Dr. Rajnish Kaushik

DHADKANE MERI SUN

Society HI ↓ 169 episodes

Self composed various aspects of love, various feelings, sensations and colors of love with enchanting and melodious words of Hindi and Urdu language have been presented in a very poetic manner in every episode of this podcast . All the episodes of this podcast are solemnly dedicated to all the lovers just as the cycle of love never ends in the same way these love lyrics episode will move on, move on and move...

Be sure to visit the podcast's website and support the creator: sites.libsyn.com

Author

Dr. Rajnish Kaushik

Category

Society

Podcast website

sites.libsyn.com

Latest episode

Nov 12, 2026

Where to listen?

Podcasts in the app Replaio Radio Coming soon

Podcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts

Get it on Google Play Install for free Android 10M+ downloads · 4.7+ rating iOS soon

Episodes

YE...ISHQ MOHABBAT PYAAR WAFA 30.09.2021

Prem ki anubhooti aur uski abhivaykti prem ka nirvaha aur uska pravaha kaisa hona chahiye -kanha se behtar kaun jaan sakta hai-kanha se behtar kaun sikha sakta hain agar aapko kisi se mohabbat hai to radha krishan ke jaisi honi chahiye shree Krishan kahte hain ki... jinka milan nishchit hai niyati unhe kisi na kisi roop me mila hi deti hai.

JO... BAAHON ME AAYA SUNAHRA BADAN 24.09.2021

Vo raat jo gahri thi khwaabon me guzar gayi neend tooti to kahin na mili idhar-udhar dekha har taraf nazar gayi Vo raat jo gahri thi khwaabon me guzar gayi vo sang dil sanam meri rooh ka hissa bana vo sang dil sanam meri zindagi ka kissa bana choo liya aasman uske ishq me maine haqiqat me na sahi khwaabon me hi sahi jo baahon me aaya sunahra badan uska jo thahar gayi thi kahin vo zindagi sawanr ga...

ZINDAGI...EK ZAALIM SE TAKRA GAYI 16.09.2021

Beintehan mohabbat-fir bhi gile shikwe kya yahi dastoor hai mohabbat ka. duaaon me wafaaon ke marham fir bhi zakhmo ke tohfe-kya yahi dastoor hai mohabbat ka. mere pyaar ki bepanahi se khushiyon ki daulat sukhon ki gathri sab kuch to haasil tha usko fir bhi-ishq mera bazaroo-kya yahi dastoor hai mohabbat ka. zamane ki hawaayen kehti hai-haa-yahi dastoor hai mohabbat ka-yahi dastoor hai.

SHEESHA HO YA DIL... 09.09.2021

Sheesa tha mai sheeshe jaisa dil tha mera bilkul saaf, fitrat se ekdum sachcha,fir bhi jhuthla diya gaya,tod diya gaya,fek diya gaya,bikhar gaya mai,kyoki sheesha tha mai...sheesa tha mai isilye to kahte hain... sheesha ho ya dil...aakhir toot hi jata hai

MUJHE ISHQ...THA...TUJHI SE MUJHE ISHQ...HAI....TUJHI SE 02.09.2021

Koi hota hai zindagi me...koi hota hai aapke samooche astitav me... rat hoti nahi ki aankho me utar aata hai...ye vahi shakhas hota hai jiske saath guzare kuch hi ratzagon ne sadiyon tak ke liye haseen ahsas saja ke rakh diye gaye hote hai , jinki khushbuon se mahki bistar ki silvaten kabhi simatana hi nahi chahti...

MAI...MERI ZINDAGI AUR VO 26.08.2021

Ret ka vo ghar...mohabbat naam tha jiska jise roshan hona tha usi se bikhar gaya waqt ki aandhiyon me jeevan bhi zarra - zarra ho gaya tabhi se kabhi aao to dhekho meri faili baahon ko ye tarasti hai aaj bhi tumhari panahon ko aur kahti rahti hai..... MUJHE ISHQ THA TUJHI SE MUJHE ISHQ HAI TUJHI SE MUJHE ISHQ HAI TUJHI SE......

TALAB...DO BOOND ISHQ KI 19.08.2021

Laut aao ...agar ho sake to laut aao...aaj bhi... itne zamane gujar jaane ke baad bhi tumhare laut aane ki ummeed ko maine seene se laga rakha hai...tabhi se jab se ham bichude hain...mujhe ummeed hai tum jaroor aaogi...is dunia se bagavat aur mujhse meri ho jaane ka jo vaada tume kiya tha use jaroor nibhaogi...yakeen hai mujhe ...isliye laut aao... mai tumhe apni dhadkane sunana chahta hoon...tum...

FARZ... JAB MOHABBAT BAN JATA HAI 12.08.2021

Jab - jab haqiqat ki zameen pr apni sarthak soch ke sath aage badhogi mere farz ke nishano ko apne zahan se mita nahi paaogi....aur jab - jab tum iss vishay me sochogi...tab - tab meri vo mohabbat ...jo farz ada karte karte ...yoon hi tumse ho gayi thi... apni usi soch ki yaadon se bhula na sakogi... farz kabhi pratikaar nahi mangta...kam se kam mohabbat to bilkul bhi nahi...vo to bas ho jati hai....

DHADKTE DIL SE SHARARAT KARO NA... 05.08.2021

Jis taraha se hr kisi ki jindagi me kuchh log bahut khaas hoten hain...itne khaas ki dil ko kabhi yakeen hi nahi hota ki vo ab hamari jindagi me nahi hai... ....kabhi yakeen hi nahi hota ki jiski kinhi shararton ne roohani ishq ka ahsaas karaya ho...usi ki ek backani shararat ek galat andazi majboor kr de uski jindagi se nikal jane ke liye .....Gahre rishte me chhipi gahri mohabbat.....Behad aur b...

HUSAN KI BAARISHON ME (Saavan special episode) 29.07.2021

Agar...tum bhi yahan hoti to vo dil jo tumhare dil me rahta hai tumhari baahon me hota..... Agar...sawan ki in rangeen fizaaon me tum bhi shamil hoti to vo ahsas jo hamare ateet ka hissa hai vo hamare aaj ka kissa hote... jis taraha mai tumhari soch me doob kr baarish ki boondo ko piyar ki boonde samajh kr mahsoos kr raha hoo... Agar...meri soch ki hi taraha tum bhi mere seene me simat gayi hoti t...

Dear Masoom...Ek chiththi piyar ki 23.07.2021

My dear Masoom... kaisi ho ...kaisi ho tum.. Kiya tumhe yaad hain milan ke vo pal,vo din ,vo shaame aur vo raaten...ya bhool chuki ho - vaise mujhe to pahle se hi ehsaas tha ki tum ek din mujhe chhod hi dogi ...aur fhir ek din aakhirkar tumne chhod hi diya aur ab bhool bhi gai ho......magar nahi gai tum mere dil se ,meri yaadon se ,mere zahan se ...magar rah jane jaisa kuchh chhoda bhi to nahi tum...

KACHCHI DORION SE BANDHA...VO PAKKA RISHTA 15.07.2021

Mana ki piyar ke rishte ki dor kachchi hi hoti hai,magar uski gahrai sagar se kahin adhik hoti hai aur unchai to itni ki himalaya bhi bauna nazar aata hai,aur sachchai itni ki man ka paimana hi use map sakta hai, isilie vahi man uske tootne ya usko bhoolne ke lie kabhi razi nahi hota... ...vo rishta ...jo door rah kr bhi apna sa - majboot sa mahsoos hota hai kabhi kabhi man usi kachchi dor se khin...

SISKIYON KE BEECH GUNGUNATA...ISHQ 08.07.2021

Aksar aankhe nam si ho jati hain, achanak hi jindagi bhi kam si ho jati hai, shabd bas use hi khojte hain, use hi dhoondhte hain , har panne par use hi likhte hain.. apne piyar ko khokar bhi ye piyar nibhane vale kabhi likh kar ro lete hain to kabhi dafan kar dete hain dil ki gahraiyon me...koi diariyon aur kitabon me likh kar samet -ta hai ...to koi apni aawaz ke jadoo se use bikherta hai...phir...

JISM...AADHA-ADHOORA MARA NA JIYA 01.07.2021

Maana ki jo guzar gaya vo laut kar nahi aata insaan ho ya waqt, magar itihaas ke panno se vo kabhi mitta nahi hai, balki man ki bheegi dharti par us tan ko sametne me laga rahta hai jo kisi ke chodh kar jane se aadha rah jata hai-adhoora rah jaata hai, zinda rahte hue bhi mar sa jaata hai...

MERI BAAHON ME JAB TU SIMATNE LAGI... 24.06.2021

Raat dhalti rahi-shama jalti rahi Husn-a-baarish jabardast chalti rahi Dil milne laga-jism khilne laga Meri aahon se jab tu sanvarne lagi Tod bandhan tu saare bikharne lagi Nasha chaane laga-maza aane laga Meri baahon me jab tu simatne lagi...

VO MASOOM ISHQ... 10.06.2021

Itihas gawah hain ki ek shakhsh aur ek waqt yehi do gawah hote hain kisi ki mohabbat ke, magar afsos ek mukar jata hai aur ek gujar jata hai-Aur fir ek din dil ke behadh kareeb aur har waqt pani ke ghar me rahne wala aine se bhi nazuk magar ab pathar saa....... wo shakhsh khamoshiyon ka sahara lekar jab dooriyon ko anzaam deta hain tab man ka toota aankhon ke sagar ko aankhon hi aankhon me pee jat...

MERE JEENE KI TU HI VAZAHA THI 03.06.2021

IS DHARTI PAR JISNE BHI MOHABBAT KI USNE KAHIN NA KAHIN DARD KO JIYA AUR JISNE DARD DIYA IS BEDARD JAMANE NE USE BEGUNAHA SABIT KIYA.........

VO LADKI...CHAHTON SI 27.05.2021

JAB DOOB JATA HAI KOI KISI KE ISHQ MEIN TAB...LAHOO KA RANG BHI MOHABBAT BAN JATA HAI........

Teaser 23.05.2021

MERI BATEIN MERE GEET - ANDAZ-E-SHAYRANA "DHADKANE MERI SUN"... BY Rj KAUSHIK

Listen to the DHADKANE MERI SUN podcast in Replaio

Radio and podcasts in one app - free, with no sign-up. Install today and do not miss the launch

Get it on Google Play

Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.