par thahar sa jaata hoon Jab Chaand bhi akela hai Suraj akela main kyun kisi aur ko yunhi talashtaa hoon? Akelepan ki bhi apni ek daastaan hoti hai. Zindagi mein, rishton mein hum kabhi na kabhi khudko akela paate hain aur woh samay bahut hi nazuk hota hai. Akelepan ka hum kaise saamna karte hai uske upar humari zindagi nirbhar karti...
Darr- ek unchaha ehsaas I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #15 24.01.2024 22:07
Darr. Dar ham ko bhi lagta hai raste ke sannate se lekin ek safar par ai dil ab jaana to hoga Doston, darr woh ehsaas hai jo hum sabhi mein rehta hai. Shayad yeh humare insaan hone ka ek sabot bhi hai. Magar zindagi mein kuch bhi achcha hasil karne ke liye yeh bahut zaroori hai ki hum darr par kaabu paa sakein, darr ko hara sakein, khaaskar jab hum rishton ki baatein karte hain. Magar problem ye...
Koshish- kya aapne ki hai? I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #14 17.01.2024 15:44
Koshish. लहरों से डर कर नौका पार नहीं होती कोशिश करने वालों की हार नहीं होती Sohan Lal Dwivedi ji ki yeh inspring kavita humein prerit karti hai humesha koshish karte rehne ke liye. Fir chahe zindagi ki koi manzil ho ya fir humare rishte. Yeh koshishein hi hai jo humein kamyaab banati hain. Manzil tak pahuchati bhi hai aur rishton ko bhi sanwartein hain. Rishton ko banane ke liye, unhe nibhane ke...
Sardiyaan- ek anokha mausam I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #13 10.01.2024 12:31
Sardiyaan. Garmi lagi toh ḳhud se alag ho ke so gae sardi lagi toh ḳhud ko dobara pahan liya Bedil Haidri ji ke is sher ki tarah hi hota hai Sardiyon ka yeh mausam. Kabhi sukoon deta hai toh kabhi dard. Kabhi auron se duur le jaata hai yeh mausam toh kabhi auron ke behad kareeb. Kya aapko pasand hai sardiyaan? Kya sardiyon mein aapke rishte badalte hain? Kya chai aapko aaur bhi acchi lagne lagti h...
Naya Saal- ek nai shuruaat I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #12 03.01.2024 13:26
Naya Saal. Naya saal ho khushiyon se bhara Naya saal sapno se saja Naye saal mein hum, Geet gayein hardum Naya saal mein khushiyaan zyada gham ho thore kam Doston yeh geet maine likha tha naye saal ke mizaaz ko bayan karne ke liye. Naye saal mein hum sabhi ek nai shuruaat ki aas liye aane waale 365 dino ki aur badhi hi ummend ke saath dekhtein hain. Guzre huye saal se zindagi ko, rishton ko behtar...
December- ek anokha mahina I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #11 27.12.2023 13:48
December. दिसंबर के आख़िरी दिनों में छत पर फैली धूप को पकड़ने की कोशिश में थोड़ी स्याही बर्बाद हुई Amey Kant ji ki hi tarah maine December ke mahine ko samajhne ki thora sa janne ki koshish ki hai is podcast episode mein. Saal ka woh manzar jismein beete huye dino ki khushboo bhi hai aur aane wale dino ki betaabi bhi. Jismein dard hai, maayosi hai aur saath mein hain ummend, ek aasha ki naya saal...
Shaam- ek khaas ehsaas I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi 20.12.2023 8:53
Shaam. Woh ek shaam le hi aai yaad teri Main jissey bhaagta raha har din aur har raat Doston, kuch alag hi baat hoti hain na shaam ki? Din ki thakaan ke baad, aur raat ki udaasi se pehle, woh shaam ek aisa ehsaas chor jaati hai jisey bhula pana shayad sambhav hi nahi. Rishton ki bhini khusboo liye us shaam ke zaike ko aur bhi badha deti hai ek chai ki pyaali aur kuch bhoole bisre geet. Chaliye...
Shikayat- rishton ka imtihaan I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi 13.12.2023 19:22
Shikayat. Tere bina zindagi se koi shikwa toh nahi, shikwa nahi Tere bina zindagi bhi lekin zindagi toh nahi Doston, Gulzar saab ki zindagi se yeh shikayat is baat ka sabot hai ki shikyatein rishton ka woh makaam hai jisko hum andekha nahi kar saktein hain. Agar theek se inka saamna kiya jaye toh yeh rishton ko mazboot bana saktein aur agar inko nazarandaaz kar diya jaye, inhe avoid kiya jaye ya...
Khamoshi- zubaan dil ki I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi 06.12.2023 16:16
Khamoshi Hum labon se keh na paye unse haal-e-dil kabhi Aur woh samjhe nahi yeh khamoshi kya cheez hai Doston, Nida Fazli ji ke is sher se yeh tay ho hi jaata hai ki Khamoshi ki zubaan jitni zaroori hai usey samajh paana utna hi mushkil. Kya hai yeh khomoshi? kya hai iski ahmiyat? kyun isey samajhna zaroori hai? Chaliye jaante hain is episode mein khamoshi ke baarein mein. Doston, agar aapko yeh...
Intezaar- dil ki mehfil I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi 29.11.2023 13:44
Intezaar किसी नज़र को तेरा इंतज़ार आज भी है कहाँ हो तुम के ये दिल बेक़रार आज भी है वो वादियाँ वो फ़ज़ायें के हम मिले थे जहाँ मेरी वफ़ा का वहीं पर मज़ार आज भी है Hasan Kamaal ji ne jab is ghazal se intezaar ko bayan kiya tha toh sab ka dil chu liye tha is ghazal ne. Dil ki beqarari ko badhata hai intezaar toh yadaaon ki mehfil sajakar sukoon dhoondhne nikal padhta hai intezaar. Kyun karta hai dil intez...
Khwaishein- rishton ki zaroorat I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi 22.11.2023 11:17
Khwahishein Hazaaron khwahishein aisi ki har khwahish pe dam nikle bahut nikle mire armaan lekin phir bhi kam nikle. Mirza Galib ji ki maane toh khwahishein humare rishton ki lifeline hotein hain. Yeh khwaishein hi hain jo rishton mein jaan dalti hain. Bina khwaishon ke rishton mein koi jaan hi nahi hoti. Rishton mein ummend jagati hai khwaishen aur unke poore hone ki khushi hi rishton ko pyaar...
Maa- sabse haseen rishta I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi 15.11.2023 15:25
Maa. Mother. Abraham Lincoln ne kaha tha “All that I am, or ever hope to be, I owe to my angel mother”. Aur mujhe lagta hai ki yeh baat hum sabhi par kich hadh tak ya kaafi hadh tak lagoo hoti hai. Maa ka rishta hota hi hai itna pyaara. Doston, is episode mein hum Maa ke baarein mein kuch baatein karengey, is rishte ki gehrai ko thoda janengey aur uss dard ko bhi samajhne ki koshish karenge jo ma...
Baatchit- dil se dil tak I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi 08.11.2023 12:39
Baatchit Kabhi aapne kisi rishte ko waqt ke aagey majboor hote dekha hai? Jahan do insaan waqt ki saazish ka shikaar ho jatein hain aur ek rishta dheere dheere dum tod deta hai? Kya aapke jaanney walon ke saath aisa hua hai? Hum sabhi ke saath hota hai shayad. Waqt ke is chaal se kaise bacha jaye? Kaise rishton ko bachaya jaye? Kaise galfatmiyon ko kisi rishte ka khoon karne se roka jaye? Chaliy...
Dosti- ek khaas rishta I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi 01.11.2023 13:30
Dosti Friends TV show ke mashoor kirdar Matthew Perry ab humare beech nahi rahe. Friends TV show mein Chandler Bing ka kirdar nibane ke liye poore vishv mein mashoor theye Matthew Perry. Unki aur Joey ki dosti ek misaal jaisi thi. Aur is episode mein is khoobsurat rishte Dosti ke baarein mein thodi baatchit karenge. Chandler aur Joeuy jaisi dosti kaisi hoti hai, kyun banti hai thoda nazdeek se j...
Yaadein- rishte ka humsafar I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi 25.10.2023 9:10
Yaadein Yeh humari yaadein hi hain jo saye ki tarah humare saath reh jaatein hain. Isi liye shayad zaroori hai ki hum aachi yaadein banaye. Humein woh har koshish karni chahiye jissey ki hum zindagi ko is tarah se jiyein, rishton ko is tarah se nibhayein ki hum acchi yaadein bana sakein. Baad mein yahi humare humsafar bankar reh jaatein hain. Aaiye thoda yaadon ko tavajjo detein hain, yaadon par k...
Similar podcasts
Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.