Dr. Rajnish Kaushik
DHADKANE MERI SUN
Self composed various aspects of love, various feelings, sensations and colors of love with enchanting and melodious words of Hindi and Urdu language have been presented in a very poetic manner in every episode of this podcast . All the episodes of this podcast are solemnly dedicated to all the lovers just as the cycle of love never ends in the same way these love lyrics episode will move on, move on and move...
Author
Dr. Rajnish Kaushik
Category
Podcast website
Latest episode
Jul 5, 2026
Where to listen?
Podcasts in the app Replaio Radio Coming soonPodcasts are coming to the app soon. Install now and be the first to see a whole new take on podcasts
Episodes
ONE SIDED LOVE.....तन जोगी - मन बावरा 28.01.2022 16:01
Mana ki use meri mohabbat dikhti nahi hai.... Mana ki meri aawaj us tak pahunchti nahi hai... Mai yah bhi manta hoo ki uski nigahen mujhe khojti bhi nahi hai... Magar mujhe vishwas hai ki koi to hai uske aur mere darmiyan jo uske dil pr kabhi kabhi dastak jaroor deta hoga... Kabhi Mai to kabhi Mera prem bankar... Kabhi to ahsaas hoga Kabhi to uski rooh me mohabbat ke us khuda ka vaas hoga... Jo Ma...
ISS...PAAR BHI TU USS...PAAR BHI TU 20.01.2022 18:30
Kambakht kaisa aashik tha Dil aur mulk ki sarhadon ko ek maan baitha.... Ye bhi nahi jaan paaya ki do mulkon ki sarhaden iss prem ko nahi samajhti.... Samjhen bhi aakhir kiyon ...kiyon ki sarhad ka arth hi batwaara hai...seema hai... ..............Magar...sarhaden chahe kitni bhi ho , kaisi bhi ho... ------- ...कतरा - कतरा बहती रहती हो तुम हर वक्त - हर लम्हा मेरी नब्ज मे नब्ज रुक भी गयी कभी - तो क...
ZAALIM...TERA NASHA 13.01.2022 13:23
Kambakhat Kaun peeta hai tan ko jalane ke liye... Ye to...Shauk - e - insa...hai gum ko bhulane ke liye Uski yaadon ko bhulane ke liye Kiyon ki tazurbekar kahte hain ki sharab har marz ki dawa hoti hai dil toota ho ya mohabbat roothi ho Ya ho koi bhi gum... sabhi ka ilaaj bade saleeke se karti hai .....jo kabhi sharab jaisi dikhti thi .....aaj bhi uska zikar sharab jaisa hi lagta hai .....vo nazre...
CHHAL FAREBEE 07.01.2022 14:33
Jab usne baat baat pe chhal karna shuru kiya Farebee mashooq ki taraha pal pal badalna shuru kiya Tab... Ham bhi apni mohabbat se mukar gaye Magar mohabbat Kam nahi hui Vo... jhoonthi , chhaliya, Farebee Meri zindagi se to chali gai Magar... yaadon se na gai Mere ahsaason se na gai Mere zazbaaton se na gai Mere khwabon se na gai Mere khwabon se na gai....
Trailer 04.01.2022 2:50
RJ Kaushik once again "DHADKANE MERI SUN" Season 2
SILSILE...TERI MOHABBAT KE...NA RUKENGE KABHI 30.12.2021 14:04
Tum mere ateet ka... vo get ho... jiski dhun...jiska sangeet... kabhi purana nahi ho Santa... kiya hua... Jo ye saal bhi gujar Gaya Kiya Hua... Jo Har lafz tera apne vaade se mukar gaya Ye ishq hai... Ibaadat-e-ishq hai mere piyaar ki Intehaan chaahe kitni bhi ho Jaye Tere intzaar ki... Lamhe teri chaahat ke Na thakenge kabhi Silsile teri mohabbat ke na rukenge kabhi na rukenge kabhi....
DHADKANE MERI SUN 23.12.2021 15:36
Jahan tak sawal - a - ishq hai To vah to ek samandar hai ...Jisme na jaane kitne zazbaat doob kr fanah ho chuke Hain... Sab kuchh usi ki vazaha se Sab kuchh usi ki khaatir ......fir bhi ye dil dhadkta rahta hai Usi ki vazaha se Usi ki khaatir ......aur dhadak - dhadak ke kahta rahta hai.....kahta rahta hai DHADKANE MERI SUN DHADKANE MERI SUN
AAWARA KAH DIYA TOONE 16.12.2021 17:57
Jab ye dil aa Jaata Hai kisi pr to uski Galion ke chakkar lagane ko jee chahta hai... thodi bahut aawargi Karne ko jee chahta hai Bass ek jhalak bhar dekhne ke like...Chand baaten Karne ke liye...Mauqa mile to choo lene ko bhi jee chahta Hai... Kaaran to mohabbat hi hotel hai na Sirf aawargi to nahi.... Magar jab koi patta shakh se toot kr gir jaata hai to sari fizayen aawara Kah kr sambodhit karn...
DIL KI BASTI LUTI...BADI SASTI LUTI 09.12.2021 21:49
Boond Boond karke ikaththa ki gai mohabbat...na jane kitni raaton ko ratjage dekar ikaththa ki gai mohabbat...apna waqt dekar sawanri gai mohabbat...jab aapki zindagi se nikal jane ke bahane dhoondhti hai...tab mahsoos hota hai ki aakhir kyon....lut jati hai ...dil ki ye basti itne saste me...kyon jakhmi kr di jaati hain kisi ke dil ki sachchi bhavnae ek hi jhatke me....aakhir kyon...
JAB SE TUM PAR SHABAAB AAYA HAI.... 02.12.2021 17:23
Hamari nazren jab kisi haseen shakhsh ko pahli baar dekhti hain to ji chahta hai ki vo.... apne pahlu me thodi si jagaha dede... apne daman me thodi si panaha dede... na ho kabhi nazron se ojhal meri... mujhe ek aisi nigaha dede...
yoon chhod kar na jaao ... tum jaan ho hamari 25.11.2021 25:40
क्यूं छोड़ कर चले जाते हैं ऐसे लोग जो ज़ान बनकर जिंदगी में आते हैं और ज़ान लेकर जिंदगी से चले जाते हैं... अक्सर हम जिन्हें इज्जत देकर ...बेपनाह मौहब्बत देकर उनके साथ अपनी भावनाओं को जोड़कर उनको चाँद तक पहुंचाते हैं अक्सर ऐसे ही लोग एक दिन ...दिन में तारे दिखाते हैं...ऐसे लोगों को कितना भी समझा लो कितना भी चाह लो कितने ही प्यार से कह कर देख लो ....कि... यूं छोड़ कर ना जाओ तुम जान हो हमारी... ....छो...
BHIGO GAYA WO BAADAL BANKAR... 18.11.2021 22:24
Pyaar ke in rishton me...jise ham apna hamsaaya samajhte hain...jindagi ki is dhoop me uske saath ko , uski mohabbat ko ek shaamiyaana samajhte hain, chhat samajhte hain..aksar vahi shakhs dard ka badal bankar aata hai aur rusvaiaaion ki baarishon se bhigo kr chala jaata hai... ...jab jab aisa hota hai ...to jindagi ret ke gharonde ki maanind dhah jaati hai.....
CHALO EK BAAR... FIR SE 11.11.2021 17:57
kya maloom...jise aap gaya hua samajh rahe hain...jise aap khud se bichuda hua samajh rahe hain...kya maloom...vo thodi hi door khada hokar aapki aawaz ka intzar kr raha ho... agar thodi si bhi gunzaeesh lage to fauran thaam lijie us haath ko...kal na jane vo fir se meharbaan ho ya na ho... ek baar prem bankar piyar se kah kar to dekhie ... chalo ek baar fir se... chalo ek baar fir se...
YE KAISI DIWALI HAI... 04.11.2021 8:45
Tumhare bagair kaisi diwali...tumhare bagair kaisi roshni...tumhare bagair kaisi aatishbaziyan...ye kaisi diwali hai....
VO KAUN THI...? 28.10.2021 18:12
.......jise sambandh nibhana hota hai...riste ko kayam rakhna hota hai...vo hazaron galtiyan maff karke bhi nibhata hai.... jise nibhana nahi hota , vo ek galti ko dhaal banakar nikal leta hai... hazaron karam bhool jata hai... ek sitam yaad rakhta hai... ....jo kismat se ret ki tarah fisal gai ...zara si hawa kiya lagi... patang ki tarah ...hawa ke sath sath ud gai... jo khali kar gai zindagi ko...
TERI DHADKAN - TERI SAANSE 21.10.2021 16:00
Jab is dil ko mohabbat ho jati hai kisi se...to uske dil ki har dhadkan lagta hai jaise ke mere lie hai.. sang - e - mar mar ...se tarasha ye shokh badan lagta hai jaise ke mere liye hai... narm hothon ki sari surkhiyan lagta hai jaise ke mere liye hai.. uski aankho se chalakti har shabnam, har ada me chamakta noor lagta hai jaise ke mere liye hai... bassssss.....yahi sab hota hai jab mohabbat ho...
AANSUON SE MERE SAMANDAR BHI HAARA... 14.10.2021 15:52
mai jis raah bhi chala...meri manzil vahi thi , kabhi laga ki bhatak raha hoon ya doob raha hoon hasraton ke bhavar me...rahnuma bhi vahi thi...saahil bhi vahithi. kabhi kabhi gumrah bhi kiya usne ...par sach yah bhi hai doston...iss zahan me...iss poori kaynaat me iske kaabil bhi vahi thi...kisi aur me dum nahi tha itna....
MASOOM TUJHE MAI KYON KAHTA THA... 07.10.2021 18:19
Masoomiyat ka haseen nazara thi voh, matlab har lafz me adakari -sahajta aur saralta wali yoon to haasil karne ki zid thi hume, chahte to paa sakte the use magar... pyaar kya hota hai usi ki masoom nigaho se seekha tha humne shaayad isiliye usko jaane diya uski khushi ke liye aur mohabbat ki had se guzarne lage hum, ishq karne lage hum, masoom kehne lage hum-masoom kehne lage hum...
YE...ISHQ MOHABBAT PYAAR WAFA 30.09.2021 18:14
Prem ki anubhooti aur uski abhivaykti prem ka nirvaha aur uska pravaha kaisa hona chahiye -kanha se behtar kaun jaan sakta hai-kanha se behtar kaun sikha sakta hain agar aapko kisi se mohabbat hai to radha krishan ke jaisi honi chahiye shree Krishan kahte hain ki... jinka milan nishchit hai niyati unhe kisi na kisi roop me mila hi deti hai.
JO... BAAHON ME AAYA SUNAHRA BADAN 24.09.2021 12:19
Vo raat jo gahri thi khwaabon me guzar gayi neend tooti to kahin na mili idhar-udhar dekha har taraf nazar gayi Vo raat jo gahri thi khwaabon me guzar gayi vo sang dil sanam meri rooh ka hissa bana vo sang dil sanam meri zindagi ka kissa bana choo liya aasman uske ishq me maine haqiqat me na sahi khwaabon me hi sahi jo baahon me aaya sunahra badan uska jo thahar gayi thi kahin vo zindagi sawanr ga...
ZINDAGI...EK ZAALIM SE TAKRA GAYI 16.09.2021 14:38
Beintehan mohabbat-fir bhi gile shikwe kya yahi dastoor hai mohabbat ka. duaaon me wafaaon ke marham fir bhi zakhmo ke tohfe-kya yahi dastoor hai mohabbat ka. mere pyaar ki bepanahi se khushiyon ki daulat sukhon ki gathri sab kuch to haasil tha usko fir bhi-ishq mera bazaroo-kya yahi dastoor hai mohabbat ka. zamane ki hawaayen kehti hai-haa-yahi dastoor hai mohabbat ka-yahi dastoor hai.
SHEESHA HO YA DIL... 09.09.2021 11:35
Sheesa tha mai sheeshe jaisa dil tha mera bilkul saaf, fitrat se ekdum sachcha,fir bhi jhuthla diya gaya,tod diya gaya,fek diya gaya,bikhar gaya mai,kyoki sheesha tha mai...sheesa tha mai isilye to kahte hain... sheesha ho ya dil...aakhir toot hi jata hai
MUJHE ISHQ...THA...TUJHI SE MUJHE ISHQ...HAI....TUJHI SE 02.09.2021 14:53
Koi hota hai zindagi me...koi hota hai aapke samooche astitav me... rat hoti nahi ki aankho me utar aata hai...ye vahi shakhas hota hai jiske saath guzare kuch hi ratzagon ne sadiyon tak ke liye haseen ahsas saja ke rakh diye gaye hote hai , jinki khushbuon se mahki bistar ki silvaten kabhi simatana hi nahi chahti...
MAI...MERI ZINDAGI AUR VO 26.08.2021 10:53
Ret ka vo ghar...mohabbat naam tha jiska jise roshan hona tha usi se bikhar gaya waqt ki aandhiyon me jeevan bhi zarra - zarra ho gaya tabhi se kabhi aao to dhekho meri faili baahon ko ye tarasti hai aaj bhi tumhari panahon ko aur kahti rahti hai..... MUJHE ISHQ THA TUJHI SE MUJHE ISHQ HAI TUJHI SE MUJHE ISHQ HAI TUJHI SE......
TALAB...DO BOOND ISHQ KI 19.08.2021 19:11
Laut aao ...agar ho sake to laut aao...aaj bhi... itne zamane gujar jaane ke baad bhi tumhare laut aane ki ummeed ko maine seene se laga rakha hai...tabhi se jab se ham bichude hain...mujhe ummeed hai tum jaroor aaogi...is dunia se bagavat aur mujhse meri ho jaane ka jo vaada tume kiya tha use jaroor nibhaogi...yakeen hai mujhe ...isliye laut aao... mai tumhe apni dhadkane sunana chahta hoon...tum...
Similar podcasts
Replaio is not a podcast publisher; show names, artwork and audio belong to their authors and are distributed through public RSS feeds.