Ashok Sawhny 'Sahil'

Dastan -e- zindagi

Arts UR ↓ Episoade: 585

Ashok Sawhny is a keen observer of life. He has a number of published works in English, Hindi and Urdu and in this podcast he narrates his poetry on various observations and thoughts in Urdu.

Vizitează neapărat site-ul podcastului și susține-i creatorul: www.ashoksawhny.com

Autor

Ashok Sawhny 'Sahil'

Categorie

Arts

Site-ul podcastului

www.ashoksawhny.com

Cel mai nou episod

4 aug. 2026

Unde asculți?

Podcasturi în aplicație Replaio Radio În curând

Podcasturile ajung în curând în aplicație. Instaleaz-o acum și fii primul care descoperă o abordare complet nouă a podcasturilor

Descarcă din Google Play Instalează gratuit Android aproape 10 mil. descărcări · nota 4,8 iOS în curând

Episoade

Dard E Dil ka Darma- Part - 4 ,Nazm 1-Yunan 2-Ranj o malaal bohat hain 19.10.2023

Yunan Mehlon mein reh kar dekha jalva hum ne shaan ka ab dekh le chal kar ’Sahil’ khandar bhi yunan ka munafiqana hai mizaaj, matloon is insaan ka Mukhtalif andaaz hai, dil ki ab zabaan ka Pathar aur Hadid se faqat banti hain deewaaren Nashiman nahi hota koi, dil ke makaan ka Khulasa tere khutbe ka kar to lon mein, waiz Fikar bhi karunga phir, kal ke elaan ka Jee lo tum saleeqa se, naqash-e pa chh...

Dard E Dil Ka Darma Part - 3 - Nazm 1-Jo hona tha hua 2-Baatein Mohabbat Ki 3-Deen-o-Imaan 19.10.2023

Jo hona tha hua Khamiya e zeh uthaya to kya hua jo hona tha, so hua, to kya kya hua na Spas hai duniya phir kya hua ‘Sahil’ mehfil men na bulaya, to kya hua dil apna, jaan apni, qasoor kis ka hum ne khud hi dil ganwaya, to kya hua na koi saaz, na humnawa koi phir too ne sur men na gaya, to kya hua har so barbadi, tere shehar men Sheikh tu ne dasht o sehra sajaya, to kya hua jab dil hi viraan hai,...

Dard - E- Dil Ka Darma - 1-Maa ki Mamta 2-Noor-e-khuda dil mein hai 19.10.2023

Maa ki mamta Aayi yaad jab bhi maa ki    Jee bhar kar hum bhi roye   Neend jab aayi udti udti     Haule haule hum bhi soye   anokhi mamta maa ki hai    Jaisi bhi ho, maa hi hai   Gudda gudiya hum sab uske     khil khil who hasati hai   daant dapat kar suna kar lori     pariyon se woh milati hai  jeena mushkil uske bin    yaad uski bohat sataati hai   sunn lo bhaiya baat hamari     maa ki mamta niy...

Dard E Dil Ka Darma - Dil Paak ho Jiska - Part -1 19.10.2023

Dil Paak Ho Jiska Sabr ho tahammul ki rihaaish aaj sitaaron mein hain Rang gulshan ka dekho chand angaaron mein hain Husn sitaaron mein nahi ab nazaaron mein hai Luft khazaan mein na ke bahaaron mein hai Hua karti thi raunaq nasheman mein kabhi Aaj jalwa bhi dekho deewaron mein hai Usey rind na kehna dil jis ka ho paak Pakeezagi bhi dosto ab maikhvaaron mein hai Jaandaar they log kisi zamaane mein...

Bahot Chhota 16.10.2023

Bahot chhota sa farq aur phir woh insan hota hai Baat sirf imaan ki hai bad gumaan to shaitaan hota hai Tumhari nazron mein kya hai zaahir hai magar Tumhaari aankh ka bhi to nigahbaan hota hai Kar lo jo chaaho zulm mujh per, yeh zameen hai Bachaane wala muhaafiz to aasmaan hota hai Alfaaz be jaan o be maani nahin hotey, lekin Asl matlab to aksar kha-mashi mein bayaan hota hai Bande, zaum nahin kos...

Muntazir hai Sawera 16.10.2023

Shama na jala ‘Sahil’ khawab bikhar jayenge Khawab bikhar gaye to hum kidhar jayenge Cheharon pe na jaa, dilon mein jhaank Shayad tere bhi tujh ko nazar ayege Na karna tum raah khumgah ki roshan Uth gaya parda hum sudher jayenge Muntazir hai sawera, to soya hai abhi Aftaab niklne se Gul nikhar jayenge Khush rakhna lamhon ko farz hai sab ka Khafa ho lamha to hum mar jayen ge Itne bhi nahi hum khud...

Woh bhi waqt tha 16.10.2023

Aaj rang nahi hai ‘Sahil’ aabginon mein Lahoo sukh chuka hai veraan seenon mein Chala karti thi Saba har subah kabhi Ab samoom bhi aaya karti hai mahino mein Khalal dekhiye is zamrrana ka aaj Log zeher botay hain sairaab zameenon mein Insaan ko insaan hi nahi maanta, koi Phir tafreeq kya kaho pathar aur naginon mein Inkisari thi bunyaad husn kabhi Haif! naz o ishva hai ab haseenon mein Apni duniya...

Kabhi Aisi Pilaana 16.10.2023

Kabhi aisi pilaana ai pir e mughaan tu Ba hosh rahun main madhosh reh kar Taajir banun main to phir aisa banun Ke khushbu hi bechun itr farosh reh kar Kaifiyat ho aisi shakhsiyat men meri Keh dun main sab kuchh, kh- mosh reh kar Imaandaari ka hota hai vazn to apna Imaan pukhta rahey be hosh reh kar Naam khuda ka rahey dil men ta umr Labon per bhi 'sahil' kh- mosh reh kar Dard o gham na hot...

Arzoo Nahin Hai 16.10.2023

Aaj fikr hai sab ko Darham o daam ki Agarche, zaroorat hai Khabar nahi aaghaaz na hi anjaam ki Aur na safar hayaat ke kisi gaam ki Dil mein jo aaya woh kya hum ne Muntazir na rahey aamdِ payam ki Pila de saqi, nazron se pila Chaah nahi hai ab kisi jaam ki Choo lete hain taare zameen se hum Zaroorat nahi hai sar-e baam ki har nafs merg o zeest hai jab Vaiz, mat kar too baatein Dwam ki ehtram batin...

Qismat hum se khafa hai 16.10.2023

Qismat hum se khafa hai, hum mubtala manaane mein Waqt kuchh to lagta hai yaro apni baat samjhaane mein Khuftagi insan ki to bila shak hai uski fitrat To sotey huay zameer ko phir der na lagey jagaane mein Khatrnaak hai woh bahot, khatra bhi khud ko zyada Sarkash ana ko to hain mushkilein jhukaane mein Hai naazuk woh bahot dhaaga baandhta jo dosti ko hai Phir ghaflat na ho yaro kabhi haath milaane...

MAA 16.10.2023

Kuchh udti gard hai maazi ki Jo mujh ko ab yaad aati hai Koi qissa chota chota sa Koi yaad jo sataati hai Aawaaz wo suhaani si Jo ab bhi yaad aati hai Woh Maa jo ab bhi khayalon mein Pyaala doodh ka pilaati hai Jab gungunaata hun main lori us ki Aaj sun kar bulbul sharmaati hai Sar jiski god mein rakh kar apna Sota tha, mujhe aaj bhi wohi sulaati hai Nakhre ghusse sehti sab Woh aaj bhi sabaq sikh...

Title - Dosto | Poetry by ⁠ @AshokSawhnySahil ⁠ 03.10.2023

Title - Dosto Poetry by  @AshokSawhnySahil  #urdupoetry #shayari #ashoksawhnysahil Dosto, Puja karo , Prayer ya Namaaz Chhupa un sab men ek hi raaz hai Khuda, God, ya Bhagwaan hain sab ek Aur, woh insan se aaj be had naraaz hai Is liye nahin ke woh khuda ko bhoola hai Ghaafil hai, aur khud ko khuda maanta hai Per, is liye ke woh insan ko insan nahin maanta Haiwaanon se bhi badtar bura maanta hai P...

Dhadkata to wo hai, hararat bhi to samjhe koi  29.09.2023

Dhadkata to wo hai, hararat bhi to samjhe koi  Dil ki  kaifiyat o ruhaniyat bhi to samjhe koi   Haath milane ka mafhum khub jaante hain sab Magar, bhai chaara aur unsiyat bhi to samjhe koi   Khuda ki inayat o mehr ki taalib hai dunya  Us ki qu’wat aur qahr bhi to samjhe koi   Yaro, chaman ki sairon ka lutf to uthao, lekin Kabhi phoolon ki nazakat bhi to samjhe koi   Mahabat mahabat unsiyat ke qi...

Ek sadi bhi lag sakti hai umr bitaane mein  29.09.2023

Ek sadi bhi lag sakti hai umr bitaane mein  Aur phir chund lamhe daastaan sunane mein   Na aa sake tum na sahi per yeh to bata do Waqt laga tha tumhen kitna bahane banane mein   Zamaane guzre hain mere khaak udaane mein Isi khaak ko phir khaak se mujhe milaane mein   Ya Rab, dekh khuftah hai kab se yeh insan tera Waqt lagega aur tujhe kitna zameer ko jagaane mein   Wafayi se aur zaalim kaho kaun...

Bharosa nahin taabindagi ka koi 29.09.2023

Bharosa nahin taabindagi ka koi Sila nahin hota hai bandagi ka koi Har sawaal ka jawaab laazim to nahin Zaamin hai nahin asoodagi ka koi Apna hai mazaa sab gardishon ka Badalte zamaane aur mausamon ka Pighalti barfen aur vaadiyon ka Thaharte waqt aur ravaaniyon ka Jaati bahaar se pyaar zyada mat karna Khizaan o simoom se tum zyada mat darna Yaro, har cheez ki hadd hoti hai, hamesha Jazbaat apnon s...

Guzarte lamhe ko aur lamha mila 29.09.2023

Guzarte lamhe ko aur lamha mila Hum ne to socha ik zamana mila   Bad duaen nahin duaen mileen Wafa ka sila to khub umda mila   Khaaron ko samjha paasbaan jinhon ne Sabaq un gulon se to aala mila   Deewaanon ki mehfil men kya kya mila Aalim miley, tajruba turfah mila   Khoya jab apna janaaze pe jism Zameer hamen yaro kul zinda mila   Dushmani teri jab maut se yaad aayi  Ai zeest, jeene ka aur bahan...

Puchha mujh se khaak ne aaj kis ka tu ghulam hai 29.09.2023

Puchha mujh se khaak ne aaj kis ka tu ghulam hai Kya milta nahin mujhse tujhe sukoon o aaraam hai   Zindagi kya hai yaro puchhiye us phool se Naseeb men jis ke ek subh aur bas ek shaam hai   Taskeen kya hai kaun batlaye aasaan nahin jawaab Labon per jis ke har waqt shayad khuda ka naam hai   Insan o qudrat hain pareshan donon ja ba ja dekhiye Himmat rakho yaro tum woh jaanta hai jis ka nizaam hai...

Mahabat jala deti hai be bas insan ko 29.09.2023

Mahabat jala deti hai be bas insan ko Jaise barq e tajalli neele aasman ko   Nigah karti hai na paak maasum muskaan ko Jaise badnaam karte hain daagh daamaan ko   Khush bu mita deti hai har bad bu ko Jaise imaan mita deta hai bad gumaan ko   Mushkilen aisi hain aaj jahan men, hairatmand Ke muhaal hai bahot samajhna aasaan ko   Dosto, gar maante ho zeest ko tum imtehaan To zurur dar karo is khayal...

Rab ek hai, sab ko manao to koi baat baney 29.09.2023

Rab ek hai, sab ko manao to koi baat baney Badgumaniyon ko girao to koi baat baney   Mustaqil nahin hotin shab e hijr saari Sham’a vasl ki jalao to koi baat baney   Aati hain daraaren jaane rishton men kyon Tum deewaaren na banao to koi baat baney   Mujhe mitana to kaam aasaan hai yaro Shikan maathe se mitao to koi baat baney   Naseehaten to ‘sahil’ kaam naaseh ka hai Tum dil apne ko samjhao to ko...

Jo aaye ghar apne woh to ghar waale ban gaye 29.09.2023

Jo aaye ghar apne woh to ghar waale ban gaye Ab koi mehmaan dikhlaaye to jaanen hum   Vaaiz, sunte hain khutbe subh shaam hum tere Tu kahin  pukhta iman dikhlaye to jaanen hum   Khiradmandon ke tamashe har su dekhiye Ab koi raqs e rindaan dikhlaaye to jaanen hum   Ba parda nahin be haya hai zamaan Koi raqs e mizhgaan dikhlaaye to jaanen hum   ‘Sahil’, aaj khalaaon men udti hai duniya saari Koi zam...

Hum ko hum se mila de koi 29.09.2023

Hum ko hum se mila de koi Naghme puraane suna de koi   Main zulmat men chal kar thak gaya hun Rahguzar men sham’a jala de koi   Kaise hain zakhm is dil ke mere Mujh hi ko dekh kar bata de koi   Na waaqif ho asl ki duniya se jo Usey saraabon ki duniya deekha de koi   Talkhi woh maazi ki, ai naaseh Bhula de, varna mita de koi   Goonjti hai ab bhi kaanon men mere ‘Sahil’, Ma ki woh lori suna de koi N...

Falak men jo nayyara hai 05.09.2023

Falak men jo nayyara hai Woh to bas sayaara hai   Ulfaton ka kya kehna Saraabon ka nazaara hai   Dosto, umr achhi kat jayegi Gar imaan ka sahara hai   Khafa hai kyon tu mujhse qismat Maalum hai tujhe khuda mera hai   Dhundla dhundla sa maazi ab Bas, Ma ka hi gehwara hai   ‘Sahil’, jaisi bhi hai zeest meri Main ne hi isey sanwaara hai   Nayaara. Raushan sitara Sayyara. Traveller Maazi. Past Gehwara...

Ek nafas aur naseeb ho to aur kya chahiye 05.09.2023

Ek nafas aur naseeb ho to aur kya chahiye Humsafar gar habib ho to aur kya chahiye   Dosti nahin masti hai jalwagahon men bas Humnawa koi ghareeb ho to aur kya chahiye   Har waqt to nahin hoti chaman men bahaar Khizaan men andaleeb ho to aur kya chahiye   Raah apni pe chalti hai dunya yeh saari Rahbar agar raqeeb ho to aur kya chahiye   Mushkil alfaaz ka istemaal koi kamaal nahin hai Saada lafzon...

Asrar e zindagi, kaun jaanta hai 05.09.2023

Asrar e zindagi, kaun jaanta hai Khuda ki bandagi kaun jaanta hai   Haath  jodey jabin khaak se milaye Ibadat ya sharmindagi kaun jaanta hai   Dil men kis ke kya basa hai kya khabar Masaraton men afsurdagi kaun jaanta hai   Fitrat yeh insan ki hai maaloom baat sab ko Acchi ya buri aawaaragi kaun jaanta hai   ‘Sahil’, khuzu to hai per samjhe kaun Rabbani hai saadagi maanta hai kaun     Asrar. Raaz....

Main hun meri dasht e intehayi hai 05.09.2023

Main hun meri dasht e intehayi hai Jo hai sab khuda ki khudayi hai   Shukr hai us ka ke ruswa na hua Mere aage firdaus meri paarsayi hai   Yahan parindon ka nahin chehchahana koi Yeh to meri hi dasht e tanhayi hai   Tanha main nahin ke mere saath hai koi Usi main se to meri ab kul aashnayi hai   Aasaan nahin kisi se hum aahang hona Meri bhi to mujh hi se humnawayi hai   Chhord aya hun sab kuch ahd...

Ascultă podcastul Dastan -e- zindagi în Replaio

Radio și podcasturi într-o singură aplicație - gratuit și fără înregistrare. Instaleaz-o azi și nu rata lansarea

Descarcă din Google Play

Replaio nu este editorul podcasturilor; numele emisiunilor, coperțile și materialul audio aparțin autorilor lor și sunt distribuite prin fluxuri RSS publice